Page 1 of 1

Ghazal: dil wo parwarda-e-mamnooN hai jafaa kaaron kaa

Posted: Sun Jul 09, 2006 7:07 pm
by Munawwar
Dosto,

Mujhe yeh bataate hue dilee musarrat ho rahee ke meree ghazal ko mehfil-e-mushaaira (mushaira.org) ke guzishtah maah ke mushaaire meN doyam qaraar diyaa gayaa hai. Meree ghazal ke i'laawah Janaab Haamid Baaqeree SaaHab kee ghazal ko bhi doyam qaraar diyaa gayaa hai. Ya'nee donoN ghazloN meN ek "tie" kee Haalat pesh huee hai. Very Happy

Janaab Haamid SaaHab ko mubaarakbaad dete hue is meHfil meN apnee ghazal pesh karne kee ijaazat chaahuNgaa.

Ghazal pesh hai..

dil wo parwarda-e-mamnooN hai jafaa kaaron kaa


dil wo parwarda-e-mamnooN hai jafaa kaaroN kaa
jo ba har zakhm, namak khaaye hai sarkaaroN kaa

shamme' par jaan nicaar apni nah karte kaise?
jalna dastoor hai aatish ke parastaaroN kaa

mai kashee waqt-e-bahaaraaN jo kareN, to itnee,
rang pheekaa nah khizaaN meN bhi ho rukhsaaroN kaa!

yeh na hoteeN to samandar bhi bayaabaaN hotaa
mujh pe ehsaan hai gham khaane ki deewaaroN kaa

hai kaf-e-dast yeh apnaa ke bisaat-e-shatranj!
bakht kee chaal ne kyaa haal kiyaa taaroN kaa!

hai mire ashk, mira dil, mire hee gham, to phir
kaise kucch haq bane in par mire ghamkhwaaroN kaa

ab Munawwar ki khabar ham se nah poochho yaaro,
"koee pursaaN na huaa ham se gunahgaaroN kaa"
-----------------------------------------------------------------

Hasb-e-ma'mool aap sabhee dosto kee pasandeedagee / naa pasandeedagee ke izhaar kaa intezaar rahegaa.

Aapkaa mamnoon,
Munawwar

daad qubool keejiyhe

Posted: Sat Jul 15, 2006 8:43 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Munawwar SaaHib,

Tasleemaat,

Aapki yeh ghazal pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.

khair andesh,
Nazir.