Page 1 of 1

"aadmi mushkil mei.n hai"taaza tarhi kalaam

Posted: Thu Aug 24, 2006 4:17 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

taza tarhi kalaam peshe khidmat hai

gar qubool uftad zahay .........

arz kiya hai......

khudnumaayee behaya insaan kay til til mei.n hai
sirf badnaami parayshaani rahay baatil mei.n hai

fitratay insaa.n bhulaakar aadmi mushkil mei.n hai
dar khuda kay maasiwa har shay' ka iskay dil mei.n hai

tha khazaana 'aql ka usko bhi zaaya kardiya
aap hi batlaaiye ab kya bachaa jaahil mei.n hai

mujhko bin maangay 'ata karta hai sab kuch dosto
jaanta hai rab mira kya mere zahno dil mei.n hai

hindu muslim sikh eesaayee kay bacchay ho.n tau kya
haqqo baatil ki samajh dunya kay har 'aaqil mei.n hai

deen jo bhi mail khaaye qudrati qaanoon say
bas samajh lo keh baqaa us maz'habay kaamil mei.n hai

waqt aanay per pata chal jaayega insaan ko
"hum abhi say kya bataaye.n kya hamaaray dil mei.n hai"

nekiyo.n say bhar kay daaman daaray faani say nikal
kaun jaanay kab talak haamid tu is mehfil mei.n hai

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Re: "aadmi mushkil mei.n hai"taaza tarhi kalaam

Posted: Sun Aug 27, 2006 7:37 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote:

tha khazaana 'aql ka usko bhi zaaya kardiya
aap hi batlaaiye ab kya bachaa jaahil mei.n hai

Hamid bhai,

salaam.

aapka taza tarhee kalaam bohat pasand aaya,

khaas quoted shair zabardast hei. daad qubool keejiye.

sara
wa alaikumssalaam
azeez behan sara

kaisee hai.n aap?

aapki purkhuloos daad kay hum behad shukriya ada kartay hai.n

jazakallah
aapka bhaai
haamidbaaqri