Page 1 of 1

Meree tarahee ghazal (Guzarish # 20)

Posted: Sat Aug 05, 2006 7:21 pm
by jawaid badauni
Dosto Salam

Ek sada see ghazal haazir.e Khidmat hai. Ummid hai apnee
aaraa se nawazeNge.

Aapka Mukhlis
Jawaid




rahee aaNkhoN meN sadaa raahguzar ki Surat
ghar se yuun nikle nah dekhi kabhi ghar ki Surat


kya ajab shaKhS hai woh, shams ki maaniNd mizaaj
aur sitam yeh keh nazar aaye qamar ki Surat


aisa kirdaar keh Hiawaan bhi sharmaa jaaye
hai bahaHaal bashar ab bhee bashar ki Surat


ho gaya pal meN hi khuwaaboN ka mahal chaknachoor
“Khak ummideN hooweeN gard-e-safar ki Surat”


Aaj tak oosne hameY dhoop meN saayaa nah diya
woh shajar waise tou lagta hai shajar ki Surat


kaash aa jaayen woh “Jawaid” yahaN dou pal ko
mera ghar bhi nazar aane lagey ghar ki Surat


Bahut khoob, waah waah

Posted: Mon Aug 07, 2006 4:22 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

rahee aaNkhoN meN sadaa raahguzar ki Surat
ghar se yuun nikle nah dekhi kabhi ghar ki Surat


Bahut khoob, waah waah.

kya ajab shaKhS hai woh, shams ki maaniNd mizaaj
aur sitam yeh keh nazar aaye qamar ki Surat


bahut achchaa sheAr hei, waah waah.

aisa kirdaar keh Hiawaan bhi sharmaa jaaye
hai bahaHaal bashar ab bhee bashar ki Surat


SheAr bahut achchaa hei lekin her bashar ko is mizan meiN nahiN toulaa jaasaktaa. Phir bhee samajhne waale yeh samjh sakte heiN ke shaayer kee murad her bashar se nahiN balke baAz zaalimaoN se hei.

ho gaya pal meN hi khuwaaboN ka mahal chaknachoor
“Khak ummideN hooweeN gard-e-safar ki Surat”


Bahut achchee gireh hei, waah waah.

Aaj tak oosne hameY dhoop meN saayaa nah diya
woh shajar waise tou lagta hai shajar ki Surat


Bahut khoob, waah waah.

kaash aa jaayen woh “Jawaid” yahaN dou pal ko
mera ghar bhi nazar aane lagey ghar ki Surat


Bahut achchaa maqTaA hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Mon Aug 07, 2006 8:54 pm
by jawaid badauni
Mohatrmee Abdullah Nazir SaHab

Gazal ki pazeeraaii aur s qadar tafSeeli tabsarey ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Main is baar apni Ghazal se qatAn mutmaaiin nah tha lekin ab aap ne sanad dey dee hai to kuch mutmaaiin zaroor hooN.

Mushaireh meN aap ki Ghazal ka intezaar hai.

MuKhliS
Jawaid

Re: Meree tarahee ghazal (Guzarish # 20)

Posted: Thu Aug 10, 2006 11:51 pm
by Anmol
jawaid badauni wrote:rahee aaNkhoN meN sadaa raahguzar ki Surat
ghar se yuun nikle nah dekhi kabhi ghar ki Surat

Waah...

Ham se mat poochh raaste ghar ke
Ham musaafir haiN zindagi bhar ke .....(Mohsin Naqwi)


kya ajab shaKhS hai woh, shams ki maaniNd mizaaj
aur sitam yeh keh nazar aaye qamar ki Surat

Waah bohot Khoob. Waise is meiN ajab kya hai? Husn ke maathe per shikan to bohot sajtii hai. :wink:

Jawaid Sahib, aap ki ghazal achchhi lagi, daad pesh karti huuN.

Posted: Fri Aug 11, 2006 8:35 am
by jawaid badauni
Anmol SaHibah
Aadaab


Ghazal ki pazeeraayee ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Khooshee hoowee keh aap ne itne din bAAd yaad to farmaya.

