Page 1 of 1

"dekho safar mei.n hai"aik tarhi kalaam pesh hai

Posted: Wed Jul 19, 2006 8:29 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

aik adna kaavish haazir hai

gar qubool uftad zahe.......

arz kiya hai........

har zarra kaayenaat ka dekho safar mei.n hai
qudrat ka yeh nizaam khuda ki nazar mei.n hai

rauze azal se lekay qayaamat ke din talak
"duniya bhi ek muqaam tiri rehguzar mei.n hai"

mohsin ka saath deta hai har gaam har ghadi
itni wafa tau duniya ke har jaanwar mei.n hai

insaan too hai 'aql ki daulat hai tere paas
phir bewafaaye kyu.n tire khoono jigar mei.n hai

pehchaan apne aap ko naadaan too nah ban
yeh kaayenaat tujh mei.n hai tu har dagar mei.n hai

kyu.n darbadar bhatakta hai padhlay ise zara
qur'aane paak mei.n hai jo kuch khushko tar mei.n hai

haamid halaal rauzi kamaane laga hai too
barkat khuda ki isliye ab tere ghar mei.n hai

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Re: "dekho safar mei.n hai"aik tarhi kalaam pesh h

Posted: Wed Jul 19, 2006 12:01 pm
by Raji
Janab-e- Haamid Baaqri SaaHeb:
Aadaab,
aap kee taraHee Ghazal aap ke maKhSooS rang meN naZar navaaz hoovii.
miSrah-e-taraH ko aap ne Khoob mazmoon se mansoob kiyaa hai.
tamama hee ashaar ache heN meree janib se daad qubool keejiye.

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:

Bahut khoob, waah waah

Posted: Fri Jul 21, 2006 3:05 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aaapki yeh TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapkla MukhliS,
Nazir.


Re: "dekho safar mei.n hai"aik tarhi kalaam pesh h

Posted: Fri Jul 21, 2006 6:36 am
by haamidbaaqri
Raji wrote:Janab-e- Haamid Baaqri SaaHeb:
Aadaab,
aap kee taraHee Ghazal aap ke maKhSooS rang meN naZar navaaz hoovii.
miSrah-e-taraH ko aap ne Khoob mazmoon se mansoob kiyaa hai.
tamama hee ashaar ache heN meree janib se daad qubool keejiye.

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:
salaamun alaikum
mohtaramah zahida raees raji saahebah

aapki musalsal hausalah afzaayee aur purkhuloos daad ke hum behad shukrguzaar hai.n.

jazakallah

sada khush rahe.n

mukhlis
haamidbaaqri

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Fri Jul 21, 2006 6:40 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aaapki yeh TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapkla MukhliS,
Nazir.

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

tarhi ghazal ko pasand farmaane aur hame.n aapki mukhlisaanah daad se nawaane keliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.

salaamat rahe.n

aapka mukhlis
haamidbaaqri