Page 1 of 1

:: zindagee ka sahaara gayaa ::

Posted: Wed Aug 09, 2006 6:49 am
by Star Mind
Yaaraan-e-meHfil, aadaab !!

go is bazm maiN kuchh wujoohaat ki binaa par muddatoN na aasaka , magar aaj na jaane kyoN qadam idhar le aaye !!

aap ki Khidmat maiN aaj apnee aek taaza Ghazal paish karne ki jasaarat kar rahaa hoN ,ummeed hai k pasaNd aayegee !! shukriya

Ghazal

1.

zindagee ka sahaara gayaa
dil to be-maut maara gayaa !

2.

ab nigaahoN se kyaa kaam loN
meri aaNkhoN ka taara gayaa

3.

raat bhar shama' kee jot par
naam tera pukaara gayaa

4.

lizzat-e-zaKhm-e-ulfat na poochh !
un k dar par do baara gayaa

5.

i'shq kaa raaz mujh par khulaa
aag se jab guzaara gayaa

6.

jab bhi KhooN ki Z^aroorat paRee
dil chaman maiN hamaara gayaa

7.

Khonn-e-u'shshaaq se baarahaa
gulsitaaN ko nikhaara gayaa !

8.

jaise mujh par ho iHsaaN koi
qabr maiN youN utaara gayaa !!

9.

bazm-e-rindaaN Zia kyoN saje
maykade ka sitaara gayaa !!

..........................................................

shukriya

Zia Baloch

Posted: Wed Aug 09, 2006 7:24 am
by Ibn-e-siddique
zia saHib

aadaab arz hai

janaab aap ki ghazal per ham deegar meHfil meiN daad de chuke haiN, yahaaN bhi qubool farmaaiye

niaaz.mand

amjad

Posted: Thu Aug 10, 2006 7:26 am
by Star Mind
Ibn-e-siddique wrote:zia saHib

aadaab arz hai

janaab aap ki ghazal per ham deegar meHfil meiN daad de chuke haiN, yahaaN bhi qubool farmaaiye

niaaz.mand

amjad
Amjad SaaHib, w/salaam

janaab aap ka ik baar phir tah-e-dil se mamnoon hoN !
shukriya

Zia Baloch

Re: :: zindagee ka sahaara gayaa ::

Posted: Mon Aug 14, 2006 8:52 am
by Star Mind
sara_j wrote:
Star Mind wrote:Yaaraan-e-meHfil, aadaab !!

adaab arz hei Zia sahib!

go is bazm maiN kuchh wujoohaat ki binaa par muddatoN na aasaka , magar aaj na jaane kyoN qadam idhar le aaye !!

kya bazm mein maujood kuch wujoohaat hein? tou bataiye janab un wujoohaat ko door kardenge aapki rehnumayee se..........aaj apke qadam idhar le aaye tou ye humare liye khushi ka baa'is hein aur hum Allah ka shukr ada karte hein ke aap is bazm ko bhoole nahi

aadaab Saara jee,

nahiN aisee koi baat nahiN , aSl maiN ye site ham se khul na sakaa thaa !
ab Theek hai , aisee kayee meHfileN haiN jo khultee nahiN haiN ! Allah ka shukr hai k phir aa sake !
mujhe Khudh bhee beHad Khushee hotee hai aap logoN se mil kar ! :-)


aap ki Khidmat maiN aaj apnee aek taaza Ghazal paish karne ki jasaarat kar rahaa hoN ,ummeed hai k pasaNd aayegee !! shukriya

pehle ye bataiye kya ye ghazal sirf aapka khayaal hei kya?

jee Huzoor ! kuchh Khayaal hai kuchh sachchaaiyaaN haiN !
:grin:


":: zindagee ka sahaara gayaa ::" mian zara tashweesh mein pargayi hoon kis baat ne apko ye likhne per majboor kiya hei?


janaab aap Khudh shaai'ra haiN behtar tor par samajh saktee haiN ! :-)
Ghazal


1.

zindagee ka sahaara gayaa
dil to be-maut maara gayaa !

2.

ab nigaahoN se kyaa kaam loN
meri aaNkhoN ka taara gayaa

3.

raat bhar shama' kee jot par
naam tera pukaara gayaa

4.

lizzat-e-zaKhm-e-ulfat na poochh !
un k dar par do baara gayaa

5.

i'shq kaa raaz mujh par khulaa
aag se jab guzaara gayaa

6.

jab bhi KhooN ki Z^aroorat paRee
dil chaman maiN hamaara gayaa

7.

Khonn-e-u'shshaaq se baarahaa
gulsitaaN ko nikhaara gayaa !

8.

jaise mujh par ho iHsaaN koi
qabr maiN youN utaara gayaa !!

9.

bazm-e-rindaaN Zia kyoN saje
maykade ka sitaara gayaa !!

..........................................................

shukriya

Zia Baloch
ghazal ki rawani pasand aayi aur ashaar bhi ache hain.

daad qubool keejiye aur aapke aur bhi kalaam ka intezar rahega.

mukhlis

sara


shukriya Saara jee ! aap ka Husn-e-nazar hai !

Zia Baloch