MuKhliS
Jawaid

Posted: Fri Aug 11, 2006 2:13 pm
by khozema husaini
janaab jawaid saheb
aadaab
aap ki is khoobsoorat ghazal per meri janib se daad Haazir hai qubool farmayeN
Husaini

Posted: Fri Aug 11, 2006 2:45 pm
by jawaid badauni
khozema husaini wrote:janaab jawaid saheb
aadaab
aap ki is khoobsoorat ghazal per meri janib se daad Haazir hai qubool farmayeN
Husaini

Bohat bohat shukriya Husaini SaHab.

Ummid hai is forum meN aap se mulaqaateN hoti raheNgee.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Posted: Fri Aug 11, 2006 3:38 pm
by Ibn-e-siddique
Jawaid bhai:

salaam arz hai

guzarish no. 20 ke teHt aap ne bahot umda ghazal kahi hai. zameen ka khoob Haq adaa kia. girah bhi umda lagaai hai, aur maqta bhi bahot pasand aaya.

poori ghazal per meri jaanib se bharpoor daad qubool farmaaiN

amjad

Posted: Fri Aug 11, 2006 7:43 pm
by jawaid badauni
Ibn-e-siddique wrote:Jawaid bhai:

salaam arz hai

guzarish no. 20 ke teHt aap ne bahot umda ghazal kahi hai. zameen ka khoob Haq adaa kia. girah bhi umda lagaai hai, aur maqta bhi bahot pasand aaya.

poori ghazal per meri jaanib se bharpoor daad qubool farmaaiN

amjad


Azeezi Amjad SaHab,
Aadaab

Yeh meri GhazaloN meN bohat sada see Ghazal hai phir bhi aap ko achchee lagee. Bohat bohat shukriya. Yaqeenan aap ki daad meN aap ka KhulooS shamil hai.

In tarahee mushaairoN se mashq.e suKhan barqaraar rahtee hai. Warna jin jungaloN men hum rahte haiN wahaN mangal karna zara mushkil hi hai.

Khoosh raheN!

MuKhliS
Jawaid

Re: Meree tarahee ghazal (Guzarish # 20)

Posted: Wed Aug 16, 2006 5:31 pm
by jawaid badauni
sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:
rahee aaNkhoN meN sadaa raahguzar ki Surat
ghar se yuun nikle nah dekhi kabhi ghar ki Surat


kya ajab shaKhS hai woh, shams ki maaniNd mizaaj
aur sitam yeh keh nazar aaye qamar ki Surat


aisa kirdaar keh Hiawaan bhi sharmaa jaaye
hai bahaHaal bashar ab bhee bashar ki Surat


ho gaya pal meN hi khuwaaboN ka mahal chaknachoor
“Khak ummideN hooweeN gard-e-safar ki Surat”


Aaj tak oosne hameY dhoop meN saayaa nah diya
woh shajar waise tou lagta hai shajar ki Surat


kaash aa jaayen woh “Jawaid” yahaN dou pal ko
mera ghar bhi nazar aane lagey ghar ki Surat

Jawaid bhai,

adaab arz hei,

hamesha ki tarah aapki ye ghazal bhi pasand aayi.

kya kehne bohat khoob! daad qubool keejiye.

sara

Aap ko Ghazal achchee lagee Sara aur mujhe yeh achcha laga keh aap subH ki bhoolee shaam ko ghar aa gayeeN. Ekbhaaii ko aur kya chaahiye bus Bahin ki Khairiyat.

Khoosh raheN.

MuKhlis
Jawaid

Posted: Wed Aug 16, 2006 6:36 pm
by hassan_bashir
mohtaram Jawaid saaHib:aadaab!

is maah bhii mushaire meiN aap kaa kalaam khuub rahaa, tamaam hii ash'aar pasaNd aaye aur girah bhii aChhi lagaaii haii.

lihaaza khaaksaar kee jaanib se daad aur mubaarakbaad qubuul keejiYe. :rose

~ Hassan ~