Page 1 of 1
TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.20) by: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Tue Aug 08, 2006 6:53 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-sjukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Guzarish No.20 ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN. Aapki giraaNqadr aaraa kaa intezaar rahegaa.
GHAZAL roman meiN:
dekhtaa kaun hei majrooH jigar kee Soorat
teer jab chalte heiN duzdeedah nazar kee Soorat
sarguzasht-e-dil-e-majboor sunaate kis ko
dekhte reh gaye ummeed-e-saHar kee Soorat
Dar hei aawaragi chunwaaye nah tinke mujh se
Ghar se niklaa hooN tou dekhi nahiN ghar kee Soorat
Koocha-e-yaar meiN jaaN Zeeq meiN hei ab itni
Zindagi hougayi ik baar-e-digar kee Soorat
Ai khudaa faiSlah karde miri badbakhti kaa
maiN hooN patjhaR ke kisi barg-e-shajar kee Soorat
aao maiN apne hee pahloo meiN jagah dooN tum ko
yooN nah jaagaa karo bedaar qamar kee Soorat
raaste manzil-e-maqSood ke masdood houe
khaak ummeedeN houeeN gard-e-safar kee Soorat
shehr-e-ummeed bhi hei shehr-e-khamoushaN kee TaraH
laa-shuAoori hei jahaaN parda-e-dar kee Soorat
fitnah pardaazaoN ne dunyaa ko bigaaRaa :Nazir:
loag zindah thay kabhi sheer o shakar kee Soorat.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Thu Aug 10, 2006 5:41 am
by jawaid badauni
Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab,
Aadaab
Aapki tarahee Ghazal nazar nawaz hoowee. MaiN bhalaa kya tabsara karooNga aapke ashAAr per. Her sher lajawab hai. Nihayat umdah zubaan istaimal ki gaii hai Ghazal meN jo aap ka hi kaam hai warna hum jaisa nah aise zubaan bol sakte hain na sheroN meN istaimal kar sakte haiN.
Meri daad tahseen.e nashanas.e sukahan se ziyadah kuch nahin phir bhi qubool farmaaiye.
Aapka MuKhliS
Jawaid
Bahut bahut shukriyah
Posted: Fri Aug 11, 2006 11:35 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aap ne khaaksaar kee ghazal kee pazeerayi farmaate houe likhkhaa hei:
Aapki tarahee Ghazal nazar nawaz hoowee. MaiN bhalaa kya tabsara karooNga aapke ashAAr per. Her sher lajawab hai. Nihayat umdah zubaan istaimal ki gaii hai Ghazal meN jo aap ka hi kaam hai warna hum jaisa nah aise zubaan bol sakte hain na sheroN meN istaimal kar sakte haiN.
Meri daad tahseen.e nashanas.e sukahan se ziyadah kuch nahin phir bhi qubool farmaaiye.
Aapka MuKhliS
Jawaid
Aapke in dil kee gehraayiyaoN meiN utarjaane waale alfaaz un laAl o jawaahi kee TaraH samajhtaa hooN jo aek ghair mutavaqqiA faqeer kee jhouli meiN `Daal diye jaayeN. Is dast-e-karam ke liye tah-e-dil se shukrguzaar hooN. Yaar zindah SuHbat baaqi.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Fri Aug 11, 2006 1:41 pm
by khozema husaini
janab nazir saheb
aadaab
aap ki aik aur muraSSaA ghazal ko paRhne ka sharaf HaaSil hua
aap ke ashaar per kuchh kehna mere bus ki baat nahin hai apne dil ki gehraiiyoN se daad bhej raha hoon qubool farmayen
Husaini
Posted: Fri Aug 11, 2006 5:34 pm
by zmufti
Mohtaram Nazir Saheb
Tasleemaat
aap ki ghazal mashallah buhat khooburat hai
is mursa'a ghazal ke liye mujh nacheez ki daad qabool kijye
regards
zmufti
Posted: Mon Aug 14, 2006 9:13 am
by Star Mind
ustaad-e-moHtaram, aadaab !
