"Israel ka "Lebanon" per Humla'...meri ek naz
Posted: Sun Jul 23, 2006 5:24 am
“Israel” ka “Lebanon” per Hamla
kis qadar dil soz haiN yeh hashiye yeh surKhiyaaN
zulm ki barish hai jaari aur chup saara jahaN !
aaj phir mal’oon jaabir barsare paikaar hai
garden.e mazloom hai aur zulm ki talwaar hai
uff yeh zalim ke jahazoN se barastee bijliyaaN
bazarar mazloom haiaraaN haiN ke woh jaayeN kahaN
yeh jo “Israel” ki “Libnaan” ko sauGhaat hai
yeh to ik dastoor hai ooska purani baat hai
shahriyoN per sub se baRhke ooska hota hai itaab
bazarar mAsoom logoN se woh karta hai Hisaab
aaj phir meri nazar m’aazi meN jakaer kho gaii
phir “Shateela-Sabirah” ki yaad taaza ho gaaii
beHayaa dil meN bhee khilte hain Hayaa ke kuch to phool
ai darandey! juNg meN bhi kuch to hotey haiN uSool
ek jaanib chuNd teer itnee kamaneN ik taraf
dou sipaheee ik taraf aur itnee janeN ik taraf?
Aa gaya “Lebanon” meN pahne hoowe jungee libaas
kya Philisteenee lahoo se bujh nah paii teri pyaas ?
uff yeh zulm.o.jabr aur duniya ki yeh KhaamoshiyaN
chaudhry jo amn ke bante thay aaKhir haiN kahaN
ai Muslamano! yeh mauqa hai sabaq HaSil karo
ho sake to ab karo toba Khuda se ab Daro
tum Khooda ko bhool baiThe yeh oose ki hai sazaa
aaj tum ho aur ik berahm jaabir ki jafaa
maut sir peh aa gaii ab to Khirad se kaam lo
aapsee jagRe bhoola do aur Khooda ka naam lo
banke dushman tum jo apne bhaaiyoN per tun gaye
thay samandar iss tarah bikhrey ke qatra ban gayee
ab bhi ek ho jaao tum warna bohat pachtaaoge
Khood hi ik din apni Haalat dekh kar sharmaaoge
---------------------------------------------------------