Page 1 of 1
Posted: Wed Aug 16, 2006 6:33 pm
by hassan_bashir
Sara jii aadaab arz hai!
so aaj kaa kalaam nazar navaaz huaa, aChhe ash'aar kahe haiN aap ne mujhe to sabhii pasaNd aaye.
so daad qubuul keejiYe. :rose
~ Hassan ~
Bahut khoob, waah waah
Posted: Thu Aug 17, 2006 2:40 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki dilkash ghazal nazarnavaaz houi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Go keh ghazal mukhtaSar hei lekin ashAar bahut khoobSoorat heiN.
MULAAHIZAAT:
1. shamma ke jalne se roushan hui ghar kee soorat
raah-e-ulfat meiN hei aisi hee bashar kee soorat
Waah waah bahut khoob tashbeeh hei ke shamA ke jalne se jo Soorat-e-Haal houti hei vohi raah-e-muHabbat meiN bashar kee Soorat houti hei.
2. rang titli ne diye phool ne bakhshi khushbu
dulhan is TarH saji ghuncha-e-tar kee Soorat
Waah waah, bahut khoob. Dulhan ke sajne meiN titili ke Ataa kardah rang yaAni uske khoobSoorat jamaaliyaati rang aur phool kee khushboo shaamil hei. Kyaa kahne.
3. behte jharnoN kaa Tarab shabnami maaHaul-e-chaman
dil lubhane lage anwaar-e-sahar kee soorat
Waah waah bahut khoob, ye sheAr bhee bahut achcha hei kyaa taSveer nigaari hei.
4. kya khabar thi ke ghata chaayegi, barse gi nahiN
"khaak ummeedeN houeeN gard-e-safar kee Soorat"
Waah waah, bahut khoobSoorat gireh hei.
5. un ka izhaar bhee ab hougayaa mushkil Saara
hain amaanat jo nishaan dard-e-jigar kee soorat
Waah waah Saara SaaHibah kyaa kahne bahut achcha maqTaA hei. Wo nishaan jo dard-e-jigar kee Soorat heiN ab unkaa izhaar bhee mushkil hougayaa hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Thu Aug 17, 2006 4:03 am
by yasir shah
. behte jharnoN kaa Tarab shabnami maaHaul-e-chaman
dil lubhane lage anwaar-e-sahar kee soorat
kya khabar thi ke ghata chaayegi, barse gi nahiN
"khaak ummeedeN houeeN gard-e-safar kee Soorat"
un ka izhaar bhee ab hougayaa mushkil Saara
hain amaanat jo nishaan dard-e-jigar kee soorat
behen Saraa !
assalamOalaikuM
aap ki Ghazal bahut pasand aa.ee ,,khaaS tor par mandarjah.baalaa ash.'aar -
khush rahye
du'aago
yasir
Posted: Thu Aug 17, 2006 10:50 am
by farhan
As salamu aalium wa rahmatullahi wa barakatuhu....
Sara Ji....
Mashallah kafi khubsoorat ashaar kahay hain aap nay....bahut hi haseen ghazal hai..har shair lajawaab hai.....may jaanib say daad qabool kijeaga....
farhan
Posted: Thu Aug 17, 2006 2:43 pm
by Star Mind
Saara behen , aadaan
ab Nazir SaaHib k shaandaar tabSire k baa'd kuchh kehne ki gumjaaish na rahee ! daad Haazir hai !
Zia Baloch
Posted: Fri Aug 25, 2006 9:15 am
by zmufti
Sara jee
Mushairey maiN aap kee ghazal buhat pasand aayii meri janib se daad qabool kijye
regards
zmufti