"Ahmed Nadim Qasmi duniya se chal base"...........
Posted: Thu Aug 24, 2006 9:24 am
Dosto Salam!
Yeh marSia maiN ne mash'hoor shayar, adeeb aur SaHafee mohtarm Ahmed Nadim Qasmi SaHib marHoom ke inteqaal per kaha tha. Ummid hai pasaNd farmayeNge.
Allah marHoom ko apne jawar.e rahmat meN jagah de, aameen.
Jawaid Badauni
“Ahmed Nadim Qasmi” duniya se chal basey
Yeh Gam jahaan.e sher.o adab kis tarah sahe
:Ahmed Nadim Qasmee: duniya se chal base
Sher.o.sukhan ki duniya ko veeran kar gaye
Lo “Qasmi” bhi aaj jahaN se guzar gaye
“Urdu” bechaari yooN bhi GamoN ki satayee hai
rone ko woh :Nadim: ki mayyat per aai hai
maila nah hone paya abhi “Faiz” ka kafan
duniya se kooch kar gaya ik aur ahl.e fun
“Urdu” zubaaN yeh taza alam kis tarah sahe
HairaaN hai woh “Nadeem” ka Gam kis tarh sahe
Rote haiN geet dil hai rubaai ka bhee udaas
Hai Nazm mahv.e girya Gazal bhi hai mahv.e yaas
She.ro adab hi sirf nahiN maaiil.e alam
Unke liye hai aaj SaHafat bhi mahv.e Gam
Allah ne diye they unheN kis qadar hunar
Y’aani adeeb bhi tha SaHafee bhi woh bashar
Beshak jahaan.e fun meN woh thay maahir.e azeem
Ik kohna mashq ahl.e suKhan shaayar.e azeem
Parwardigaar Shafaa.e mahshar ka waastah
M’abood! tujhko pyaare Payamber ka wastah
Ya rub! tou unki saare KhataaoN ko baKhsh dey
MarHoom ke tamaam gunaahoN ko baKh dey
Sarkaar.e Anbiya’ ki shafaAt naseeb ho
Is shaayar.e buzurg ko jannat naSeeb ho
---------------------------------------------------
Jawaid Badauni
Muscat - oman