Page 1 of 1

Ghazal-"jafaa woh apnoN pe karte haiN kuch siwaa akcar

Posted: Sun Aug 27, 2006 4:18 pm
by Daanish
azeezaan-e-bazm
aadaab
ek Ghazal pesh-e-Khidmat hai. mulaHeza farmaaiye aur apni aara se nawaaziye.
Daanish


jafaa woh apnoN pe karte haiN kuchh siwaa akcar
zabaan-e-Ghair se bhi hum ne yeh sunaa akcar

gurez karta hai aane se mere KhwaaboN meiN
woh shaKhs jo miri neendeiN uRaa gaya akcar

ajeeb shai hai tiri kaj_rawi ai charKh-e-kuhan
qadam qadam pe sitam ik naya hua akcar

barasne lagti hai aatish du'a-e-baaraaN par
hui hai apni du'a yuN bhi narasaa akcar

mire hi dum se munawwar thhi teri bazm-e-tarab
ba_rang-e-sham'a mira dil yahaN jalaa akcar

zameen-e-shayr bhi kya sanglaaKh hai Daanish
ke is meiN teesha-e-fan kund ho gaya akcar

Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Aug 30, 2006 9:12 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Daanish SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

jafaa woh apnoN pe karte haiN kuchh siwaa akcar
zabaan-e-Ghair se bhi hum ne yeh sunaa akcar


Bahut achchi maTlaA hei, waah waah.

gurez karta hai aane se mere KhwaaboN meiN
woh shaKhs jo miri neendeiN uRaa gaya akcar


Pahle miSreA ko badalne kee koushish keejiy tou behtar hei kiyunkeh "mere khwaabaoN meiN aane se" kaa maTlab yeh le rahe heiN "wo mujhe apne khwaabaoN meiN aane se rouktaa hei". Housaktaa hei ke yeh meraa quSoor-e-fehm hou.

ajeeb shai hai tiri kaj_rawi ai charKh-e-kuhan
qadam qadam pe sitam ik naya hua akcar


Bahut khoob, waah waah.

barasne lagti hai aatish du'a-e-baaraaN par
hui hai apni du'a yuN bhi narasaa akcar


Bahut khoob, waah waah.

mire hi dum se munawwar thhi teri bazm-e-tarab
ba_rang-e-sham'a mira dil yahaN jalaa akcar


Waah waah, kyaa kehne.

zameen-e-shayr bhi kya sanglaaKh hai Daanish
ke is meiN teesha-e-fan kund ho gaya akcar


Bahut khoob maqTaA hei, waah waah.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Wed Aug 30, 2006 9:56 am
by ahm4me
gurez karta hai aane se mere KhwaaboN meiN
woh shaKhs jo miri neendeiN uRaa gaya akcar

Mohtaram Danish Bhai
Adab

Ghazal pasand aai, khas ker darj bala shair,

daad hazir hay,

mukhlis,
Muhammad Ahmed.

Posted: Wed Aug 30, 2006 2:32 pm
by Daanish
Sara SaHeba
aadaab-o-tasleemaat
Ghazal ki pazeerayi ke liye aap ka shukrguzaar huN.
hausla afzaai ke bohat bohat shukriyah
basad Khuloos
Daanish

Posted: Wed Aug 30, 2006 2:37 pm
by Daanish
MoHatarami Nazir SaHeb
aadaab
Ghazal tafseel se paRHkar tabsirah farmaane ke liye aap ka ehsaanmand huN. umeed hai ke aap mustaqbil meiN bhi hum sab ki rehnumaayi apne mushfiqaana andaaz meiN isi taraH farmaayenge.
aap ka kehna durust hai. is misre'a ko badalne ki koshish karunga--
'gurez karta hai aane se mere KhwaaboN meiN'

aap ka mamnoon huN.
ijaazat
Daanish


Posted: Wed Aug 30, 2006 2:39 pm
by Daanish
mukarrami Mohammed Ahmed SaHeb
aadaab
Ghazal ki pazeeraayi ke liye izhaar-e-tashakkur pesh kar raha huN.
qubool farmaaiye.
aap ka muKhlis
Daanish

Posted: Thu Aug 31, 2006 10:40 am
by Mayank
Daanish saahab,

Aadab arz hai,

ek dil kaSh takhleeq peSh ki hai aap ne... sabhii Sher behad achchhe lage..

Ek khuubsuurat Ghazal ke liye mere jaanib se daad ke saath mubaarak baad qubool kareN.... yuuN hee bazm ko roShan raKhiye...

aap ka,

Mayank

Posted: Thu Sep 07, 2006 2:39 am
by Daanish
Mayankji
Ghazal pasand farmaakar daad se nawaazne ke liye shukriyah.
hausla afzaai ke liye aap ka mamnoon huN.
Khair andesh
Daanish