Page 1 of 1
Is Maah Ke shaayer Khawaja Mir Dard
Posted: Wed Aug 02, 2006 4:02 pm
by zmufti
Posted: Wed Aug 02, 2006 4:03 pm
by zmufti
Posted: Wed Aug 02, 2006 4:04 pm
by zmufti
Posted: Sun Aug 06, 2006 6:51 am
by hassan_bashir
ham tujh se kis havas kii falak justajuu kareN
dil hii nahiiN rahaa hai jo kuchh aarazuu kareN
miT jaayeN ek aan meiN kasarat namayaaN
ham aaiine ke saamane aa kar jo huu kareN
taar-daamani pe sheiKh hamaarii na jaaiiyo
daaman nichoR deiN to farishte vazuu kareN
sar taa qadam zabaaN hai juuN shamaa go ke ham
par ye kahaaN majaal jo kuchh guftaguu kareN
har chaNd aaiinaa huuN par itanaa na qabuul
muuNh pher le vo jisake mujhe ruu-ba-ruu kareN
ne gul ko hai sabaat ne ham ko aitabaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-buu kareN
hai apanii ye salaah ke sab zahidaan-e-shahar
ai "Dard" aa ke bet-e-dast-e-sabuu kareN
~ Khwaja Mir Dard ~
Posted: Sun Aug 06, 2006 6:55 am
by hassan_bashir
tujhii ko jo yaaN jalwaa farmaa na dekhaa
baraabar hai duniyaa ko dekhaaa na dekhaa
meraa GhuNchaa-e-dil hai woh dil-girifataa
ke jis ko kaso ne kabhii waa na dekhaa
aziat, musibat, malaamat, balaayeN
tere ishq meiN ham ne kyaa kyaa na dekhaa
kiyaa mujh ko daaGhoN sarv-e-chiraaGaaN
kabho tu ne aakar tamaashaa na dekhaa
taGhaaful ne tere ye kuchh din dikhaaye
idhar tu ne lekin na dekhaa, na dekhaa
hijaab-e-ruKh-e-yaar the aap hii ham
khulii aa.Nkh jab, koii paradaa na dekhaa
shab-o-roz aye "Dard" darapaaii huuN us ke
kaso ne jise yaaN samajhaa na dekhaa
~ Khwaja Mir Dard ~
Posted: Sun Aug 06, 2006 6:58 am
by hassan_bashir
agar yoN hii ye dil sataataa rahegaa
to ik din meraa jii hii jaataa rahegaa
maiN jaataa huuN dil ko tere paas chhoRe
merii yaad tujhako dilaataa rahegaa
galii se terii dil ko le to chalaa huuN
maiN pahuNchuNga jab tak ye aataa rahegaa
qafas meiN koii tum se ai ham-safiiroN
Khabar kal kii hamako sunaataa rahegaa
Khafaa ho ki ai "Dard" mar to chalaa tuu
kahaaN tak Gham apanaa chhupaata rahegaa
~ Khwaja Mir Dard ~
Posted: Sun Aug 06, 2006 7:01 am
by hassan_bashir
jag meiN aakar idhar udhar dekhaa
tuu hii aayaa nazar jidhar dekhaa
jaan se ho gaye badan Khaalii
jis taraf tuune aaNkh bhar ke dekhaa
naalaa fariyaad aah aur zaarii
aap se ho sakaa so kar dekhaa
un laboN ne kii na masihaaii
ham ne sau -sau tarah se mar dekhaa
zor aashiq mizaaj hai koii
"Dard" ko qisaa-e-muKhtasar dekhaa
~ Khwaja Mir Dard ~