Page 1 of 1

////////"she'r"\\\\\\\\\ Nazm

Posted: Tue Aug 15, 2006 3:07 am
by yasir shah
she'r


kartaa naheeN meN garcheh koi da'waa-e-ManSoor
seenay meN dabee baat ko raKhtaa naheeN mastoor

ho shaai'r-e-gumnaam keh ho shaai'r-e-mash,hoor
hay she'r wahee fikr peh kartaa hay jo majboor

jo dil se nikaltaa hay pahunchtaa hay diloN tak
jo bujhtee huwee sham'oN ko kar detaa hay pur.noor

jo so.ay huwe dard jagaataa hay yakaayak
maayoos naheeN kartaa agar kartaa hay ranjoor

saame' peh giraaN guzray nah jo talkhee ke baa.'ic
qaaree ho mukhaalif bhi to qaaree ko ho manzoor

Iqbal kaa ik bait hay tamceel ke shaayaaN
mabnee.ba.Haqeeqat hay takhayyul se hay bharpoor

andaaz-e-bayaaN aag ki maanind hay pur.josh
paanee ki taraH Saaf hay pairaaya-o-mazkoor

parwaaz hay donoN ki usee aik faZaa meN
shaaheeN kaa jahaaN aur hay kargas kaa jahaaN aur

Haif ! ab keh sukhan maail-e-be.raahrawee hay
afsos keh mastoN ko karay aur bhi makhmoor

mojoodah zamaanay meN woh har shakhS sukhanwar
lay jaataa ho jo meHwar-o-markaz se bahut door

ash.'aar heN maykhaanay ki bahkee huwee baateN
sonay peh suhaagah yeh keh shaa.'ir huwaa maGhroor

bay par ki uRaanaa hay naheeN shaai'ree hargiz
woh she'r hi kyaa she'r jo paiGhaam se mahjoor

takhleeq bhi kya woh jo hay barbaadee ke darpay
ta'meer bhi kyaa woh jo hay takhreeb peh maamoor

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Aug 15, 2006 2:09 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
YaSir Shaah SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aek Taweel AarSe ke baAd aapki bahut hee achchi nazm ba'unwaan-e-sheAr paRhne ko mili. Is kamyaab ilmi nazm ke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Aug 16, 2006 4:21 am
by yasir shah
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
YaSir Shaah SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aek Taweel AarSe ke baAd aapki bahut hee achchi nazm ba'unwaan-e-sheAr paRhne ko mili. Is kamyaab ilmi nazm ke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

muHtaram janaab
Abdullah Nazir SaaHib !

aap ki tasleemaat par sar-e-tasleem.kham :-)
aur
assalamOalaikuM

hamaishah ki taraH aap ki faraakhdilee, dil baaGh baaGh kar ga.ee phir bhee aap ki ta'meeree tanqeed aur tajaaweez baraa-e-iSlaaH nah paa kar tishnagee see baaqee hay -

ummeed hay rabt qaaim raKheN gay-

khush rahye
du'aago
yasir

Posted: Wed Sep 13, 2006 3:04 pm
by tahira Masood
Yasir bha'ee

salaam

khoooob ast

daad qabul fermeeiye

wassalm

Posted: Thu Dec 21, 2006 11:03 am
by yasir shah
tahira Masood wrote:Yasir bha'ee

salaam

khoooob ast

daad qabul fermeeiye

wassalm

bahan Taahirah !


bhaijee thee daad ham ko sitambar meN ,, shukriyah !!
keejay wuSool aap disambar meN shukriyah
:lol:

Posted: Thu Dec 21, 2006 8:54 pm
by muhammad_19k
Salam Yasir sb,

iss bazm meiN nayaa hooN. aap ki do takhleeqat nazar se guzr chuki haiN donoaN hi bohat pasand aa-aaeN. daad qabool keejiaye.

Talib e ilm,
Muhammad Khawar.

Posted: Mon Dec 25, 2006 10:14 am
by yasir shah
muhammad_19k wrote:Salam Yasir sb,

iss bazm meiN nayaa hooN. aap ki do takhleeqat nazar se guzr chuki haiN donoaN hi bohat pasand aa-aaeN. daad qabool keejiaye.

Talib e ilm,
Muhammad Khawar.

Muhammad Khawar saaHib!
assalamoa'laikuM

aap ko bazm meN khushaamdeed kahtaa hooN - aap ki daad mere liye baa.i'c-e-masarrat hay ,,ummeed hay ab mulaaqaatoN kaa silsilah chal niklay gaa-

khush rahye
du'aago
yasir