Page 1 of 1
"Jawaid Badauni" ke baare meN kahooN kya..........
Posted: Sat Jul 29, 2006 4:46 pm
by jawaid badauni
Dosto! Salam
Bazm-e-ehbaab (stanvir.com) ke mahana tarahee Mushaaireh
ke liye Ahmed Nadeem Qasmi SaHab marHoom ka ek miSra batur
tarah tajveez kiya gaya hai. Azeezi Amjad SaHab ka israar tha keh
main bhi is mushaaireh meN shirkat karooN. Kuch TooTe-phooTe sher
kah liye haiN jo aap ki nazr haiN. Ummid hai himmat afzaaii farmaiyeNge.
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
------------------------------------------------------------------------
kuch apni zubaaN se nah kahooNga na kaha ha
Gam phir bhee zamaney se chhupega nah chhupaa haii
mujrim tiree qismat meN baharHaal sazaa hai
kahte haiN keh anjaam booraayee ka boora hai
duniya meN machaa dega qayamat ki tabaahee
sunte haiN keh Toofaan Khamoshee se uTha hai
ya Rub nah juda ho kabhee dard.e Gam.e jaanaaN
hum jaise mareeZoN ki yahee dard dawaa hai
hum logoN ki tableeG bhi Geebat bhee kare hai
waaiiz tira anjam jazaa hai keh sazaa hai ?
insaan ko insaan ki Soorat se nah jaano
jis ne bhi kahaa hai yeh bohat Khoob kahaa hai
yeh kaisa safeenah hai keh maujoN ko haraakar
aaya hai jo saHil peh to ab Doob rahaa hai
"Jawaid Badauni" ke baarey meN kahooN kya
ik SaaHib.e dil hai nah boora hai nah bhalaa hai
------------------------------------------------------------------
Posted: Sun Jul 30, 2006 5:20 am
by Ibn-e-siddique
moHtaram Jawaid Badayuni saHib
salaam arz hai
aap ki is ghazal per mehfil-e-sukhan mein to daad de hi chukaa hooN, yahaan per bhi daad Haazir hai , qubool farmaaiye.
darj-e-zail ash'aar khaas taur per meri tavajjoh ka markaz bane rahe :
kuch apni zubaaN se nah kahooNga na kaha ha
Gam phir bhee zamaney se chhupega nah chhupaa haii
duniya meN machaa dega qayamat ki tabaahee
sunte haiN keh Toofaan Khamoshee se uTha hai
ya Rub nah juda ho kabhee dard.e Gam.e jaanaaN
hum jaise mareeZoN ki yahee dard dawaa hai
insaan ko insaan ki Soorat se nah jaano
jis ne bhi kahaa hai yeh bohat Khoob kahaa hai
yeh kaisa safeenah hai jo maujoN ko haraakar
aaya hai jo saHil peh to ab Doob rahaa hai
"Jawaid Badauni" ke baarey meN kahooN kya
ik SaaHib.e dil hai nah boora hai nah bhalaa hai
bahot khoob janaab, maqta bhi bahot pasand aayaa. meri jaanib se daad Haazir hai, qubool farmaaiye
umeed hai isi taraH apne kalaam se in mushairoN ko raunaq bakhshte raheN ge
shukria
amjad
Bahut khoob, waah waah
Posted: Sun Jul 30, 2006 8:52 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki yeh taazah takhleeq bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Saare ashaar aapki mahaarat-e-sheAr o sukhan kaa muraqqaA heiN aur khaaS Taur per is sheAr ke kyaa kahne:
hum logoN ki tableeG bhi Geebat bhee kare hai
waaiiz tira anjam jazaa hai keh sazaa hai ?
Aapka MukhliS,
Nazir.
aadaab!
Posted: Sun Jul 30, 2006 6:17 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Jawaid Badauni SaHeb aadaab!
aap kee t^areHee Ghazal dekhee aor yaqeen kijiye bohot lut^f aaya.
mujhe jis she'er ne taRpa diya woh likhe deta hooN wese to sabhee asha'aar lae'q-e-teHseeN haiN. lekin is she'er meN bala ka aHsaam-e-namuradee aor dard ka zae'qah hai." yeh kesa safinah hai mojooN ko hara kar aaya hai jo saHil peh to ab Doob raha hai. lajawab hai.
meree janib se dad qubool kijiye.
wassalam
muz^affar
Re: aadaab!
