Page 1 of 1

Posted: Tue Aug 22, 2006 12:52 pm
by Sarwar A. Raz
mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!

aaj kal sabh`ee meHfileN sust see haiN. log Ghaliba" ta't^eel par gaYe huwe haiN. yaa ph`ir har shaKhS maSroof hai! aap kee Ghazal paRh kar masarrat huyee. aap ne zameen bohat mushkil muntaKhib kee hai lekin us meN ash,a'ar Khoob nikaale haiN. meree naacheez daad qubool keejiYe.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Thu Aug 24, 2006 7:52 am
by yasir shah
isee kaa naam hay shaayed safar meN dooriy-e-manzil
saraaboN par gumaaN paanee kaa paanee aanKh se ojhal

behen Sara!
muHaram Abdullah Nazir SaaHib ki aik khoobSoorat aur dilkash Ghazal paish karne kaa bahut shukriyah qubool keejiye-

khush rahye
du'aago
yasir

shukriyah

Posted: Sun Aug 27, 2006 3:41 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Ghazal kee pazeeraayi ke liye tah-e-dil se shukrguzaar hooN.

Aapki aaraa se mustafeed houtaa rehtaa hooN. Waqt kee tangi aek aisaa mas'alah hei jiskaa koii Hal nahin nikal sakaa taake mufeed tafSeeli tabSire karne kee furSat mil sake. Shukriyah.


Aapka MukhliS,
Nazir.