Page 1 of 1

MERI GAZAL (MUSHAAIRAH # 21)

Posted: Wed Sep 06, 2006 10:38 am
by jawaid badauni

Hamaaree aadat.e baadaakashee bardaasht karte haiN
Chalo ik Gam tou hai jo Sheikh bhee bardaasht karte haiN

JahaN meN runj.o.Gam yuuN tou sabhee bardaasht karte haiN
Magar Gam ko samjhkar hum Khooshee bardaasht karte haiN

Munafey ki koii Surat nazar aati nah ho jismeN
KahaN ab dost aisee dostee bardaasht karte haiN

Khabar achchee sunaao per zaraa aahista aahista
BaRee mushkil se hum koii Khooshee bardaasht karte haiN

ManayeN kaise hum jashn.e saHar ab tum hi batlaao
Bawaqt.e subH baar.e teeragee bardaasht karte haiN

Hum ahl.e zarf apna jaam dey dete haiN auroN ko
Khooshee se phir azzaab.e tishnigee bardaasht karte haiN

Azal se bus yehee taareeKh hai deen.e Ilaahee ki
Keh ummat zulm kartee hai Nabee bardaasht karte haiN

Mujhe tou daad ai "Jawaid" un logoN ko dena hai
Keh jo har din tumharee shairee bardaasht karte haiN
-----------------------------------------------------------

Jawaid Badauni

Bahut khoob, waah waah

Posted: Wed Sep 06, 2006 11:39 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal bahut ziyaadah pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

Hamaaree aadat.e baadaakashee bardaasht karte haiN
Chalo ik Gam tou hai jo Sheikh bhee bardaasht karte haiN

Achcha MaTlaA hei, waah waah.

JahaN meN runj.o.Gam yuuN tou sabhee bardaasht karte haiN
Magar Gam ko samjhkar hum Khooshee bardaasht karte haiN

Waah waah, bahut khoob.

Munafey ki koii Surat nazar aati nah ho jismeN
KahaN ab dost aisee dostee bardaasht karte haiN

Bahut khoob, kyaa kehne.

Khabar achchee sunaao per zaraa aahista aahista
BaRee mushkil se hum koii Khooshee bardaasht karte haiN

Bahut khoob, waah waah.

ManayeN kaise hum jashn.e saHar ab tum hi batlaao
Bawaqt.e subH baar.e teeragee bardaasht karte haiN

Waah waah, kyaa kehne.

Hum ahl.e zarf apna jaam dey dete haiN auroN ko
Khooshee se phir azzaab.e tishnigee bardaasht karte haiN

Bahut khoob, waah waah.

JahaN meN zulm ki taareekh bus itni hai paRh leeje
Kaii Dhaatey haiN isko aur kaii bardaasht karte haiN

Achchaa sheAr hei, waah waah.

Azal se bus yehee taareeKh hai deen.e Ilaahee ki
Keh ummat zulm kartee hai Nabee bardaasht karte haiN

Bahut khoob, waah waah.

Mujhe tou daad ai "Jawaid" un logoN ko deni hai
Keh jo har roz teree shairee bardaasht karte haiN

Waah waah, bahut khoob. Aap ne inkisaari se kaam liyaa hei. Ham tou aapkaa kalaam paRhkar khush houte heiN.

Aapka MukhliS,
Nazir.

-----------------------------------------------------------

Re: MERI GAZAL (MUSHAAIRAH # 21)

Posted: Thu Sep 07, 2006 5:28 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:

Khabar achchee sunaao per zaraa aahista aahista
BaRee mushkil se hum koii Khooshee bardaasht karte haiN

ManayeN kaise hum jashn.e saHar ab tum hi batlaao
Bawaqt.e subH baar.e teeragee bardaasht karte haiN

Hum ahl.e zarf apna jaam dey dete haiN auroN ko
Khooshee se phir azzaab.e tishnigee bardaasht karte haiN

Azal se bus yehee taareeKh hai deen.e Ilaahee ki
Keh ummat zulm kartee hai Nabee bardaasht karte haiN

Jawaid bhai

tasleemat

bohat khoob bohat khoob!!

ooper ke quoted ashaar bohat pasand aaye. daad qubool keejiye.

sara

Azeezah Sara SaHibah

Sub se pahle to yeh mubarakbaad keh Urdu Bandhan ek baar phir hameN apne bandhan men baandhey huwwey hai. Achcha huwwa Urdu bechaari ka nuqSaan hotey hotey rah gaya.

Gazal aap ko pasand aai mujhe iskee bohat khooshee hai.

Khair andesh
Jawaid

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Thu Sep 07, 2006 5:36 am
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal bahut ziyaadah pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

Hamaaree aadat.e baadaakashee bardaasht karte haiN
Chalo ik Gam tou hai jo Sheikh bhee bardaasht karte haiN

Achcha MaTlaA hei, waah waah.