Posted: Sun Jul 30, 2006 8:34 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Jawaid Badauni SaHeb aadaab!
aap kee t^areHee Ghazal dekhee aor yaqeen kijiye bohot lut^f aaya.
mujhe jis she'er ne taRpa diya woh likhe deta hooN wese to sabhee asha'aar lae'q-e-teHseeN haiN. lekin is she'er meN bala ka aHsaam-e-namuradee aor dard ka zae'qah hai." yeh kesa safinah hai mojooN ko hara kar aaya hai jo saHil peh to ab Doob raha hai. lajawab hai.
meree janib se dad qubool kijiye.
wassalam
muz^affar
Azeezee Muzaffar SaHab, Aadaab
Bohat din bAAd aap ne yaad kiya. Bohat Khooshee hoowee. Gazal ki pazeeraaii ke liye aapka mamnoon hooN.
Khoosh raheN!
Jawaid
Re: Bahut khoob, waah waah
Posted: Sun Jul 30, 2006 8:37 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki yeh taazah takhleeq bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Saare ashaar aapki mahaarat-e-sheAr o sukhan kaa muraqqaA heiN aur khaaS Taur per is sheAr ke kyaa kahne:
hum logoN ki tableeG bhi Geebat bhee kare hai
waaiiz tira anjam jazaa hai keh sazaa hai ?
Aapka MukhliS,
Nazir.
Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab
Aadaab
Aap ne apni tamamtar maSroofiyaat ke bawojood meri nacheez Gazal ko paRha aur oose pasaNd bhi farmaya. Behud mamnoon hooN.
Aap ke Hukm ke muTabiq ab main ne Urdubandhan meN apna aana jaan baRha diya hai.
Khairandesh
Jawaid
Posted: Sun Jul 30, 2006 8:40 pm
by jawaid badauni
Ibn-e-siddique wrote:moHtaram Jawaid Badayuni saHib
salaam arz hai
aap ki is ghazal per mehfil-e-sukhan mein to daad de hi chukaa hooN, yahaan per bhi daad Haazir hai , qubool farmaaiye.
darj-e-zail ash'aar khaas taur per meri tavajjoh ka markaz bane rahe :
kuch apni zubaaN se nah kahooNga na kaha ha
Gam phir bhee zamaney se chhupega nah chhupaa haii
duniya meN machaa dega qayamat ki tabaahee
sunte haiN keh Toofaan Khamoshee se uTha hai
ya Rub nah juda ho kabhee dard.e Gam.e jaanaaN
hum jaise mareeZoN ki yahee dard dawaa hai
insaan ko insaan ki Soorat se nah jaano
jis ne bhi kahaa hai yeh bohat Khoob kahaa hai
yeh kaisa safeenah hai jo maujoN ko haraakar
aaya hai jo saHil peh to ab Doob rahaa hai
"Jawaid Badauni" ke baarey meN kahooN kya
ik SaaHib.e dil hai nah boora hai nah bhalaa hai
bahot khoob janaab, maqta bhi bahot pasand aayaa. meri jaanib se daad Haazir hai, qubool farmaaiye
umeed hai isi taraH apne kalaam se in mushairoN ko raunaq bakhshte raheN ge
shukria
amjad
Azeezi Amjad SaHab
Aadaab
Yeh Gazal maiN ne aap ki farmaaiish per hi kahee thee. Chund minute meN kahe gaye ashAAr haiN magar bilumoom logoN ne inheN pasaNd farmaya. Baat yeh hai is baar aap ne zameen hi bohat achchee tajweez ki thee. Is zameen meN ba aasaani umdah sher kahe ja sakte haiN.
Khair andesh
Jawaid
Posted: Mon Jul 31, 2006 5:53 pm
by Mahtab Qadr
Bahut khoob Jawaid Sahib. aapki ghazal pasand aai. shukria
Posted: Tue Aug 01, 2006 9:55 am
by jawaid badauni
Mahtab Qadr wrote:Bahut khoob Jawaid Sahib. aapki ghazal pasand aai. shukria
Janab-e Aali
Aapke muKhtacar tareen tabsarey ke liye aap ka behud mamnoon hooN.
"Mujhe itna sahara kum nahiN hai." (Jiagr Moradabadi)
Khair andesh
Jawaid