Page 1 of 1

Amjad SaaHib k naam> koi chhaayaa hai mire dil pe saHar k

Posted: Mon Aug 14, 2006 8:54 am
by Star Mind
Yaaran-e-meHfil, aadaab !

kal Amjad SaaHib ki KhoobSoorat Ghazal dekhee aur woh bhi Haali ki zameen maiN to t^abi'at is t^araH phaRak uTThee k raat bhar maiN isee zameen maiN Ghazal hogayee jise aaj SubH aap ki nazr kar rahaa hoN ! Ghazal Amjad SaaHib k naam kartaa hoN ! :D

Ghazal

1.

kitni pyaaree hai tire teer-e-naz^ar ki Soorat
choom leta hoN jise zaKhm-e-jigar ki Soorat ! :-17

2.

jaane kab TooT gire puKhta-camar ki Soorat
zindagee hai miri ik girte shajar ki Soorat ! :smt120

3.

saaqiyaa ! jaam koi jaam-e-naz^ar ki Soorat
may kasho ! raqS koi rqaS-e-sharar ki Soorat ! :smt045 *

4.

ye shab-o-roz haiN taSveer tiree yaadoN ki
dil maiN rakkha hai jise shams-o-qamar ki Soorat ! ;)

5.

aa k kuchh phool khilaade mire weeraane maiN
qarya-e-dil se guzar baad-e-saHar ki Soorat ! ;)

6.

zindagee aek zamaane se hai aawaara-e-dasht !
liye phirtee hai mujhe gard-e-safar ki Soorat ! :smt120

7.

teri qurbat ne ise AUR banaayaa hai HaseeN !
qaabil-e-deed hai bulbul ! gul-e-tar ki Soorat ! ;)

maqt^a NO 1

8.

jis t^araf aaNkh uThe SubH ka a'aalam hai Zia
koi chhaayaa hai mire dil pe saHar ki Soorat !! :smt045

maqt^a' NO 2

9.

kitne insaan Haqeeqat maiN darinde haiN Zia
naz^ar aate haiN baz^aahir jo bashar ki Soorat !! :evil:

.................

shukriya

Zia Baloch

*

Faiz ka she'r hai

saaqiyaa raqS koi raqS-e-Sabaa ki Soorat
mut^ribaa koi Ghazal raNg-e-Hinaa ki Soorat

Posted: Mon Aug 14, 2006 9:58 am
by hassan_bashir
Zia bhaii aadab arz hai!

kaise mizaaj haiN? :-)

arre bhaii vahh aap ne to raat bhar meiN yeh shaandaar mehal taameer kar diyaa - - - - bohat aChhe! :grin:

mazaaq-bar-taraf, Ghazal bohat umda'h hai mujhe to saare hee ash'aar pasaNd aaye so daad haazir hai. :rose

khush raheN!

~ Hassan ~

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Aug 15, 2006 11:42 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guz.20 ke miSreA per aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad wubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT

kitni pyaaree hai tire teer-e-naz^ar ki Soorat
choom leta hoN jise zaKhm-e-jigar ki Soorat !


Achcha maTlA hei, waah waah.

jaane kab TooT gire puKhta-camar ki Soorat
zindagee hai miri ik girte shajar ki Soorat !


"Zindagi naam hei mar mar ke jiye jaane kaa" (Fani)

saaqiyaa ! jaam koi jaam-e-naz^ar ki Soorat
may kasho ! raqS koi rqaS-e-sharar ki Soorat !


achcha Husn-e-maTlaA hei, waah waah.

ye shab-o-roz haiN taSveer tiree yaadoN ki
dil maiN rakkha hai jise shams-o-qamar ki Soorat !


achcha sheAr hei, waah waah.

aa k kuchh phool khilaade mire weeraane maiN
qarya-e-dil se guzar baad-e-saHar ki Soorat !


waah waah, bahut khoob.

zindagee aek zamaane se hai aawaara-e-dasht !
liye phirtee hai mujhe gard-e-safar ki Soorat !


waah waah, bahut khoob.

teri qurbat ne ise AUR banaayaa hai HaseeN !
qaabil-e-deed hai bulbul ! gul-e-tar ki Soorat !


achcha sheAr hei, waah waah.

jis t^araf aaNkh uThe SubH ka a'aalam hai Zia
koi chhaayaa hai mire dil pe saHar ki Soorat !!


achcha maqTaA hei, waah waah.

kitne insaan Haqeeqat maiN darinde haiN Zia
naz^ar aate haiN baz^aahir jo bashar ki Soorat !!


Yeh maqTaA bhee achcha hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed Aug 16, 2006 6:34 am
by Star Mind
hassan_bashir wrote:Zia bhaii aadab arz hai!

kaise mizaaj haiN? :-)

arre bhaii vahh aap ne to raat bhar meiN yeh shaandaar mehal taameer kar diyaa - - - - bohat aChhe! :grin:

mazaaq-bar-taraf, Ghazal bohat umda'h hai mujhe to saare hee ash'aar pasaNd aaye so daad haazir hai. :rose

khush raheN!

~ Hassan ~
Hassan bhai, w.salaam

Allah ka karam hai

aap sunaayeN ??

janaab aap ka Husn-e-nazar hai !

hamesha aap ki raaye ka intezaar rahega !

shukriya

Zia Baloch

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Aug 16, 2006 6:38 am
by Star Mind
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guz.20 ke miSreA per aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad wubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT

kitni pyaaree hai tire teer-e-naz^ar ki Soorat
choom leta hoN jise zaKhm-e-jigar ki Soorat !


