Page 1 of 1

sooni sooni si hai gulshan ki faZ^aa tere baa'd(bugti ki yad

Posted: Mon Aug 28, 2006 8:00 pm
by Star Mind
Yaaran-e-meHfil , aadaab

wese to ye baat Khilaaf-e-ma'mool aur dastoor hai k aek Ghazal post karne k baa'd , fora" hee dosree paish karoN , magar kuchh tishnagee baaqee thee jo aaj kam karne ki koshish kar rahaa hoN ! aur phir is Ghazal ka ta'lluq bhi Nawab Akbar Khaan bugti se hai ! is liye abhi is ka paish karna behtar hai k baa'd maiN is ifaadiyyat kam hogee ! aap chaahe reply na deN , mera maqSad Sirf yehi hai k aap ise paRheN ! shukriya

1.

koi hotaa hi nahiN naGhma-saraa tere baa'd
sooni sooni si hai gulshan ki faZ^aa tere baa'd !

2.

pihle jis shaan se aatee thi mire gulshan maiN
youN na aayegi kabhi baad-e-Sabaa tere baa'd !

3.

teri be-daaGh moHabbat ki Z^iaa thi jis maiN
shab-e-bolan(balochistan) ka woh chaaNd bujhaa tere baa'd !

4.

zikr-e-SubHee k tire ruKh ka ujaalaa tha naSeeb
yaad-e-shabhaa k hoi jalwa-numaa tere baa'd !

5.

faSl-e-gul aayegi gulshan maiN chiraaGhaaN hogaa
chaar soo phelegi Khushboo-e-wafaa tere baa'd !
6.

raNg laayega lahoo teri wafaao'N ka Z^aroor !
Aur mehkegi gulistaaN ki faZ^aa tere baa'd !

7.

jitne chaaheN lab-e-u'shshaaq pe taale DaaleN
Aur goNjegi diwaanoN ki Sadaa tere baa'd !

8.

zindagee yaad rakhegee tira andaaz-e-junooN !
degi deewaanoN ko daaman ka pataa tere baa'd !

9.

to ne gulshan maiN cheheknaa jo sikhaayaa tha ise
kyoN na ho jaaye Zia , naGhma-saraa tere baa'd !

Posted: Tue Aug 29, 2006 12:28 pm
by Daanish
MoHtaram Zia SaHeb
aadaab-o-tasleemaat
bohat Khoob. ek nihayat Khoobsoorat-o-pur_acar taKhleeq par dili daad-o-mubarakbaad pesh karta huN. qubool farmaayeN.
Khair andesh
Daanish

Posted: Wed Aug 30, 2006 11:25 am
by Star Mind
Daanish wrote:MoHtaram Zia SaHeb
aadaab-o-tasleemaat
bohat Khoob. ek nihayat Khoobsoorat-o-pur_acar taKhleeq par dili daad-o-mubarakbaad pesh karta huN. qubool farmaayeN.
Khair andesh
Daanish
Danish SaaHib, w.salaam

janaab aap ka Husn-e-naz^ar hai ! nehaayat mamnoon hoN !

Zia Baloch

Posted: Thu Aug 31, 2006 10:45 am
by Mayank
Zia saahab,

Aadaab,

Bohat khuubsuurat ghazal kahi hai aap ne.. aur khuubsoorat Shradhanjali bhee hai yeH.. YuUN he likhte raheN.. Daad haazir hai qubool keejiye..

-Mayank