Page 1 of 1

Salman Sehba ki ek aur ghazal

Posted: Sat Aug 05, 2006 7:15 am
by salman
Assalam Alaikum,Hazraat

Aap ki khidmat mein apne walid sahab " Salman Sehba"
marHoom ki ek ghazal pesh kar raha hooN.

Duaao'N ka muntazir...
Yasim Salman



GHAZAL

Jugnu hoowa sitaara hoowa ya diya hoowa
Har cheez ki zubaaN se tera tazkira hoowa

Tark-e-taAlluqaat mohabbat mein farz hai
Chaliye yeh farz aapke haatho'N ada hoowa

Uski Haseen yaad ke saaye to saath haiN
Wo aaj mere saath nahiN hai to kya hoowa

Woh iztraab aapke dil se kahaN gaya
Woh intezaar aapki aankhoN ka kya hoowa

Tajdeede dosti ki gharaz se tera khayaal
Guzra mire qareeb se kuch sochta hoowa

Ab koii us se rabte ki Surat nahiN rahi
Us ne sitam se haath uThaya boora hoowa

GhairoN se poochne ki zarurat nahiN mujhe
Unka pataa hai dil ke waraq par likha hoowa

Shayad idhar bhi noor ki aa jaaye ik kiran
Rehne do mere ghar ka dareecha khula hoowa

Afsaana-e-hayaat to hai ikhtamaam par
"SEHBA" naSeeb ka nah mire faiSla hoowa

-----------------------------------------------------

Posted: Sat Aug 05, 2006 1:14 pm
by jawaid badauni

Yasim SaHab!
Khoosh raheN

Khuda khuda karke hum Salman Sahba Bhaaii ko bhoola paye they.
Aap ne phir unkee yaad taza kardee.

Kya Haseen Ghazal hai. Har sher laajawab. kya sheriyyat hai. Har sher taghazzool se bharpur.

Ummid hai aaindah bhi aisee hi GhazaleN bhejte raheNge.

MuKhlis
Jawaid