Page 1 of 1

"wohi mera bhi khuda hai"aik adna kaavish

Posted: Fri Jul 14, 2006 5:26 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

aik tarhi kalaam aapke hawaale kar rahe hai.n

gar qubool uftad zahe ..........


arz kiya hai


haq ne miri taqdeer ke maathay peh likha hai
ash'aar mei.n kehday jo tujhay rab ne kaha hai

bahboodiye insaa.n keliye sh'er kaha kar
yeh shaayeri teri nahi.n qudrat ki 'ata hai

tu rab ki nigaaho.n se kabhie bach nahi.n sakta
shahrag se bhi nazdeek tire tera khuda hai

jis naam se chaahay woh mire rab ko pukaaray
"jo uska khuda hai wohi mera bhi khuda hai"

haamid ka tu pauta hai tau beta hai raza ka
iswaastay har sh'er mei.n haq bol raha hai

ahmed(s.a.w.aw)ke gharaane se hai haamid ka t"alluq
islaam peh jaa.n denay ko woh paida huwa hai

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

waah waah

Posted: Sat Jul 15, 2006 8:35 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

aadaab,

Aapki yeh TaraHi ghazal pasand aayi jiske liye daad qubool farmaayiye.

Khair andesh,
Nazir.

Re: waah waah

Posted: Fri Jul 21, 2006 6:48 am
by haamidbaaqri
Abdullah Nazir wrote:MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

aadaab,

Aapki yeh TaraHi ghazal pasand aayi jiske liye daad qubool farmaayiye.

Khair andesh,
Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum

aapki mukhlisaanah daad aur mubarakbaad ke hum behad shukrguzaar hai.n.

jazakallah
aapka mukhlis
haamidbaaqri