Achcha maTlA hei, waah waah.

jaane kab TooT gire puKhta-camar ki Soorat
zindagee hai miri ik girte shajar ki Soorat !


"Zindagi naam hei mar mar ke jiye jaane kaa" (Fani)

saaqiyaa ! jaam koi jaam-e-naz^ar ki Soorat
may kasho ! raqS koi rqaS-e-sharar ki Soorat !


achcha Husn-e-maTlaA hei, waah waah.

ye shab-o-roz haiN taSveer tiree yaadoN ki
dil maiN rakkha hai jise shams-o-qamar ki Soorat !


achcha sheAr hei, waah waah.

aa k kuchh phool khilaade mire weeraane maiN
qarya-e-dil se guzar baad-e-saHar ki Soorat !


waah waah, bahut khoob.

zindagee aek zamaane se hai aawaara-e-dasht !
liye phirtee hai mujhe gard-e-safar ki Soorat !


waah waah, bahut khoob.

teri qurbat ne ise AUR banaayaa hai HaseeN !
qaabil-e-deed hai bulbul ! gul-e-tar ki Soorat !


achcha sheAr hei, waah waah.

jis t^araf aaNkh uThe SubH ka a'aalam hai Zia
koi chhaayaa hai mire dil pe saHar ki Soorat !!


achcha maqTaA hei, waah waah.

kitne insaan Haqeeqat maiN darinde haiN Zia
naz^ar aate haiN baz^aahir jo bashar ki Soorat !!


Yeh maqTaA bhee achcha hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.

ustaad-e-moHtaram ! aadaab !

janaab aap ka Husn-e-nazar hai warna maiN to kuchh bhi nahiN ! aap ne to maashaa Allah pooree Ghazal ko daad se nawaaza hai ! kaise aap ka shukreiya adaa karoN ?

maiN ne ab Ghazal pe naz^ar caani k baa'd Ghazal dobaara likhee hai ! Haazir hai !

shukriya

Zia Baloch

Posted: Wed Aug 16, 2006 6:41 am
by Star Mind
yaaran-e-meHfil, aadaab !

Ghazal ki naz^ar-e-caani shudaa shak paish hai !

shukriya

GHAZAL (NAZAR CAANI SHUDA) :D


1.

aa zaraa dekh mire phool-nagar ki Soorat
tere jaate jo hoii aek khaNDar ki Soorat !!

2.

kuchh to raNgeeN ho kahaanee shab-e-tanhaaii kii
aa ! mire dil maiN utar teer-e-naz^ar ki Soorat !!

3.

aa bhi jaao k abhi dil ki faZ^aa raushan hai !
bujh na jaaye kaheeN phir shama'-e-saHar ki Soorat !!

4.

tum bataao to sahee kaise sahaaraa doN tumheN ??
zindagee hai miri Khud girte shajar ki Soorat !!

5.

ye shab-o-roz haiN zanjeer tiree yaadoN ki
kaaTtaa hoN maiN jise shams-o-qamar ki Soorat

(shams-o-qamar ka zanjeer kaaTne se muraad gardis-e-shams-o-qamar hai ! ) ;)

6.

zindagee aek zamaane se hai aawaara-e-dasht !
liye phirtee hai mujhe gard-e-safar ki Soorat !!

7.

na woh ra'naai na Khushboo na hi woh Khanda-labee
kyaa se kyaa hogayi bulbul ! gul-e-tar ki Soorat !!!!!

8.

koi samjhaaye yahaaN se Haadica kyaa guzraa hai ??
maiN na pihchaan sakaa apne hi ghar ki Soorat !

9.

woh mujhe choR chalaa aur maiN HeraaN HeraaN !
dekhtaa reh gaya bas raahguzar ki Soorat !!

10

jis t^araf aaNkh uThee SubH ka a'aalam thaa Zia !!
kaun chhhayaa tha mire dil pe saHar ki Soorat ??


...............................................

shukriya

Zia Baloch

Posted: Fri Aug 18, 2006 9:34 am
by Star Mind
sara_j wrote:Zia sahib,

adaab arz hei.

sabse pehle tou amjad sahib ka shurkya ada karun jinki

ghazal ne aapko is taraf mutavajjih kiyaa aur humein

aapki ye khoobsurat takhleeq parhen ko mili.

is khoobsurat takhleq per daad qubool keejiye.

sara
Saara SaaHiba, w/salaam

Huzoor ! aap aaye bahaar aayee ! janaab jab bhi shaai'raana tabee'at phaRaktee hai ! Ghazal hojaatee hai ! :lol:
aap ne itne acche andaaz maiN daad dee ! aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN ! shukriya

Zia Baloch

Bahut khoob

Posted: Fri Aug 18, 2006 12:48 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne apni TaraHi ghazal meiN jo tabdeeliyaaN laayi hei, waaqaAi wo bahut hee achchi hei. Ab tou aapki ghazl aek bahut hee kuhnah mashq shaayer kee takhleeq se kam nahiN hei. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Bahut khoob

Posted: Fri Aug 18, 2006 5:20 pm
by Star Mind
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne apni TaraHi ghazal meiN jo tabdeeliyaaN laayi hei, waaqaAi wo bahut hee achchi hei. Ab tou aapki ghazl aek bahut hee kuhnah mashq shaayer kee takhleeq se kam nahiN hei. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

ustaad-e-moHtaram , w/salaam

Huzoor ! yaeena" ye aap ki moHabbat aur aap ka Husn-e-naz^ar hai ! warna man aanam k man daanam ! aap ne jin alfaaz maiN HoSla afzaayee farmaayee hai mere liye be-Had qeemati haiN ! aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN !

Zia Baloch