Band kee houi laRi / MuHtaram Sarwar SaHib ke liye
Posted: Thu Aug 17, 2006 3:43 pm
yaaraan-e-bazm: aadaab-o-tasleemaat!
yeh dekh` kar masarrat huyee keh is meHfil meN Hind-o-Pak ke shaa,i'roN kaa kalaam diyaa jaa rahaa hai. albattah yeh dekh` kar Hairat bh`ee huyee keh is kalaam ke intiKhaab meN behtaree kee kaafee gunjaa,ish hai!
internet kee har meHfil meN naYe likh`ne waale baRee ta'daad meN aate haiN jab.k un kee madad karne waale bohat kam haiN. aisee Soorat meN yeh nau-waarid dost yahaaN dee gayee shaa,i'ree se hee apnee bisaat^ bh`ar seekh`ne kee koshish kareN ge. agar bazm meN kalaam ma'yaaree naheeN ho gaa to us kaa nateejah z^aahir hai!
is Khat^ kee muHarrik Nusrat Zehra kee darj-e-zel Ghazal hai jis ko yahaaN imtiyaazee maqaam par chaspaaN kiyaa gayaa hai. agar barr-e-SaGheer-e-Hind-o-Pak meN aisee hee shaa,i'ree ho rahee hai to yeh ek maqaam-e-i'brat hai! waise mujh` ko yaqeenee t^aur par i'lm hai keh Nusrat Zohra kee yeh Ghazal hamaare wat^an meN aaj kee jaane waale shaa,i'ree kee numaa,indah hargiz naheeN hai!
meHfil ke arbaab-e-iqtidaar se darKhwaast hai keh woh in ma'rooZ^aat par Ghaur farmaaYeN. jis meHfil kee baag-dor janaab Abdullah Nazir SaaHeb jaise SaaHib-e-i'lm-o-naz^ar ke haath`oN meN ho wahaaN ham ooNche ma'yaar kee ummeed karne meN Haq-bajaanib haiN! ab aa,iYe ek naz^ar is Ghazal par bh`ee Daal leejiYe!
--------------------------------
shab-e-firaaq bh`ee teree shabeeh banaatee rahee
kasak meN koyee Khushboo mujh`e sujh`aatee rahee
is Ghazal kaa wazn yooN hai:
mu-faa-i'-lun, fa-i'-laa-tun, mu-faa-i'-lun, fa'-lun (yaa, fa-i'-lun)
mat^le' ke donoN miSre' saaqit^-ul-wazn haiN! :shabeeh: ko :shabee: paRhiYe to pehlaa miSra' mauzooN hotaa hai! shaa,i'rah ne Hindi kaa lafz^ :ch`abee: hee likh` diyaa hotaa! kam se kam wazn to durust ho jaataa! doosraa miSra' nah Sirf wazn se Khaarij hai bal.k be-ma'nee bh`ee hai! mazeed yeh keh donoN miSro'N meN baahimee rabt^ bh`ee naa-paid hai! goyaa mat^la' muhmal hai! koyee batlaa,o keh ham batlaaYeN kyaa?
------------------------
miree galee meN koyee aas th`ee nah dh`okaa th`aa
tire gumaan, miree reh-guZar sajaatee rahee
yeh she'r bh`ee be-ma'nee aur muhmal hai! doosraa miSra' to is qadar be-faiZ^ hai keh kyaa kahiYe! "tire gumaan, miree reh-guzar sajaatee rahee"- ya'nee kyaa? mumkin hai keh Nusrat Zehra she'r kaa mat^lab samjh`aa sakeN! is waqt to :mat^lab-e-she'r dar bat^n-e-shaa,i'r: waalee baat hee
Saadiq aa rahee hai!
-------------------------
woh Khwaab meN bh`ee mujh`e dam-baKhood kiYe rehnaa
tiree naz^ar miree aaNkh`oN ke geet gaatee rahee
:tiree naz^ar: meree :aaNkh`oN ke geet: kaise gaa saktee hai, aur woh bh`ee Khwaab meN? she'r kyaa hai :ik mu,a'mmah hai samajh`ne kaa nah samjh`aane kaa!:. kyaa Sara Jabeen SaaHebah is silsileh meN meree madad kar saktee haiN? unhoN ne hee is Ghazal kaa intiKhaab kiyaa hai!
--------------------------------
bohat hee sard kisee Khunk zard mausam meN
tiree Sadaa mire dil ke qareeb aatee rahee
yeh :sard, Khunk: mausam kyaa hotaa hai? waise yeh bh`ee a'rZ^ hai keh SaHeeH lafz^ hai :Khunuk: nah keh :Khunk:! aur is ke ma'nee haiN :sard:! aaj ma'loom huwaa keh :sard: mausam :Khunk: (Khunuk) ya'nee :sard: bh`ee ho saktaa hai! maashaa Allah!
--------------------
koyee payaam galee se bh`ee teree aayaa th`aa
Sabaa sitaare miree raah meN bich`aatee rahee
she'r Ghaneemat hotaa agar baat kaam kee kahee gayee hotee. is se qabl ham ne Sabaa ko ph`ool aur kaliyaaN to bich`aate sunaa th`aa lekin :sitaare bich`aate: naheeN sunaa th`aa. so yeh inkishaaf bh`ee aaj ho gayaa! Khudaa jaane yeh kaun see Sabaa hai jo aasmaan se sitaare toR laayee hai!
Nusrat Zehra Saahebah ne apnee shaa,i'ree ke aaGhaaz ke Hawaaleh se kahaa hai keh :yeh paidaa,ish se hee Allah rabb-ul-i'zzat kee t^araf se KhaaS a't^aa hai!:. agar un kaa mat^lab yeh hai keh un kee shaa,i'ree (yaa kam se kam yeh Ghazal) :bachkaanah: hai to mujh` ko un se pooraa ittifaaq hai!
Sarwar A. Raz "Sarwar"