JahaN meN runj.o.Gam yuuN tou sabhee bardaasht karte haiN
Magar Gam ko samjhkar hum Khooshee bardaasht karte haiN

Waah waah, bahut khoob.

Munafey ki koii Surat nazar aati nah ho jismeN
KahaN ab dost aisee dostee bardaasht karte haiN

Bahut khoob, kyaa kehne.

Khabar achchee sunaao per zaraa aahista aahista
BaRee mushkil se hum koii Khooshee bardaasht karte haiN

Bahut khoob, waah waah.

ManayeN kaise hum jashn.e saHar ab tum hi batlaao
Bawaqt.e subH baar.e teeragee bardaasht karte haiN

Waah waah, kyaa kehne.

Hum ahl.e zarf apna jaam dey dete haiN auroN ko
Khooshee se phir azzaab.e tishnigee bardaasht karte haiN

Bahut khoob, waah waah.

JahaN meN zulm ki taareekh bus itni hai paRh leeje
Kaii Dhaatey haiN isko aur kaii bardaasht karte haiN

Achchaa sheAr hei, waah waah.

Azal se bus yehee taareeKh hai deen.e Ilaahee ki
Keh ummat zulm kartee hai Nabee bardaasht karte haiN

Bahut khoob, waah waah.

Mujhe tou daad ai "Jawaid" un logoN ko deni hai
Keh jo har roz teree shairee bardaasht karte haiN

Waah waah, bahut khoob. Aap ne inkisaari se kaam liyaa hei. Ham tou aapkaa kalaam paRhkar khush houte heiN.

Aapka MukhliS,
Nazir.

-----------------------------------------------------------

Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab
Aadaab

Aap ka behud mamnoon hooN keh aap ne waqt nikaalkar meree nacheez Gazal ko paRha aur apne graNqadr tabsarey se bhi nawazah. Pahle bhi arz kar chuka hooN aap ki daad mere liye sanad ka darja rakhtee hai.

Ummid hai yeh tarahee sisiliey qaaiim.o.daaiim raheNge. Aglee baat zara aasaan radeef deejiyega jise baAsaanee sub bardaasht kar sakeN.

Aapka MuKhliS
Jawaid

Posted: Sun Sep 10, 2006 3:34 pm
by Star Mind
janaab-e-jawaid SaaHib, aadaab

kyaa kahoN ? yaqeen kijiye aap ki Ghazal to mujhe is qadar pasand aayee hai k alfaaz nahiN mil rahee ! KhaaS kar #6 to jaan-levaa hai Huzoor ! mubaarak ho!! aur maqta bhi laa-jawaab hai ! jitnee chaaheN daad qabool kareN ! shukriya

ZIa Baloch

Posted: Sun Sep 10, 2006 6:52 pm
by jawaid badauni
Star Mind wrote:janaab-e-jawaid SaaHib, aadaab

kyaa kahoN ? yaqeen kijiye aap ki Ghazal to mujhe is qadar pasand aayee hai k alfaaz nahiN mil rahee ! KhaaS kar #6 to jaan-levaa hai Huzoor ! mubaarak ho!! aur maqta bhi laa-jawaab hai ! jitnee chaaheN daad qabool kareN ! shukriya

ZIa Baloch

MoHibbee Zia Baloch SaHib,
Aadaab

Aapki purKhuloos daad himmat afzaaiika baayis banee. Bohat bohat shukriya.

Khoosh raheN!

MuKhliS
Jawaid

mubarak bad

Posted: Tue Sep 12, 2006 9:56 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram jawaid badauni SaHeb aadaab!

mashaalah bohot u'mdah aor pur acar she'er kehe haiN tamaam asha'aar
qudratee andaaz meN aae haiN HaqiqatooN ke bohot qareeb haiN.
meree janib se dilee mubarak bad aor dad HaZ^ir hai.
ijazat dijiye.
Wassalam
mukhliS
muz^affar

Re: mubarak bad

Posted: Tue Sep 12, 2006 10:16 am
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
moHtaram jawaid badauni SaHeb aadaab!

mashaalah bohot u'mdah aor pur acar she'er kehe haiN tamaam asha'aar
qudratee andaaz meN aae haiN HaqiqatooN ke bohot qareeb haiN.
meree janib se dilee mubarak bad aor dad HaZ^ir hai.
ijazat dijiye.
Wassalam
mukhliS
muz^affar

Janab Muzaffar SaaHab,
Aadaab

Isee ko kahte hain "Der aayad durust aayad."

Gazal ki pazeerayee ke liye behud mamnoon hooN.

