Page 1 of 1

Maadar e Mehrbaan

Posted: Fri Aug 11, 2006 8:27 pm
by Waqar Zaidi
azeez saathio !

Assalaam o Alaiykum !

intahaaii sogawaar hoon keh mairi piyaari maan 10th July,2006 Monday ko 11.00 am par daar ul fanaa say daar ul baqaa ki taraf safar par rawaanah ho gayien. Allah taalaa say un ki maghfirat aur ham sab kay liyay sabr e jameel ki duaa kijiyay. un kay liyay dili jazbaat ko paish karnay ki koshish ki hay.

Maader e Mehrbaan
--------------------------

mairi maan is jahaan say us jahaan chali gaie

maira jism reh gayaa aur mairi jaan chali gaie

fasurda mairay saath hain ye aaftaab o maahtaab

mairi maan chali gaie haan mairi maan chali gaie

jis ki har aik baat mein piyaar thaa,khuloos thaa

wo abhi to thi yahaan wo abhi kahaan chali gaie

wo jis kay dam qadam say thi raushni hi raushni

wo misaal e shamaa bujh gaie dhuaan dhuaan chali gaie

ashk mairi chasm kay jazb hon kis ki god mein

wo mehrbaan thi mujh pe jo wo mehrbaan chali gaie

jis jahaan say laut kar aayaa na koii aaj tak

wo bhi unhin mein aik thi wo bhi wahaan chali gaie

jis kay lab pe har gharhi duaayain hi duaayain theen

misaal e saayebaan thi jo wo mairi maan chali gaie

Waqar us ki yaad mein rotaa hoon raat raat bhar

jo mairi ghamgusaar thi wo mairi maan chali gaie

================================================

Posted: Sat Aug 26, 2006 5:32 am
by Waqar Zaidi
Mohtarmah Sara Sahiba !

Assalaam o Alaikum, aap kaa bohat shukr guzaar hoon keh aap nay mairay dili jazbaat ko saraahaa. yaqeen jaaniyay keh main nay yeh ashaar kisi taareef o tauseef kay liyay nahin likhay balkeh mujhay to yeh bhi maaloom nahin keh yeh ashhaar kehlaanay kay qaabil bhi hain yaa nahin , bus maan ki yaad jo dil say aik lamhay kay liyay nahin jaati woh yaad lafzon ki soorat mein na jaanay kaisay dhal gaii. aap aur tamaam ahbab say guzaarish hay keh un ki maghferat aur hamaaray liyay sabr e jameel ki duaayain kartay rahain. Allah aap ko taveel ul umri, tandaruti, khush haali aur apni bay shumaar naimaton say nawaazay. Aameen.

Waqar.

Bahut khoob

Posted: Sat Aug 26, 2006 6:29 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Waqar Zaidi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazam jo dili jazbaat se bharpoor hei, bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

mairi maan is jahaan say us jahaan chali gaie
maira jism reh gayaa aur mairi jaan chali gaie


Is nazm kee beHr ko samajhne meiN mujhe diqqat pesh aayi. Isil liye mandarja-e-baalaa sheAr ke doosre miSreA meiN mujhe "jism" kaa Harf "meem" ziyaadah mehsoos houaa aur lafs "aur" kee bajaaye "tou" munaasib hei. YaAni miSreA ko yooN hounaa chaahiye thaa:
maira jis rehgayaa, tou mairi maaN chali gaie. Isi bunyaad per maiN aapki poori nazm ko dekhne se qaaSir hooN. Agar mujh se koii ghalaTi hourahi hei tou vaZaaHut farmaayiye. Aage kuch aur kehnaa mushkil hei. HaaN jazbaat ke liHaaz se mujhe nazm bahut pasand aayi.
=======

fasurda mairay saath hain ye aaftaab o maahtaab
mairi maan chali gaie haan mairi maan chali gaie

jis ki har aik baat mein piyaar thaa,khuloos thaa
wo abhi to thi yahaan wo abhi kahaan chali gaie

wo jis kay dam qadam say thi raushni hi raushni
wo misaal e shamaa bujh gaie dhuaan dhuaan chali gaie

ashk mairi chasm kay jazb hon kis ki god mein
wo mehrbaan thi mujh pe jo wo mehrbaan chali gaie

jis jahaan say laut kar aayaa na koii aaj tak
wo bhi unhin mein aik thi wo bhi wahaan chali gaie

jis kay lab pe har gharhi duaayain hi duaayain theen
misaal e saayebaan thi jo wo mairi maan chali gaie

Waqar us ki yaad mein rotaa hoon raat raat bhar
jo mairi ghamgusaar thi wo mairi maan chali gaie



Aapka MukhliS,
Nazir.


sad afsos

Posted: Thu Oct 12, 2006 6:45 pm
by Saba
Mohtaram Waqar Zaidi Saahib !

Assalaam o Alaikum, aap ki waaleda mohtarema kay intaqaal e pur malaal kaa parhh kar intahaaii afsos huaa, kiaa karain keh insaan yahaan bilkul bay bas hay, siwaaye duaa kay aur kuchh nahin kiyaa jaa saktaa, Allah un ki maghferat farmaayay aur aap samait jumla muttaleqeen ko sabr ki nemat say nawaazay, aameen.