Page 1 of 1
Re: Is hafte ka kalaam.......Iqrar-e-wafa ummeed-e-karam.
Posted: Mon Aug 28, 2006 5:28 am
by Sarwar A. Raz
sara_j wrote:Ahle mehfil adaab arz hai,
is laRi mein har hafte urdubandhan aur deegar urdu mehfilon ke naamwar shoara ka kalaam pesh kiya jayega.
agar kisi member ki khaas fermaish hei tou PM se ittelah dene per aur ghazal ki copy bhejne per use bhi pesh kiya jayega.
aiye ab is hafte ki khaas peshkesh
a'zeezah Sara SaaHebah: aadaab!
i'zzat-afzaayee ke liYe dilee shukriya qubool keejiye!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Mon Aug 28, 2006 6:49 am
by yasir shah
intihaai dilkash
Sarwar SaaHib ki yeh shaandaar Ghazal pehlee martabah paRhee ,, is laajawaab paishkash peh aap kaa mamnoon hooN -
khush rahye
du'aago
yasir
Posted: Sun Sep 10, 2006 6:55 pm
by Atiq-ur-Rehman Saffy
Mohtarma Saara sahiba, assslam u Alikum,
mOHTRAM SARWAR ALAM RAZ SB KEE ITNI KHOOBSORAT GHAZAL pesh karna ka bohot bohot shukriya, ye ghazal jahan Sarwar raz sb ka azeem shahkar hai waisay hee ye aap kay husn-e-itakhaab kee bhi aaina daar hai.wah bohot khoob klaam pesh kiya hai aap nay.
meri tarf say sarwar alam raz ko itni khoobsorat ghazal kehnay per mubarakbaad pesh kejay ga,
naik taman,naoon kay saath,
Dua Goo,
Atiq-ur-Rehman Saffy
Posted: Sun Sep 10, 2006 8:05 pm
by zmufti
shukria sara jee
ghazal ki khoobsuti ke saath saath aap ki presentation bheee laajawab hai
Posted: Thu Sep 21, 2006 4:39 pm
by Raji
aray waah saraa sis kyaa baat hai...
yeh meree pasand aap kee pasand se kyaa Khoob Thakraayii hai.
moHtaram janab-e-Sarwar SaaHeb kee is be-panah dil-kash Ghazal ko ham se share karne ka bohat bohat.... balkeh bohat hee shukriyah
wassalam
Zahida Raees :Raji: