Page 1 of 1

TARAHI MISRA - -- - (GUZ.20) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Mon Jul 31, 2006 8:25 am
by Abdullah Nazir

Muhtaramaat o Muhtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur Ahbaab-e-Sukhan,


Purkhuloos Tasleemaat, :rose


GUZARISH #20 Kaa TARAHI MISR'A: Taareekh August 1st, 2006.


khaak ummeedeN houeeN gard-e-safar kee Soorat
mera apna miSraA hei: Nazir.

Radeef= kee Soorat
Qaafiye = (ghar, nazar, khabar, sar, dar, saHar, jigar, tar, zar, acar, bashar, khaTar, camar, ) waghairah.
iska vazn hei:
faa'ilaa'tun...fa'ilaa'tun...fa'ilaa'tun...fe'lun
= /0//0/0.......///0/0..........///0/0.........../0/0
= 2122.......... 1122.........1122...........22

Is shakl ka naam hei:
BeHr-e-ramal makhboon maHzoof maqTooA.

Ijaazut:
Ghair qaafiya-band miSreA ke aakhiri rukn ko fe'lun kee bajaye fa'ilun (yani 22 kee bajaaye 112) yaa feAlaat (yaAni 221) yaa f'Ailaat (yaAni 1121) isteAmaal karsakte heiN..


Aapka Mukhlis,

Nazir.