TARAHI MISRA' - -- - (GUZ.21) by: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Tue Sep 05, 2006 3:16 am
Muhtaramaat o Muhtarameen
Arbaab-e-meHfil o Ahbaab-e-Sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
TaraHi misraA dene meiN taakheer hougaii hei jiske liye maAzirat khwaah hooN.
GUZARISH #21. Taareekh Sept. 5, 2006
TaraHi misraA :
"Jou ahl-e-zarf houte heiN vohi bardaasht karte heiN"
Radeef = bardasht karte heiN (paRhne meiN aur taqTeeA meiN "tey" kee aawaaz nahiN aayegi.)
Qaafiye: (vohi, sabhi, kabhi, dillagi, zindagi, bebasi, nami, tehi, begaanagi, dushmani, ajnabi, ghaRi, dousti) waghairah.
Jinke liye yeh radeef baar guzre wo "heiN" radeef ke Taur per baandh sakte heiN aur qawaafi:
(karte, bhrte, sanwarte, marte, Darte, ubharte, nikhare, utarte, katarte, bipharte, guzate, )waghairah:
Yeh beHr-e-hazaj mucamman Salim hei. Iska vazn hei:
"mufaa'ee'lun…mufaa'ee'lun…mufaa'ee'lun…mufaa'ee'lun"
=//0/0/0…..//0/0/0…..//0/0/0…..//0/0/0.
=1222…….1222…….1222…….1222.
Ummeed ke aap sab TabA' aazmayi karenge aur khaaksaar ko mamnon farmaayenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Note: Pahle main ne apni yaaddasht ke bharouse per is miSreA ke baare meiN yeh likhkhaa thaa ke MuSHafi kaa hei Lekin apni thaki maandi Haalat meiN talaash karne per nah mil sakaa.
Doosri baat yeh ke Mahtaab Qadr SaaHib ne radeef aur qaafiyaoN ke baare meiN poochaa ke aayaa aSl ghazal meiN vohi qaafiye aur radeef heiN jo maiN ne diye heiN tou mujhe 2 ikhtiyaaraat dene paRe heiN.