Page 1 of 18
riwayati 'bait-baazi'
Posted: Tue Aug 29, 2006 3:13 am
by Daanish
azeezaan-e-bazm
aaiye, riwayati bait baazi ke silsila ka aaGaaz phir se karte haiN, jis meiN shayr ke aaKhri Harf se agla shayr pesh kiya jayega. umeed hai ke aap sab is silsile meiN shirkat farmayenge. lijiye pehlaa shayr Haazir hai:
dahr meiN naqsh-e-wafaa vajh-e-tasalli na hua
hai yeh woh lafz ke sharmindah-e-ma'ani na hua
'alif' se shayr pesh kijiye aur silisile ko aage baRHaaiye
"alif"
Posted: Tue Aug 29, 2006 4:35 am
by Abdullah Nazir
abr-e-gham dil se uThaa aankh se daryaa barsaa
Doob jaane ko thee dunyaa miri itnaa barsaa
(alif)
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Aug 29, 2006 4:39 am
by Daanish
'alif'
ik alif beesh nahiN saiqal-e-aaina hanoz
chaak karta huN maiN jab se ke garebaaN samjhaa
--Ghalib
'alif'
Posted: Tue Aug 29, 2006 4:42 am
by Daanish
'ye'
yuN hi gar rotaa raha Ghalib, tau ai ahl-e-jahaaN
dekhnaa in bastiyoN tum ke viiraaN ho gayiiN
'nuun'
"noon"
Posted: Tue Aug 29, 2006 4:54 am
by Abdullah Nazir
nah pooch Haal hamaara ghubaar-e-SeHraa meiN
MakaaN se Haalat-e-deewar o dar nahiN chupti.
(ye)
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Aug 29, 2006 12:09 pm
by Daanish
alif
aadmi aisa kahaaN koi farishta ho tau ho
shaiKh saHeb nahiN ma'aloom ke tum kis pe gaye
DaaGh
'ye'
alif
Posted: Tue Aug 29, 2006 4:23 pm
by Abdullah Nazir
aasmaaN se maangle bheegi ghaTaa kee ouRhni
sar nahiN meraa munaasib tere shaane ke liye.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Aug 30, 2006 3:15 am
by ummassad
yeh alag baat kh sherminda.e.tabeer nh houn
warna her zahen main kuch tajmahel hoty hain
noon se
Posted: Wed Aug 30, 2006 5:17 am
by Daanish
'nuun'
na gul apnaa, na Khaar apnaa, na zaalim baaGhbaaN apnaa
banaaya aah kis gulshan meiN hum ne aashiyaaN apnaa
'alif'
Posted: Wed Aug 30, 2006 4:20 pm
by zmufti
utarii.n ajiib roshaniyaa.N raat Khvaab me.n
kyaa kyaa na aks tair rahe the saraab me.n
Posted: Wed Aug 30, 2006 4:51 pm
by ummassad
manzil.e.ishq ph tanha pounchey koi tammana saath nh thi
thak thak ke is raah me.n aakhir ak ak saathi choot gaiya
alif se
alif
Posted: Tue Sep 05, 2006 12:43 am
by Abdullah Nazir
imtiHaaN aur sahi ham nah karenge uff tak
naaz-bardaar heiN ai umr-e-gurezaaN tere
(ye)
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Sep 05, 2006 4:40 pm
by PK Swami
yaqeen rakh k yahaaN har yaqeen meiN hai fareb
baqaa to kyaa hai,fanaa kaa bhee aitbaar na kar ! -Aasee
PK Swami
Posted: Tue Sep 05, 2006 6:59 pm
by zmufti
raato.n me.n gar na ashk bahaa_uu.N to kyaa karuu.N
ik pal bhii us ko bhuul na paa_uu.N to kyaa karuu.N
Posted: Wed Sep 06, 2006 2:38 pm
by Daanish
lijiye 'nuun' se
nazar aati nahiN ab dil meiN tamanna koi
ba'ad muddat ke tamanna miri bar aayi hai
--Haali
'ye'