Page 1 of 1

tarHi GHazal duAa se kuchh nah hua ilteja se kuchh nah hua

Posted: Fri Aug 04, 2006 3:32 pm
by khozema husaini
moAzziz KHawaateen o Hazraat
apni beHud mAmooli si ghazal aap ki nazr kar raha hoon aur ummeed karta hoon aap sab apni garaaNqadr aara se nawaaz kar mere ilm men izafah farmayenge jis ke liye meN aap ka peshgi shukriyah ada karta hoon qubool farmayeN
shukriyah
Husaini
GHazal
hazaar koshish e ahl e jafa se kuchh nah hua
hameN HuSool e amaan e KHuda se kuchh nah hua

yeh dil ka rog tha is meN dawa se kuchh nah hua
" duAa se kuchh nah hua ilteja se kuchh nah hua "

ajal ne kar diya har GHam ka aik pal meN Ilaaj
pa charahsaaz ki saAi e shifa se kuchh nah hua

jo ghar men thi wahi Haalat hai meri SeHraa meN
acar junoon pe aab o hawa se kuchh nah hua

isi ka naam to ae jan e man moHabbat hai
hameN malaal tumhari jafa se kuchh nah hua

hum aik jurm e moHabbat meN daar par pohnche
Ajab hai aap ko laakhoN KHaTA se kuchh nah hua

wufoor e zulmat e shab ka raha yuNhi GHalbah
patange teri zara si ziyaa se kuchh nah hua

har aik chaal men dushman mira huaa nakaam
mujhe Husaini tumhari duAa se kuchh nah hua[

Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Aug 09, 2006 3:28 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Khozema Husaini SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki yeh TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

hazaar koshish e ahl e jafa se kuchh nah hua
hameN HuSool e amaan e KHuda se kuchh nah hua


MaTlaA achcha hei. Agar poori ghazal meiN radeef "se kuch nah houaa" ko nazar meiN rakhkheN tou uske maAni nikal rahe heiN kuch bhee HaaSil nahiN houaa. Is maTleA ke doosre miSreA meiN aap yeh maAni le rahe heiN "koiee nuqSaan nahiN houaa". Aam qaari ko yeh mafhoom samajhne meiN diqqat pesh aasakti hei.

yeh dil ka rog tha is meN dawa se kuchh nah hua
" duAa se kuchh nah hua ilteja se kuchh nah hua "


Achchi gireh hei, waah waah. Is se behtar gireh meiN aap yeh mafhoom nikaal sakte thay ke maraZ Had se baRhkar laa ilaaj hougayaa thaa jiski vajh se....TaraHi miSraA.

ajal ne kar diya har GHam ka aik pal meN Ilaaj
pa charahgar ki saAi e shifa se kuchh nah hua


sheAr achchaa hei lekin doosre miSreA meiN lafz "saAy-e" ke Harf "Ain" per jazm hei zer nahiN. Doosre miSreA ko yooN kardeejiye tou mas'alah Hal houjaayegaa:
pa chaarahsaaz ki saAy-e-shifa se kuch nah hua

jo ghar men thi wahi Haalat hai meri SeHraa meN
acar junoon pe aab o hawa se kuchh nah hua


achcha sheAr hei, waah waah.

isi ka naam to ae jan e man moHabbat hai
hameN malaal tumhari jafa se kuchh nah hua


Bahut khoob, waah waah.

hum aik jurm e moHabbat meN daar par pohnche
Ajab hai aap ko laakhoN KHaTA se kuchh nah hua


Achcha sheAr hei, waah waah.

wufoor e zulmat e shab ka raha yuNhi GHalbah
ae jugnoo teri zara si ziyaa se kuchh nah hua


Doosra miSraA be-beHr hougayaa hei usko yooN kardeejiye:
patange teri zaraa si Ziyaa se kuch nah houaa

har aik chaal men dushman mira huaa nakaam
mujhe Husaini tumhari duAa se kuchh nah hua[


Achcha maqTaA hei waah waah. Is meiN bhee kuch nah hua se muraad hei koii Zarar nahiN pahunchaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed Aug 09, 2006 5:40 pm
by khozema husaini
mohtaram nazir saheb
aadaab o tasleemaat
aap ke mashware ke muTabiq tabdeeliyan kar di heN aap ki mohabbat ka men tah e dil se shukriyah adad karta hoon qubool farmayeN
shukriyah
Husaini