Page 1 of 1

zaraa-si der meN kyaa ho gayaa zamaane ko?

Posted: Wed Aug 30, 2006 5:45 pm
by PK Swami
DostoN

aap kee khidmat meiN QAMAR JALALABAADI kee aik ghazal pesh hai. ummed hai pasand aayegee.


kabhi kahaa na kisi se tire fasaane ko
na jaane kaise Khabar ho gayi zamane ko

chaman meN barq nahiN chhoRti kisi soorat
tarah-tarah se banaataa hooN aashiyaane ko!

sunaa hai Ghair ki mahfil meN tum NA jaaoge -
kaho to aaj sajaa looN Ghareeb_Khaane ko

du'aa bahaar ki maaNgi, to itne phuul khile
kahiN jagah na rahii mere aashiyaane ko

chaman meN jaana to, sayyaad dekh kar jaanaa!
akela chhoR kar aayaa huuN aashiyaane ko

mirii lahad pe patangoN ka Khoon hotaa hai
huzoor! sham'a na laayaa kareN jalaane ko

dabaa ke chal diye sab qabr meN, du'aa na salaam
zaraa-si der meN kyaa ho gayaa zamaane ko?

ab aage is meN tumhaaraa bhi naam aayegaa
jo hukm ho to yaheeN chhoR dooN fasaane ko?

'Qamar' zaraa bhi naheeN tujh ko Khauf-e-ruswaa`ii
chale ho chaaNdni shab meN unheN bulaane ko !!


PK Swami

Posted: Mon Dec 18, 2006 11:59 am
by hassan_bashir
Swami jii,

is Ghazal ka eik-eik she'r bahut qeematii hai, aur mujhe bhii beHad pasaNd hai, bahuut shukriyah pesh karne ka.
:-)

Hassan

Posted: Mon Dec 18, 2006 3:48 pm
by sbashwar
Swami ji, Adaab.
Qamar sahib ki bohat hi umda aur mashoor ghazal ko aapne share kiya.
Shukria.