yaaraan-e-meHfil: tasleemaat!
chand din huwe ek Ghazal yahaaN pesh kee th`ee jo Haal hee ke :suffer: meN kahee th`ee. usee dauraan kee kahee huyee doosree Ghazal aaj pesh kar rahaa hooN. is kee zameen (radeef+qaafiYe) bh`ee raah-e-a'am se alag haiN. ummeed hai keh apnee muKhliSaanah raaYe se mujh`e surKhroo kareN ge. shukriyah!
Hasb-e-ma'mool mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh` rahaa hooN.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
----------------------------
Ghazal:
ik riwaayat ke siwaa kuch` naheeN taqdeer ke paas
qiblah-roo ho gaYe ham yooN but-e-tadbeer ke paas!
kyaa Hadeec-e-Gham-e-dil, kaun saa Qur,aan-e-wafaa?
ek taaweel naheeN SaaHeb-e-tafseer ke paas!
dil ke aa,eeneh meN kyaa jaane naz^ar kyaa aayaa?
muddatoN baiThe rahe ham tiree taSweer ke paas!
ashk-e-naumeedee-o-Hasrat hee muqaddar Thehraa
ek tuHfah th`aa yehee Harf-e-guloogeer ke paas!
goshah-e-Sabr-o-sukooN? Haif! nah deewaar, nah dar!
th`ak ke maiN baiTh rahaa Hasrat-e-ta'meer ke paas!
ham Haqeeqat ke pujaaree th`e, gumaaN-gasht nah th`e
aur Sirf Khwaab th`e us zulf-e-girahgeer ke paas!
kyaa kaheN guZree hai kyaa i'shq meN ahl-e-dil par
rahn-e-shamsheer kabh`ee aur kabh`ee zanjeer ke paas!
too ne ai jaan-e-Ghazal! yeh bh`ee kabh`ee sochaa hai?
qaafiye kyoN nah rahe "Sarwar"-e-dilgeer ke paas!
----------------------------------
raah-e-a'am = a'am yaa jaanaa-pehchaanaa raastah
surKhroo = laal chehraa waalaa (ya'nee Khush)
muKhliSaanah = be-laag, Saaf dil ke saath`
Hasb-e-ma'mool = hameshah kee t^araH
qiblah = Kabah jis kee jaanib musalmaan namaaz paRhte haiN
roo = chehrah
qiblah-roo = qiblah kee t^araf muNh kar ke
but-e-tadbeer = tadbeer kee moorat
Hadeec = kahaanee (Hadeec dar-aSl Prophet Muhammad kee baatoN ko kehte haiN)
Quran = musalmaanoN kee mutabrrik kitaab
Quran-e-wafaa = aisee wafaa jis se inkaar nah ho sake
taaweel = tashreeH (explanation)
tafseer = Quran aur Hadic kee tashreeH ko tafseer kehte haiN
SaaHeb-e-tafseer = tafseer bayaan karne waalaa (yahaaN meHboobah se muraad hai)
naumeedee = naa-ummeedee
ashk-e-naumeedee = naa-ummeedee ke aaNsoo
guloo = galaa
geer = pakRaa huwaa
guloo-geer = woh jis ke wajh se baat Halaq meN aTak jaaYe
goshah = konah
Haif = afsos
dar = darwaazah
Hasrat-e-ta'meer = gh`ar banaane kee Hasrat
gumaan = Khayaal
gumaaN-gasht = Khayaalaat ke maare huwe
girah-geer = jis meN girah paRee huyee ho
ahl-e-dil = dil waale log
rahn-e-shamsheer = jo talwaar ke haath` bik gayaa ho
dilgeer = jo dil pakRe baiThaa ho, ranjeedah
=====================
she'r # 6 meN ek typo hai. Urdu bh`ee durust kar leN. :Sirf: kee jagah :bas: kar leejiYe. maiN Jawaid SaaHeb kaa is typo kee nishaan-dehee ke liYe mamnoon hooN.
Raz
ik riwaayat ke siwaa kuch` naheeN taqdeer ke paas!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
ik riwaayat ke siwaa kuch` naheeN taqdeer ke paas!
- Attachments
-
- gg-ikriwaayat_cr.gif (13.9 KiB) Viewed 49 times
Last edited by Sarwar A. Raz on Tue Aug 15, 2006 5:10 pm, edited 2 times in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Mohtarmee Sarwar Bhaaii,
Aadaab
MaiN aap ko Aligarh ke rishtey se bhaii kah kar muKhatib karta hooN jo mujhe har tarah munaisb lagta hai.
Na jane kyooN mujhe aisa mahSoos hota hai mundarjah zel sher meN aap lafz "bus" ki jagah "sirf" type kar gaye haiN. Mumkin hai mera Khyaal Galat ho. Aap jaisa kohna mashq wazn ki Galtee nahiN kar sakta.
aur Sirf Khwaab th`e us zulf-e-girahgeer ke paas!
Gazal per tafSeeli tabsara bAAd meN dooNga. Yeh aap ki najook tareen Gazal hai isko samajhne ke liye kuch waqt darkar hoga. Is waqt maiN waise bhee apne office meN hooN.
MuKhliS
Jawaid