Main ik kaaghaz ka tukrra hooN
Posted: Sat Aug 19, 2006 8:42 pm
Main ik kaaghaz ka tukrra hooN
Keh jis k ik taraf janaaN bohat say naam likhay haiN
Phir un mit_tay huay bayrang naamoN par
Jali harfoN sy ujla sa tumhaara naam likha hy
Aur us k doosri jaanib koi payghaam likha hy
Tumharay naam likha hay
Mujhay tum gum nahiN karna
Agar chaaho to kaapy(coppy) ya kisi bhi dairy maiN ik nishaani ban k reh looN ga
Kisi nakaam chahat ki nishani ban k reh looN ga
K gar tanhaai main chaaho mujhay kholo ,parho aur phir wahiN rukh do
Yeh tum par munhasir ho ga mujhay chaahay kahiN rukh do
Agar chaaho to apnay dil maiN hi mujh ko jagah dayna
KahiN ghazloN ya shayroN ki kitaaboN maiN saja dayna
Mujhay tum gum nahiN karna
Mujhay tum roz mat parrhna
Keh mumkin hy kabhi mayri koi boseeda teh mujh say alag ho kar tumharay haath aa jaay
Zamaany k labon par phir yoonhi koi baat aa jaay
MaiN aysa phool hooN jis ko kisi nay apnay haathoN sy
kisi tehni sy torra tha
barri shiddat sy chooma tha
main un haathoN ki aur hontoN ki hiddat bhi abhi mehsoos karta hooN
mujhay tum gum nahiN karna
mujhay tum ny utha kar aaj zulfon main sajaaya hy
labon sy bhi lagaya hy
tumhaari dastaras main hooN to ab paymaan maiN rakhna
agar mumkin na ho to phir bhi tum imkaan maiN rakhna
mujhay guldaan main rakhna
main aysa khaab hooN jis ko kai aankhon ny daykha tha
bohat baykhaab aankhaiN theeN
mujhay taknay ki khaahish maiN na ik pal bhi jhapakti theeN
mujhay tum aankh main rakhna
mukamal daastaN ka ik adhoora baab mut karna
mujhay bay khaab mat karna
kaai haathoN , kai hontoN
kitaaboN ,kaapioN ,aankhoN k rustay ab
tumhaaray paas aaya hooN
mujhy tum dairy,guldaan main ,aankhoN main ya dil main
jahaN chaho jaga dayna
magar bas gum nahin karna
razi-ud-din razi