Page 1 of 1

Salman sehba marHoom ki ek Ghazal

Posted: Tue Aug 01, 2006 1:45 pm
by salman
Assalam Alaikum,Haazreen-e-mehfil

Apne walid sahab ki ek ghazal pesh kar raha hoon,mulahizaa
farmayein. Ummi dhai pasaNd farmayeNge aur apni graNqadr
aara se nawazeNge.

Aapka MuKhlis
Yasim



GHAZAL


Ho gayi jis tarah bhi basar ho gayi
Bin tumhare bhi shab ki saher ho gayi

Unke jalwo,n mein ab wo latafat nahin
Unke jalwo,n ko kis ki nazar ho gayi

Dil se aankhon ko ik nisbat-e-khaas hai
Dil ne nalaa kiya aankh tar ho gayi

Wo bhi kehte hain ulfat badi cheez hai
Ab yeh baat aur bhi motabar ho gayi

Dard ki mehrbaani khalish ka karam
Zindagi talkh se talkhtar ho gayi

Dastaan-e-wafa khatm hoti nahi
Go sunaate sunaate saher ho gayi

Ik dua rab se "SEHBA" ne ki thi magar
Wo bhi taqdeer se be asar ho gayi
----------------------------------------------

Bahut achchi ghazal pesh kee hei aap ne

Posted: Wed Aug 02, 2006 3:07 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
yassim Salman SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki peshkardah Salman sehba marHoom ki Ghazal bahut dilkash hei jiske liye ham aapke beHad shukrguzaar heiN. Ummeed karte heiN ke aap aayindah bhee aise hee dilkash kalaam se navaazte rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Thu Aug 03, 2006 8:46 am
by salman
Assalam Alaikum,Nazeer sahab
Aapka bahut bahut shukriya ke aapne meri is koshish ka itni jaldi jawab diya,aur mera hosla badaya,jaldi hi khidmat mein apne walid sahab ka ek aur kalam pesh karunga.
Duuao ka Muntazir
Yasim salman

Posted: Fri Aug 04, 2006 1:49 pm
by zmufti
Dard ki mehrbaani khalish ka karam
Zindagi talkh se talkhtar ho gayi
Yasim saheb
aap ke walid saheb ki ghazal pasand aayii
yahaN arsaal karne ke liye shukria
regards
zmufti