Page 1 of 1

....belutf chahat......

Posted: Mon Jul 10, 2006 6:02 pm
by zmufti
Ahl-e-bazm
aadaab
apni aik maamooli si ghazal aap ki khidmat maiN pesh kar rahi hoN
aap ki aaraa ka intizaar rahey ga
regards
zmufti

1. maiN wafa karti hoN aur aap khata kehte haiN
Jaan se jaaney ko kyaa aap wafa kehte haiN?

2. kabhi achcha to kabhi mujh ko bura kehte haiN
jo bhee kehtey haiN sanam aap baja kehte haiN

3. kaghazi phool si be-lutf hai chahat uski
ham jisse apni muhabbat ka khuda kehte haiN

4. Reshmi khawab chura kar jo gaye the meray
Who sila daiN ge sitaaroN ki rida, kehte haiN

5. aise aashiq to kahiN milte nahiN duniya maiN
jo haseenoN ki jafa ko bhee ada kehte haiN

6. rah-e-ulfat maiN jo hasti bhee luta de apni
Log us ko hi muhabbat ka gada kehte haiN

7. Who jo ik shokh sa rehta thaa hamaare dil maiN
Us ki furqat maiN hi jeenay ko saza kehte haiN

8. kaisi hikmat hai mirre chara garoN ki dekho
Zehr-e-tanhaaii ko akseer dawa kehte haiN

9. ghair ke naaz pe ho tum to fida sunti hoN
bewafaaii nahiN to aur isse kyaa kehte haiN

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Jul 11, 2006 3:06 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
zmufti SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki yeh TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaat qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

[u[1. maiN wafa karti hoN aur aap khata kehte haiN
Jaan se jaaney ko kyaa aap wafa kehte haiN? [/u]

Achchaa maTlaA hei, waah waah.

2. kabhi achcha to kabhi mujh ko bura kehte haiN
jo bhee kehtey haiN sanam aap baja kehte haiN


Achchaa sheAr hei, waah waah.

3. kaghazi phool si be-lutf hai chahat uski
ham jisse apni muhabbat ka khuda kehte haiN


Bahut khoob, waah waah.

4. Reshmi khawab chura kar jo gaye the meray
Who sila daiN ge sitaaroN ki rida, kehte haiN


Achchaa Tanz hei, waah waah.

5. aise aashiq to kahiN milte nahiN duniya maiN
jo haseenoN ki jafa ko bhee ada kehte haiN


Achchaa sheAr hei, waah waah.

6. rah-e-ulfat maiN jo hasti bhee luta de apni
Log us ko hi muhabbat ka gada kehte haiN


Achcha sheAr hei.

7. Who jo ik shokh sa rehta thaa hamaare dil maiN
Us ki furqat maiN hi jeenay ko saza kehte haiN


Achcha sheAr hei, waah waah.

8. kaisi hikmat hai mirre chara garoN ki dekho
Zehr-e-tanhaaii ko akseer dawa kehte haiN


Waise akseer aur dawaa aek TaraH se ham-maAni heiN, aapke akseer dawaa aek saath kehne ko mumkin hei "sharbat dawaa" samjhaa jaayhe.

9. ghair ke naaz pe ho tum to fida sunti hoN
“Yeh agr sach hai to zaalim isse kyaa kehte haiN”


Is gireh meiN wo baat paidaa nahiN hourahi hei jo houni chaahiye. TaraHi miSraA is baat kaa mutaqaaZi hei ke gireh ke miSreA meiN yeh kahaa jaaye ke InSaaf karne waale agar aisaa kahte heiN yaa unkaa qaul yooN hei. Is TaraH se doosre miSreA meiN baat takmeel ko pahounchti hei (yeh agar such hei to zaalim ise kyaa kehte heiN).


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed Jul 12, 2006 5:38 am
by zmufti
Mohtaram Naazir saheb
Tasleemaat
aap ke tabsarey ke liye az had manoon hoN
tazmeen ke misrey per per aap ka tabsara baja maaloom houta hai kyaa is sher ko youN kar sakti hoN

ghair ke naaz pe ho tum to fida sunti hoN
bewafaii nahiN to aur isse kyaa kehte haiN

wasalaam
zmufti

Jee haaN, Theek hei

Posted: Wed Jul 12, 2006 11:46 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
zmufti SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapka mandarja-e-zeil sheAr durust hougayaa hei agar aap diyaa houaa TaraHi miSraA isteAmaal nah karnaa chaaheN tou.
ghair ke naaz pe ho tum to fida sunti hoN
bewafaii nahiN to aur isse kyaa kehte haiN

Shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed Jul 12, 2006 12:37 pm
by Hashmat Usmani
salaam Zarqa saaHiba,

aapkii taraHii Ghazal paRhii aur bahot pasand aayii, daad o taHsiin qubool kijiiye. share karne ke liye shukria. sabhi ash'aar umda lage. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada.

ek baat 'arz karnaa chaahuuNgaa agar aapko buraa na lage to. mujhe aisa lagaa k aapne apnii Ghazal ko 'inwaan diyaa hai [be-lutf moHabbat]...mere Khayaal se to Ghazal kaa unwaan nahiiN huaa kartaa...Ghazal ko uske kissii misr'e se yaad kiyaa jaataa hai. hai na? agar maiN Gahaltio par huuN to plz mujhe bataaiyegaa.

shukria aur ek kaamiyaab Ghazal par phir se dili mubaarakbaad qubool kijiiye.

faqat muKhlis,

Hashmat

Posted: Thu Jul 13, 2006 9:55 am
by zmufti
Mohtaram Nazir saheb
tasleemaat
aap ka dobaara shukria
wasalaam
zmufti

Posted: Thu Jul 13, 2006 10:00 am
by zmufti
Hashmat usmaani saheb
aadaab
ghazal ki pazeeraaii k liye aap ki mamnoon hoN
MaiN ne ghazal ko unwaan nahiN diyya bas post karte waqt subject per jo soojha likh diyya
regards
zmufti