Page 1 of 1

"palat kay jaanay ko"taaza ghazal peshe khidmat ha

Posted: Mon Aug 28, 2006 6:16 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

taaza kalaam pesh kar rahy hai.n aapki khidmat mei.n umeed hai pasand farmaaye.nge.

arz kiya hai.......

jahaa.n mei.n bheja hame.n rab nay aazmaanay ko
kya aadmi ki hai auqaat yeh bataanay ko

khuda ka deen hai kya uspeh kaisay chalna hai
kayee hazaar nabi(a.s.)aaye yeh sikhaanay ko

woh kaun hai jo hamesha raha hai duniya mei.n
keh aaye hai.n yahaa.n hum sab palat kay jaanay ko

kahee.n ghareeb nah hojaaye.n bas isee dar say
ameer aatay nahi.n hai ghareeb khaanay ko

ameer pal mei.n yahaa.n per ghareeb hotay hai.n
sada yeh deta hai qur'aan har zamaanay ko

jo 'ilm tujhko diya rab nay baant day haamid
zameen dafn nah karday tire khazaanay ko

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah


Posted: Mon Aug 28, 2006 7:04 am
by yasir shah
muHtaram janaaB Haamid Baaqri SaaHib

assalamOa'laikuM

kese heN aap ? aap ki Ghazal nazar se guzree ,,aik baat jo meN aap se kehnaa chaahooN gaa yeh hay keh bilaa.shubha aap kaa payaam bahut buland hay magar lab-o-lehja sapaaT honay ki wajah se kalaam meN jaazbiyat kam hay ya'nee andaaz-e-bayaaN peh nacr kaa gumaaN hotaa hay-

in baatoN kaa agar aap khuSooSee khayaal raKheN to aap kaa yeh mujaahidaanah jazbah qaabil-e-Sad teHseen hay-


khush rahye
du'aago
yasir

shukriya

Posted: Tue Aug 29, 2006 5:48 am
by haamidbaaqri
yasir shah wrote:muHtaram janaaB Haamid Baaqri SaaHib

assalamOa'laikuM

kese heN aap ? aap ki Ghazal nazar se guzree ,,aik baat jo meN aap se kehnaa chaahooN gaa yeh hay keh bilaa.shubha aap kaa payaam bahut buland hay magar lab-o-lehja sapaaT honay ki wajah se kalaam meN jaazbiyat kam hay ya'nee andaaz-e-bayaaN peh nacr kaa gumaaN hotaa hay-

in baatoN kaa agar aap khuSooSee khayaal raKheN to aap kaa yeh mujaahidaanah jazbah qaabil-e-Sad teHseen hay-


khush rahye
du'aago
yasir
wa alaikumussalaam
mohtaram yaasir shah saahib

hum bilkul khairiyat say hai.n ba fazlay khuda.

aap kaisay hai.n?

hausalah afzaayee ka bahut bahut shukriya.

insha allah hum tadreejan aagay badhnay ki koshish kare.nge.

iltemaasay dua
mukhlis
haamidbaaqri