Azeezaan e Mehfil
Taslimaat
Aik taaza ghazal aap sab ki nazar kar raha hooN, hamesha ki taraH aap ki aara aur tabsaray ka shiddat se intezaar rahay ga.
Mukhlis
Muhammad Ahmed
GHAZAL
hawa tufan hay, aandhi bapa hay, deep jalta hay
Pighalti hay hatheli dekhiay kab din nikalta hay
purani barishoN maiN bheegti yaadoN se keh dena
naye mosam ka seHra dhoop ki Hiddat se jalta hay
chaTakhtay zard pattay raqs kartay haiN bagoloN maiN
HawaoN ka junooN her pal naye chehray badalta hay
Shab e khush rabt to pehlay pahar hi din main Dhalti hay
Sahar ka muntazir furqat ka lamHa aankh malta hay
junooN ke sahiloN pe seepiaN peroN maiN aati haiN
wafa ka gohar e nayaab to sadiyoN maiN dhalta hay
udasi titlioN ke rang ko pheeka nahi karti
khizaaN mosam faqat idraak ke sheeshay badalta hay
meray malik teri duniya kabhi yaksaaN nahi rehti
kahiN saye utartay haiN kahiN sooraj nikalta hay
Hansi ka noor to lamHoN maiN aankheN meech leta hay
Chiraagh e zeest :Ahmed: aansoouN ke dam se jalta hay
Muhammad Ahmed.
HAWA TUFAN HAY, AANDHI BAPA HAY, DEEP JALTA HAY, GHAZAL
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar