Page 1 of 1

TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.21) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Wed Sep 06, 2006 7:26 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab –e-MeHfil aur aHbaab-e-Sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Guz.21 ke miSreA per apni ghazal pesh karne kee saAadat
HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL: roman meiN

MuHabbat meiN tumhaari be-rukhi bardaasht karte heiN
Ba-Taur-e-qahr-e-ghairat hee sahi bardaasht karte heiN

Gawaaraa khud-sitaayi ham se kab houti hei naadaaN kee
Kabhi chup saadh lete heiN kabhi bardaasht karte heiN

nahiN aasaaN uThaanaa naaz meh-wash nuktahcheenaoN ke
"Jou ahl-e-zarf houte heiN vohi bardaasht karte heiN".

bhalaa ham saa bhee hei koii, kisi ko chaahne waalaa
khudaaraa dekhiye dil, aaj bhee bardaasht karte heiN

Tapak jaataa hei khooN ashkaoN ke badle shiddat-e-gham se
yahaN tak her nafas kee be-kali bardaasht karte heiN

guzari zindagi ham ne saraabaoN ke taAaaqub meiN
musaafir jee lagaakar tishnagi bardaasht karte heiN

Khabar hei tum zamaane meiN kahiN kaa bhee nah rakhkhoge
taqaaZaay-e-wafaa hei, dushmani bardaasht karte heiN

jahaaN meiN yuN tou heiN kuch loag Nazir Aish o ishrat meiN
Hamaaraa Haal yeh hei zindagi bardaasht karte heiN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Bahut bahut shukriyah

Posted: Fri Sep 08, 2006 5:03 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzaarish 21 ke MiSreA per aapko meri TaraHi ghazal bahut pasand aayi aur aap ne mujhe daad o teHseen se navaazaa jiske liye beHad shukrguzaar hooN.

Ummeed ke aayindah bhee meri yuN hee HauSlah afzaayi farmaati rahengi.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Sat Sep 09, 2006 11:25 am
by farhan

Ustaad-e-MoHtaram

Janab Abdullah Nazir SaHib

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu....


Aap ki yeh ghazal bhi hameesha ki tarah pasand aaye....is ghazal say bhi mujhay bahut kuch seekhnay ko mila....
apni mouddibana daad Hazir karta hooN...qabool farmayega..

farhan

Posted: Sun Sep 10, 2006 3:25 pm
by Star Mind
ustaad-e-moHtaram , aadaab

janaab aap ki Ghazal ho aur tamaam ash'aar pasand na aayeN ye kaise mumkin hai bhalaa ? so si baar bhi lutf andooz howe pooree Ghazal se ! daad Haazir hai ! shukriya

Zia Baloch

Bahut bahut shukriyah

Posted: Sun Sep 10, 2006 11:29 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
FarHan SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne apne giraaNqadr tabSireh meiN meri ghazal kee pazeeraayi farmaayi aur use daad o teHseen se navaazaa. Is karam farmaayi ke liye maiN aapkaa tah-e-dil se shukrguzaar hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


shukriyah

Posted: Tue Sep 12, 2006 6:04 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Yeh aapki muHabbat aur khulooS hei ke mujhe ustaad kehkar mukhaaTib karte heiN Haalaankeh maiN aise laqab kaa hergiz mustaHiq nahiN hooN.

Aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi aur mujhe daad o teHseeN se navaazaa jiske liye maiN tah-e-dil se aapkaa shukrguzaar hoo. Ummeed kartaa hooN ke aayind bhee meri isi TaraH se HauSalah afzaayi farmaate rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.


mubarak ho

Posted: Tue Sep 12, 2006 9:41 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram janab Abdullah Nazir SaHeb aadaab!

Guzarish 21 ke teHet aap kee tazah Ghazal dekhne kee sa'adat milee
aap kee yeh Ghazal nah Sirf HaseeN hai balkeh zeyadah a'aam
fehem, hejaan parwar aor saHiranah ho gaee hai.

aap ne mosiqee kee leHnooN, ilfaaz^ ke zer-o-bam aor qawafee
ke aahang ke aHsaas ko ujagar kiya hai.

aap kee Ghazal meN ruHanee HaqiqatooN ka walehanah iz^haar hai
aor yahee HaqiqateeN aage chal kar rumaan ban gaee haiN dosre lafz^ooN meN yeh keh asha'aar meN abdee sachchaiyooN ka rang-o-
noor hai.
jo keh ikkeesweeN Sadee ke ustaad shae'er kee Heciyat se aap kee maqbuliyat ke imkanaat ko hameshah raoshan rakhe ga.

meree janib se dad aor mubarak bad qubool kijiye.

Wassalam
khadim
muz^affar

Bahut bahut shukriyah

Posted: Tue Sep 12, 2006 6:55 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Javaab dene meiN ta'kheer ke liye maAziratkhwaah hooN. Teen din se mere computer meiN kisi nah kisi mushkil kee vajh se her do teen ghunTeh meiN iSlaaH aur tarmeem kee Zaroorat pesh aati rahee.

Meri TaraHi ghazal per aapkaa tabSirah hameshah kee TaraH Sirf dilkash hee nahiN balkeh HauSalah afzaa bhee hei. Yeh aapki zarrah navaazi hei ke aap mujhe apni takhleeqaat se muTma'in dekhnaa chaahte heiN
Is karam-farmaayi ke liye maiN aapka tah-e-dil se shukrguzaar hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Tue Sep 12, 2006 9:13 pm
by zaamin
eik pur-tarranum,takhayyul aur taghazal se bherpoor aap ki yeh ghazal,ham sab naye seelkhane waalon ke liye ek mufaid sabaq kitarah hai.
meri aur se daad qabool farmaayein

zaamin

Bahut bahut shukriyah

Posted: Fri Sep 22, 2006 8:27 am
by Abdullah Nazir

MuHatarami
zaamin SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapki zarrah navaazi hei ke aapne ne khaaksaar kee ghazal paRhnee aur mujhe daad o teHseen se navaazaa. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhee isi taraH se meri HauSlah afzaayi farmaate rahenge.


Aapka MukhliS,
Nazir.