janaab aap ki Ghazal to phir aap ki Ghazal hai , kaise na psand aaye ! so daad Haazir hai ! shukriya
Zia Baloch
Posted: Wed Aug 16, 2006 6:40 pm
by hassan_bashir
mohtaram Nazir saaHib: Aadab!
hamesha kee tarah is maah bhii aap ke kalaam ne mushaire kee raunaq do-baalaa kee, tamaam hii ash'aar nihaayat umda'h haiN.
is shaandaar kalaam par khaaksaar kee jaanib se dilee mubaarakbaad qubuul keejiYe. :rose
Talib-e-Dua'a
~ Hassan ~
Posted: Thu Aug 17, 2006 4:12 am
by yasir shah
dekhtaa kaun hei majrooH jigar kee Soorat
teer jab chalte heiN duzdeedah nazar kee Soorat
Dar hei aawaragi chunwaaye nah tinke mujh se
Ghar se niklaa hooN tou dekhi nahiN ghar kee Soorat
raaste manzil-e-maqSood ke masdood houe
khaak ummeedeN houeeN gard-e-safar kee Soorat
shehr-e-ummeed bhi hei shehr-e-khamoushaN kee TaraH
laa-shuAoori hei jahaaN parda-e-dar kee Soorat
muHtaram Janaab
Abdullah Nazir SaaHib !
assalamOa'laikuM
aap ki Ghazal is taraHee silsilay ke liye rahnumaa ki Heciyat raKhtee hay ,,is taGhazzul se bharpoor Haseen takhleeq peh meree daad qubool keejiye-
khush rahye
du'aago
yasir
Bahut bahut shukriyah
Posted: Mon Aug 21, 2006 11:12 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Khozema Hussaini SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 20 ke miSreA per aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi aur aap ne mujhe daad o teHseen se navaazaa. Is izzat afzaayi ke liye maiN aapka tah-e-dil se shukrguzaar hooN. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhee aap khaksaar kee isi TaraH se HauSlah afzaayi farmaate rahenge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
bahut bahut shukriyah
Posted: Mon Aug 21, 2006 11:15 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
zarqa mufti SaaHibah,
Tasleemaat,
Guzarish 20 ke miSreA per aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi aur aap ne mujhe daad o teHseen se navaazaa. Is izzat afzaayi ke liye maiN aapka tah-e-dil se shukrguzaar hooN. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhee aap khaksaar kee isi TaraH se HauSlah afzaayi farmaate rahenge.
khair andesh,
Nazir.
Bahut bahut shukriyah
Posted: Mon Aug 21, 2006 11:18 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Zia Balock SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 20 ke miSreA per aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi aur aap ne mujhe daad o teHseen se navaazaa. Is izzat afzaayi ke liye maiN aapka tah-e-dil se shukrguzaar hooN. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhee aap khaksaar kee isi TaraH se HauSlah afzaayi farmaate rahenge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Bahut bahut Shukriyah
Posted: Mon Aug 21, 2006 11:21 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
MuHtaramah Saara SaaHibah,
- -- -
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 20 ke miSreA per aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi aur aap ne mujhe daad o teHseen se navaazaa. Is izzat afzaayi ke liye maiN aapka tah-e-dil se shukrguzaar hooN. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhee aap khaksaar kee isi TaraH se HauSlah afzaayi farmaatee rahengee.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Bahut bahut shukriyah
Posted: Mon Aug 21, 2006 11:24 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Hassan_Bashir SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 20 ke miSreA per aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi aur aap ne mujhe daad o teHseen se navaazaa. Is izzat afzaayi ke liye maiN aapka tah-e-dil se shukrguzaar hooN. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhee aap khaksaar kee isi TaraH se HauSlah afzaayi farmaate rahenge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Bahut bahut shukriyah
Posted: Mon Aug 21, 2006 11:25 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Yasir Shah SaaHib,