"pyaar karna seekhlay"taaza tarhi ghazal pesh hai
Posted: Mon Aug 07, 2006 6:21 am
salaamun alaikum
dosto
aaj shaam bangalore mei.n (mahfilay husne talab) ka maahaana tarhi mushaira honay jaaraha hai
micra hai "maikaday mei.n gham na kar thodi si peena seekhlay"
hum apni adna kaavish pahlay aapse share kar rahay hai.n
umeed hai pasand farmaaye.nge
arz kiya hai.....
bhaai mere mushkilo.n mei.n hanskay jeena seekhlay
chaahta hai phool tau kaanto.n peh chalna seekhlay
aag nafrat ki hai bhadki jal rahee hai.n bastiyaa.n
ghar base.nge pyaar say too pyaar karna seekhlay
tujh mei.n gar insaaniyyat hai tod mat insaa.n ka dil
doosro.n per aaj say tu rahm karna sekhlay
badhtay hai.n gham mayekashee say phir bhi kyu.n kehtay hai.n log
"maikaday mei.n gham nah kar thodi si peena seekhlay
aye mire haamid mire pyare mohammed kay ghulaam
mai buri hai is buraayee say tu ladna seekhlay
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah