Page 1 of 1

Guzarish 19 ke liye ek aor Ghazal pesh-e-khidmat hai.

Posted: Sun Jul 09, 2006 10:06 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram sathiyo!
aadaab!

miSra' "apne dil se dushmanee achchee naheeN" ka seHr aek aor Ghazal kee takhleeq ka baec huwa hai. pesh-e-khidmat hai.


rat jagoN meN me kashee achchee naheeN

"apne dil se dushmanee achchee naheeN"


laoT aa dasht-e-firaaq-o-dard se

justuju-e-ajnabee achchee naheeN


aaftaab-e-waSl kab ho ga t^ulo'

mustaqil tirah shabee achchee naheeN.


kiya karoN ab shaGhul-e-giryah ke siwa

yaad jo dil se lagee achchee naheeN.


ho geya sadah dilooN ko bhee yaqeeN

nazninooN kee galee achchee naheeN.


ab nah khaooN ga fareb-e-zindagee

aarzu-e-zindagee achchee naheeN.


kushtah-e-teGh-e-firaaq-e-yar hooN

janta hooN be basee achchee naheeN.


ham shahed-e-aarzu haiN dosto

"ham se t^arz-e-bartaree achchee naheeN" (HaZ^rat Abdullah Nazir ka miSra')


phoonk de dil par fusoon-e-zindagee

jan-e-man afsurdagee achchee naheeN.


chooR de ghar ka muz^affar ab kheyal

chahatooN meN wapsee achchee naheeN.

bahut khoob, waah waah

Posted: Mon Jul 10, 2006 6:45 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 19 ke TaraHi miSreA per aapki aek aur ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

rat jagoN meN me kashee achchee naheeN
"apne dil se dushmanee achchee naheeN"


Bahut achchi gireh ke saath aap ne maTlaA mukammal kiyaa hei. Waah waah.

laoT aa dasht-e-firaaq-o-dard se
justuju-e-ajnabee achchee naheeN


Is sheAr ko samajhne meiN mujhe diqqat pesh aarahi hei. Kaun dasht-e-firaaq o dard meiN hei?? Aam Taur per shaayer khud ko dasht-e-firaaq o dard meiN is liye samjhtaa hei keh uskaa meHboob paas nahiN. Doosre miSreA se yooN zaahir hourahaa hei ke meHboob kisi ajnabee ki talaash meiN hei jis talaash ki justajoo ko aap "achchee nahiN" keh rahe heiN. Is per aap ghaur farmaayiye.

aaftaab-e-waSl kab ho ga t^ulo'
mustaqil tirah shabee achchee naheeN.


Jee haaN, teerah-shabi isteAmaal karne ke liye aap ne pahle miSreA meiN aaftaab-e-vaSl kahaa hei jo bilkul SaHeeH hei. Bahut khoob, waah waah.

kiya karoN ab shaGhul-e-giryah ke siwa
yaad jo dil se lagee achchee naheeN.


yahaaN aap ne "yaad jo dil se lagee achchee nahiN" se ghaliban yeh murad lee hei "wo yaad jo dukh de rahi hei". Achchaa sheAr hei, waah waah.

ho geya sadah dilooN ko bhee yaqeeN
nazninooN kee galee achchee naheeN.


Bahut khoob waah waah, lekin saadah dilaoN ko bahut der meiN housh aayaa.

ab nah khaooN ga fareb-e-zindagee
aarzu-e-zindagee achchee naheeN.


Achcha mazmoon hei, waah waah.

kushtah-e-teGh-e-firaaq-e-yar hooN
janta hooN be basee achchee naheeN.


Waah waah, bahut khoob.

ham shahed-e-aarzu haiN dosto
"ham se t^arz-e-bartaree achchee naheeN" (HaZ^rat Abdullah Nazir ka miSra')


Waah waah kyaa kehne, lekin achchaa nahiN lagtaa ke aap khaaksaar ko Hazrat kaheN..

phoonk de dil par fusoon-e-zindagee
jan-e-man afsurdagee achchee naheeN.


Bahut khoob, waah waah.

chooR de ghar ka muz^affar ab kheyal
chahatooN meN wapsee achchee naheeN.


Achcha maqTAA hei lekin iske do maAani liye jaasakte heiN:
1) jab muHabbat meiN kisi hamsafar ke saath ghar chooT gayaa hei to waapusi agar naamumkin nahiN to mushkil Zaroor houti hei.
2) Jab kisi se waTan meiN muHabbat thee lekin kisi sabab se ghareeb-ul-waTan hounaa paRaa aur Haalaat badal gaye heiN tou phir waapusi kaa maqSad hee faut hougayaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.


aadab!

Posted: Tue Jul 11, 2006 10:30 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram janab Abdullah Nazir SaHib
tasleem a'rZ^ hai!

kese mizaj haiN umeed hai ba kheriyat honge.
Guzarish 19 ke teHet meree donooN Ghazliyaat
par aap ka HoSlah afzah tabSirah aap kee shafqat
be laoS moHabbat aor adab se fit^ree lagawaT
ka aae'nah dar hai.

qiblah agar aap ke naam se pehle HaZ^rat nah likhooN
to bhee to achcha naheeN lagta. yeh aap ke naam ka HiSSah hai.
ise alag nah kijiye.aane wala waqt to aap ke rashHaat-e-qalam ke a'waZ^ aese kaee aek alqaabat se nawaze ga hee. faqeer aap ko lae'q-e-Sad aHtaram samajhte hai. duniya to murdah parast waqee' hoi hai.
aesee duniya se mera koi ta'luq naheeN. mazeed kiya kahooN so she'r pesh-e-khidmat hai.

"qasam khuda kee muHabbat naheeN e'qedat hai
deyaar-e-dil meN baRa aHteram hai tera"


maiN aap ka teH-e-dil se shukrguzaar hooN
khuda aap ko SeHt-o-salamtee se bhar poor
daraaz-e-u'mr se nawaze. bajuz dua'a bandah ke
pas hai bhee kiya? so jo hai woh to pesh karta chalooN.

ijazat chahooN ga
wassalam
khadim
muz^affar aHmad muz^affar

Posted: Fri Aug 11, 2006 12:10 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sara SaHebah aadaab!
Ghazal ko pasand farmane par aap ka marHoon-e-minnat hooN.
wassalam
muzaffar