Page 1 of 1

Ghazal:dard de na Shifa kare koii..

Posted: Thu Sep 07, 2006 2:28 pm
by Mayank
Urdubandhan ke sabhii dostoN ko Mera salaam.."Ghalib" Saaheb kee zameen par ek Ghazal liKhne kee koShiSh kee hai.. Ghazal pesh-e-khidmat hai.. paRhiye aur izhaar-e-Khayaal zaroor farmaaiYe... Ustaad-e-MoHtaram Abdullah Naazir SaHeb se islaaH-o-rehnumaaii kee gujaarish hai ....

***************************************************


dard de na Shifa kare koii,
yaar aisa huaa kare koii..

naa mila kaaenaat meiN tujh sa,
kaaSh! tujh sa huaa kare koii..

jism ho jaayeNge judaa to kyaa,
rooh kaise judaa kare koii..

ai Khudaa tere dar pe aa pahuNche
door kab tak rahaa kare koii.. (q)

sar jhukaata hai jo tire aage,
kaise us ka buraa kare koii.. (q)

jaaN agar tere kaam naa aaye,
jee ke duniya meiN kyaa kare koii.. (q)

hai yeh aadam mureed-e-shaitaaN kyoN,
ho sake to bhalaa kare koii..

kar sakay tau wafa karay duniya,
naa kisii par jafaa kare koii,

gardishoN meiN sitaare hoN 'Ghaafil',
kya kahe aur kya kare koii..

Posted: Mon Sep 11, 2006 11:31 am
by Daanish
Mayankji
ek Khoobsoorat taKhleeq par meri jaanib se daad Haazir hai.
MoHtaram Nazir SaHeb bawaqt-e-fursat apne taacuraat pesh karenge aur humeiN kuchh seekhne ka mauqa faraaham karenge. mujhe yaqeen hai ke aap unki rehnumaayi se istefadah karenge.
ek kamyaab koshish par daad-o-mubarakbaad qubool kijiye aur mashq-e-suKhan jaari rakhiye.
Khair andesh
Daanish

Re: Ghazal:dard de na Shifa kare koii..

Posted: Tue Sep 12, 2006 10:12 am
by Shummu
Mayank jee kaise hain?ek arse baad aayi hoon aur aap ka kalaam paRh rahi hoon...aap ne acchi koshish ki hai..meri taraf se daad pesh hai aur zor-e-qalam aur ziyaada!

Khush rahein :-)

Shumaila

Posted: Thu Sep 14, 2006 1:23 pm
by Mayank
sara_j wrote:Mayank sahib,

adaab arz hai.

Abdullah nazir sahib tou ayenge hi lekin mujhe aapki

ye ghazal pasand aayi. khoob ashaar nikaale hain aapne

is zameen mein. daad qubool keejiye.

sara
Sara jee:

Aadaab:

aap ko Ghazal pasand aaii. yeh baat mere liyee kaafi maaene raKhati hai. yeH tau ek koShish hee hai jo aap sab ke saamne pesh kiya hai.. aap ki daad sar -maathe :-) aap ne esay saraaha aur ess naa cheez ke hausala afzaai kee ess ke liya tah-e-dil se Shukriya.. YuuN he eaati raheN..

Mayank

Posted: Thu Sep 14, 2006 1:25 pm
by Mayank
Daanish wrote:Mayankji
ek Khoobsoorat taKhleeq par meri jaanib se daad Haazir hai.
MoHtaram Nazir SaHeb bawaqt-e-fursat apne taacuraat pesh karenge aur humeiN kuchh seekhne ka mauqa faraaham karenge. mujhe yaqeen hai ke aap unki rehnumaayi se istefadah karenge.
ek kamyaab koshish par daad-o-mubarakbaad qubool kijiye aur mashq-e-suKhan jaari rakhiye.
Khair andesh
Daanish
DaaniSh saahab,

Aadaab,


yeH tau aap kii rehnumaa'i ka hee asar hai jo yeh takhleeq achchhi lagrahi hai.. aap aaya aaye aur duubaara ess takhleeq ko pasand kiya jaan kar behad KhuShi huii.. ustaad-e-mohtaraam naazir saahab kuchh masruuf lag rahe haiN.. ummeed hai kee voh waqt milte hee ess par rehnumaa'i kareNge.. Daad aur mubaarak baad ke liye maiN aap ka tah-e-dil se Shukra guzaar huuN..

aap ka,

Mayank

Re: Ghazal:dard de na Shifa kare koii..

Posted: Thu Sep 14, 2006 1:27 pm
by Mayank
Shummu wrote:Mayank jee kaise hain?ek arse baad aayi hoon aur aap ka kalaam paRh rahi hoon...aap ne acchi koshish ki hai..meri taraf se daad pesh hai aur zor-e-qalam aur ziyaada!

Khush rahein :-)

Shumaila


Shummu jee:

aadaab,

MaiN Theek huun.. ek arse ke baad dubaara aap se guftaguu ho rahii hai.. behad achchha laga kee aap phir ham sab ke beech haiN.. verna ham tau yehi soch rahe thee kee aap gaayab kahaaN huii... :) aap jaise umdaah Shayara ne ess koShish ko saraaha, aur hausla afzaayi kee yeh ham nau-Shaayar ke liye bohat BaRi baat haiN.. maiN aap ka tah-e-dil se Shukr guzaar huuN.. YuuN hee aati raheN.. apna Khayaal raKhiye..

-Mayank