MuKhliS
Jawaid

Posted: Tue Sep 12, 2006 9:32 pm
by zaamin
Munafey ki koii Surat nazar aati nah ho jismeN
KahaN ab dost aisee dostee bardaasht karte haiN

Khabar achchee sunaao per zaraa aahista aahista
BaRee mushkil se hum koii Khooshee bardaasht karte haiN

ManayeN kaise hum jashn.e saHar ab tum hi batlaao
Bawaqt.e subH baar.e teeragee bardaasht karte haiN

bahut khoob,janaab jawaid saahib;bahut khoobsoorat sher nikaale hain.
daad pesh-e-khidmat hai

zaamin

Posted: Thu Sep 14, 2006 5:24 am
by jawaid badauni
zaamin wrote:Munafey ki koii Surat nazar aati nah ho jismeN
KahaN ab dost aisee dostee bardaasht karte haiN

Khabar achchee sunaao per zaraa aahista aahista
BaRee mushkil se hum koii Khooshee bardaasht karte haiN

ManayeN kaise hum jashn.e saHar ab tum hi batlaao
Bawaqt.e subH baar.e teeragee bardaasht karte haiN

bahut khoob,janaab jawaid saahib;bahut khoobsoorat sher nikaale hain.
daad pesh-e-khidmat hai

zaamin
MoHtramee Zamin SaaHab
Aadaab

M'Azrat Khuwaah hooN keh aap ko jawab kuch taKheer se de raha hooN. Gazal ki pazeeraayee ke liye aap ka behud mamnoon hooN.

MuKhlis
Jawaid

Re: MERI GAZAL (MUSHAAIRAH # 21)

Posted: Thu Sep 14, 2006 11:11 am
by Shummu
JahaN meN runj.o.Gam yuuN tou sabhee bardaasht karte haiN
Magar Gam ko samjhkar hum Khooshee bardaasht karte haiN
Wah bahut khoob..!
Munafey ki koii Surat nazar aati nah ho jismeN
KahaN ab dost aisee dostee bardaasht karte haiN
wah kya teekhaa sher hai..zabardast tanz hai aajkal ki dosti pe...bahut khoob..
Khabar achchee sunaao per zaraa aahista aahista
BaRee mushkil se hum koii Khooshee bardaasht karte haiN
wah ye bhi khoob kahi aapne! :-)
Hum ahl.e zarf apna jaam dey dete haiN auroN ko
Khooshee se phir azzaab.e tishnigee bardaasht karte haiN
wah wa wah..bahut hi umda...ye sher mujhe khusoosan bahut pasand aaya..baDi gehri baat kahi gayi hai is mein ..
Mujhe tou daad ai "Jawaid" un logoN ko dena hai
Keh jo har din tumharee shairee bardaasht karte haiN
lolz aisi koi baat nahi hai..hum bardaasht Thori na karte hain balki poore shauq se paRhte haiN aapke kalaam :-)

Jawaid bhai bahut arse baad wapis aana hua urdu ki mehfilon meiN aur aapki shayri parhke mazaa aa gaya sach meiN...
yun to poori ghazal achchi hai magar quoted ashar khaastaur pe pasand aaye..daad pesh hai..qubool farmaayeiN :-)

talib-e-duaa,
Shumaila

Re: MERI GAZAL (MUSHAAIRAH # 21)

Posted: Thu Sep 14, 2006 2:24 pm
by jawaid badauni
Shummu wrote:

Sub se baRee daad tou yeh hai keh aap waapas aa gayeeN. Khair ek din tou aap ko rooKhsat karna hi hoga jan aap apni sasuraal tashreef le jaayeNgee. Oos waqt tou sub se pahle maiN aap ki rooKhsatee kahooNga. Magar aap tou oos se qabl hi Gaaib ho gaii thiN.Khooshi hai keh aap hamare darmiyaan waapas aa gaii haiN aur ap ko yeh adna Gazal bhi pasaNd aayee.

Himmat afzaaii ke liye aapka mamnoon hooN Bahan.

MuKhlis
Jawaid

Re: MERI GAZAL (MUSHAAIRAH # 21)

Posted: Thu Sep 14, 2006 5:14 pm

shukriya is izzat afzaayi ke liye..bahut accha laga aur bahut apnaaiyat lagi..Allah aapki zubaan mubarak kare..Ameen :-)

Posted: Sat Sep 16, 2006 5:54 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
jawaid bhai saahib

"keh ummat zulm karti hai nabi bardaasht karte hai.n"

waah waah bahut khoob

kya kehne bhai saahib aapne tau kamaal kardiya.

is munfarid ghazal per hamaari dilee mubarakbaad aur daad haazir hai....qubool farmaaiye

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqri

Posted: Sun Sep 17, 2006 3:13 pm
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
jawaid bhai saahib

"keh ummat zulm karti hai nabi bardaasht karte hai.n"

waah waah bahut khoob

kya kehne bhai saahib aapne tau kamaal kardiya.

is munfarid ghazal per hamaari dilee mubarakbaad aur daad haazir hai....qubool farmaaiye

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

aapka apna
haamidbaaqri

Azeezi Haamdi Baaqri SaHaab,
Aaadaab

Bohat din bAAd aap se mulaqaat ho rahee hai. Gazalki pazeeraii ke liye aap ka mamnoon hooN.

MuKhliS
Jawaid