Page 1 of 1
:: phir koi jaam-e-junooN lab....( buGtee k qatl par ) ::
Posted: Sun Aug 27, 2006 8:50 am
by Star Mind
Yaaraan-e-meHfil, aadaab
kal maiN ne aek Ghazal post kee thee "kyaa Khabar kyaa howaa" laiken aaj qaumi Haalaat ki sangeenee ne kuch aur likhne par majboor kardiyaa ! lihaaza ab us Ghazal ko miTaa kar us ki jaga nayee taHreer ko jaga de rahaa hoN ! ummed hai k buraa nahiN maaneNge ! .......mulkee siyaasat maiN Haalaat ki sangeenee ka ta'alluq NAWAB AKBAR BUGTEE k qatl se hai !
Ghazal
1.
phir koi jaam-e-junoN lab se lagaayaa jaaye
phir koi talKh nashaa dil ko pilaayaa jaaye
2.
phir koi shama'-e-wafaa dil maiN ujaalaa karde
phir kisi shu'la-badaamaN ko bulaayaa jaaye !
3.
waqt hai phir kisi zindaaN maiN koi saaz baje
phir koi naGhma sar-e-daar sunaayaa jaaye !
4.
ab k meHfil maiN zaroorat hai junooN waaloN ki
kyoN na dil chaak kiye bazm maiN aayaa jaaye !
5.
dil jo taareek howe z^ulm ki taareekee se
ab unheN shama'-e-moHabbat se jalaayaa jaaye !
6.
teer woh teer hai jo paar ho seene k Zia
zaKhm woh zaKhm hai jo dil pe sajaayaa jaaye !
.............................................
shukriya
Zia Baloch
Posted: Sun Aug 27, 2006 11:32 am
by yasir shah
[quote author=StarMind link=topic=8366.msg101435#msg101435 date=1156668586]
Yaaraan-e-meHfil, aadaab
kal maiN ne aek Ghazal post kee thee "kyaa Khabar kyaa howaa" laiken aaj qaumi Haalaat ki sangeenee ne kuch aur likhne par majboor kardiyaa ! lihaaza ab us Ghazal ko miTaa kar us ki jaga nayee taHreer ko jaga de rahaa hoN ! ummed hai k buraa nahiN maaneNge ! .......mulkee siyaasat maiN Haalaat ki sangeenee ka ta'alluq NAWAB AKBAR BUGTEE k qatl se hai !
muHtaram janaab !
Zia SaaHib
assalamOala'ikum
Bugti saaHib kaa qatl yaqeenan aik karab.naak waaqi'ah hay aur mulkee taareekh peh aik siyaah dhabbay kaa iZaafah hay -
aap ke Hassaas dil ne is waaqi'aah par jis radd-e-a'mal kaa izhaar kiyaa hay woh yaqeenan qaabil-e-Sad.teHseen hay balkeh agar kahaa jaa.ay keh yahee jazbah chaahiye to Ghalat nah ho gaa-
har she'r pur.dard aur be.micaal hay -
yooN hi likhte rahye
du'aago
yasir
Posted: Sun Aug 27, 2006 12:32 pm
by Mayank
teer woh teer hai jo paar ho seene k Zia
zaKhm woh zaKhm hai jo dil pe sajaayaa jaaye !
Zia saahab,
yeH siyaasat ka khel pata nahee kab anjaam tak paNhuchega.... uff! par ghazal kee baat kareN to aap ne behad khoobsuurat likha hai.. andaaz e bayaan la-jawaab hai... Mere jaanib se daad quool kareN...
-Mayank
Posted: Mon Aug 28, 2006 7:08 pm
by poetrazi
zia sahib aaj k halaat k tanazur main aap ki ghazal parhi
daad qabool kijiay
thanx
razi
Posted: Mon Aug 28, 2006 7:34 pm
by Star Mind
yasir shah wrote:StarMind wrote:
Yaaraan-e-meHfil, aadaab
kal maiN ne aek Ghazal post kee thee "kyaa Khabar kyaa howaa" laiken aaj qaumi Haalaat ki sangeenee ne kuch aur likhne par majboor kardiyaa ! lihaaza ab us Ghazal ko miTaa kar us ki jaga nayee taHreer ko jaga de rahaa hoN ! ummed hai k buraa nahiN maaneNge ! .......mulkee siyaasat maiN Haalaat ki sangeenee ka ta'alluq NAWAB AKBAR BUGTEE k qatl se hai !
muHtaram janaab !
Zia SaaHib
assalamOala'ikum
Bugti saaHib kaa qatl yaqeenan aik karab.naak waaqi'ah hay aur mulkee taareekh peh aik siyaah dhabbay kaa iZaafah hay -
aap ke Hassaas dil ne is waaqi'aah par jis radd-e-a'mal kaa izhaar kiyaa hay woh yaqeenan qaabil-e-Sad.teHseen hay balkeh agar kahaa jaa.ay keh yahee jazbah chaahiye to Ghalat nah ho gaa-
har she'r pur.dard aur be.micaal hay -
yooN hi likhte rahye
du'aago
yasir
kaise haiN aap ?
janaab-e-man , aap jaise Hassas insaan se mujhe isee qism k jawaab ki tawaqqua' thee .
yaqeena" is k bure acarat murattab hoNge ! pehlee baat to ye hai k bad qismatee se is waqt pakistan maiN jamhooree Hukoomat nahiN balke faujee aamiriyyat ka daur hai ! faujee Hukmaraan se aur siyaasee a'mal ki tawaqqu' hee fuz^ool hai ! .....Pakistan k seene par jo zakhm Haakim-e-waqt ne lagaayaa hai us se bohut der tak Khoon rastaa rahega !
Ghazal ki pasandeedgee par tah-e-dil se mamnoon hoN ! shukriya
Zia Baloch
Posted: Mon Aug 28, 2006 7:47 pm
by Star Mind
Mayank wrote:teer woh teer hai jo paar ho seene k Zia
zaKhm woh zaKhm hai jo dil pe sajaayaa jaaye !
Zia saahab,
yeH siyaasat ka khel pata nahee kab anjaam tak paNhuchega.... uff! par ghazal kee baat kareN to aap ne behad khoobsuurat likha hai.. andaaz e bayaan la-jawaab hai... Mere jaanib se daad quool kareN...
-Mayank
Mayanak jee,. aadaab
Huzoor ! aap ka Husn--e-nazar hai ! warna man aanam k man daanam !
nehaayat mamnoon hoN jo aap aisa sochhte haiN ! ummed hai k aayenda bhi HoSla afzaayee farmaayeNge ! shukriya
Zia Baloch