Page 1 of 1

ghazal aab e abroo e dildaar apni jagah

Posted: Thu Jan 27, 2005 1:02 pm
by khozema husaini
url]aadaab
apni nai kawish ke saath hazir e khidmat hoon is ummeed ke saath k qaraeen hazraat apne taasuraat se zaroor aagaah farmayenge
talib e duAa
husaini

:lol:
ghazal

Aab e abroo e dildaar apni jagah
KHanjar o teer o talwaar apni jagah

Teray jhootay talabgaar apni jagah
Aur haqeeqi tarafdaar apni jagah

Teri aaNkhoN ka inkaar apni jagah
aur mire dil ka israar apni jagah

Sharm aur shak ki deewaar apni jagah
Aur mira shouq e deedaar apni jagah

Tu hay pursish say baizaar apni jagar
jaN ba lab teray beemaar apni jagah

shahrahoN pay niklay jo tu be hijaab
gir paReN GHash meN do chaar apni jagah

muntazir heN naveed e bahisht e bareeN
paarsaa o gunaahgaar apni jagah

aayegaa aik din izn e bazm e husain
hum bhi baiThhay heN taiyaar apni jagah

ehl e urdu kay dil meN bananay lagay
ab husaini kay ashaar apni jagah

Poet: khozema husaini husaini
Location: khandwa, m.p., india
Submitted on: October 7, 2004



--------------------------------------------------------------------------------

[/url]

shukriyah

Posted: Sat Jan 29, 2005 2:37 pm
by khozema husaini
sara_j wrote:Khozema ji,

bohat khoob! aapka shaayrana andaz mujhe bohat pasand aata hai.

shukriya,

sara
saraji

is mohabbat ka bohat bohat shukriyah

husaini