Page 1 of 1

Posted: Sat Sep 09, 2006 10:42 pm
by Mahtab Qadr
BAHUT KHOOOOB

Bahut khoob, waah waah

Posted: Sun Sep 10, 2006 5:01 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 21 ke TaraHi miSreA per aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

1. diye duniya ne jitne ghum sabhi bardaasht karte heiN
hamaaraa dil hei, jou ham har ghaRi bardaasht karte heiN


Waah waah bahut khoob. Iske maAni yeh heiN ke maaZi meiN dunyaa ne jo gham diye heiN wo abhi tak yaaddasht meiN hei aur her ghaRi bardasht karte heiN.

2. kabhi pehchani raahon per jo thokar lag bhi jaaye tou
" Jou ahl-e-zarf houte heiN vohi bardaasht karte heiN"


achchi gireh hei, waah waah.

3. taRap jata hai dil jab ghair ki mehfil mein voh jayein
baRi mushkil se, yeh begaanagi bardasht karte heiN


Waah waah, kyaa kehne.

4. miTaadeti heiN maujeN naam jo likhkhaa hei saaHil per
chupaa kar apni aankhon ki nami bardaasht karte heiN


Waah waah, bahut khoob.

5. nazar aaye koii tasviir jab raaton ko chanda mein
shab-e-furqat ki apni bebasii bardaasht karte heiN


Waah waah, is sheAr kaa tou javaab nahiN.

6. bhulaa sakte nahiN uqde puraane ham kabhi Saara
jahaN ke pech o kham kee dillagi bardaasht karte heiN


Waaaaaaaaaaaaaaaaah, kyaa kehne. Bahut achchaa maqTaA hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: Ghazal - 21 Sara Jabeen

Posted: Sun Sep 10, 2006 6:07 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:Ahle mehfil ki khidmet mein tasleemat,

Ghazal pesh e khidmet hai parhiye aur apni ara se nawaziye.

Image

Ghazal:

1. diye duniya ne jitne ghum sabhi bardaasht karte heiN
hamaaraa dil hei, jou ham har ghaRi bardaasht karte heiN

2. kabhi pehchani raahon per jo thokar lag bhi jaaye tou
" Jou ahl-e-zarf houte heiN vohi bardaasht karte heiN"

3. taRap jata hai dil jab ghair ki mehfil mein voh jayein
baRi mushkil se, yeh begaanagi bardasht karte heiN

4. miTaadeti heiN maujeN naam jo likhkhaa hei saaHil per
chupaa kar apni aankhon ki nami bardaasht karte heiN

5. nazar aaye koii tasviir jab raaton ko chanda mein
shab-e-furqat ki apni bebasii bardaasht karte heiN

6. bhulaa sakte nahiN uqde puraane ham kabhi Saara
jahaN ke pech o kham kee dillagi bardaasht karte heiN

.

Azeezah Sara SaHibah
Tasleemaat

Nihayat Haseen Gazal kaheee hai aap ne aur woh bhee KhaliS Gazal ke rung meN. Har sher achcha laga. Aap ne kahiN bhee husn.e taGazzul ka saath nahiN choRa. Ek kamyaab Gazal per meri nacheez daad qubool kijiye.

Khoosh raheN!

MuKhliS
Jawaid Badauni

Posted: Sun Sep 10, 2006 8:29 am
by zmufti
buhat khoob
Sara jee mushairey maiN aap ki ghazal buhat pasand aayii
meri janib se daad qabool kijye
urdu version maiN kitabat ki kuch ghalatiaN reh gayyiiN haiN durust kar lijye
regards
zmufti

Posted: Sun Sep 10, 2006 3:21 pm
by Star Mind
Saara jee, aadaab

janaab maashaa Allah kyaa Ghazal kahee hai aap ne ! mazaa aagayaa ! KhaaS kar mat^la' bohut pasand aayaa ! daad Haaior hai ! shukriya

Zia Baloch

mubarak bad

Posted: Tue Sep 12, 2006 9:49 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah sara saHebah aadaab!

aap kee Ghazal dekhee aor bar bar paRhee bohot mazah aaya
Ghazal agarcheh mukhtaSir hai lekin ma'nawee aa'tabaar se khaSee
t^uweel hai.

meree janib se is Haseen aor dilfareeb kalaam par dad qubool kijiye.
DherooN dua'aeen!

Wassalam
mukhliS
muz^affar

Re: Ghazal - 21 Sara Jabeen

Posted: Tue Sep 12, 2006 1:35 pm
by Shummu
sara_j wrote:
1. diye duniya ne jitne ghum sabhi bardaasht karte heiN
hamaaraa dil hei, jou ham har ghaRi bardaasht karte heiN

2. kabhi pehchani raahon per jo thokar lag bhi jaaye tou
" Jou ahl-e-zarf houte heiN vohi bardaasht karte heiN"

3. taRap jata hai dil jab ghair ki mehfil mein voh jayein
baRi mushkil se, yeh begaanagi bardasht karte heiN

4. miTaadeti heiN maujeN naam jo likhkhaa hei saaHil per
chupaa kar apni aankhon ki nami bardaasht karte heiN

5. nazar aaye koii tasviir jab raaton ko chanda mein
shab-e-furqat ki apni bebasii bardaasht karte heiN

6. bhulaa sakte nahiN uqde puraane ham kabhi Saara
jahaN ke pech o kham kee dillagi bardaasht karte heiN[/size][/color][/center]


.
wah sara jee mukhtasar magar mukammal lagi ghazal aapki..har sher dil ki gehraaiyoN se likha maaloom paRta hai..dili daad pesh hai..qubool farmaayeiN..Allah aap ko hamesha khush rakhe..Ameen .

faqat,
shumaila

Posted: Tue Sep 12, 2006 9:16 pm
by zaamin
bahut khoobsoorat kalaam aap ki or se,mohtarama saara saahiba;
daad ke saath
mukhlis

zaamin

Posted: Sat Sep 16, 2006 5:59 am
by haamidbaaqri
hamaari azeez behan saara
salaamun alaikum

aik haseen ghazal aapne enaayat farmaayee hai.

jo dilko choogayee

hamaari dilee daad qubool farmaaye.n

aapka bhai
haamidbaaqri