Page 1 of 1

TareHee Ghazal 21

Posted: Tue Sep 12, 2006 8:48 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar

moHtaram khawateen-o-haZ^raat aadaab!
Guzarish 21 ke teHet chand asha'aar pesh-e-khidmat haiN.

nasheman jal geya afsurdagee bardasht karte haiN
gulistaaN meN tiree Gharat garee bardasht karte haiN.


Tapaktee hai hamare rukh se wiranee to kiya kije?
chaman men lalah-o-gul kee kamee bardasht karte haiN.


rag-e-jaaN khenchta hai wa'dah-e-shab phir bhee jeete haiN
aseer-e-Gham yeh jaaN lewa ghaRee bardasht karte haiN.


khilona jaan kar jaan-o-jigar se khelne wale
hamara hoSlah hai dil lagee bardasht karte haiN.


thapeRe maoj-e-Gham ke seh raha hooN beHer-e-ulfat meN
"jo ehhl-e-z^arf hote haiN wahee bardasht karte haiN"


mazah aata agar labĀ“bastah rehte ham bhee ulfat meN
hazarooN haiN jo un kee ankahee bardasht karte haiN.


hamara Haal poshidah rahe ae kaash meHfil meN
hamaree kab woh yooN maojudgee bardasht karta haiN?


muz^affar jante haiN ham tiree badmastiyaaN kab se
baGharZ^-e-pardah poshee hee sahee bardasht karte haiN.


muz^affar aHmad muz^affar

Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Sep 12, 2006 7:16 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 21 ke miSreA per aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

nasheman jal geya afsurdagee bardasht karte haiN
gulistaaN meN tiree Gharat garee bardasht karte haiN.


Bahut achchaa maTlaA hei, waah waah.

Tapaktee hai hamare rukh se wiranee to kiya kije?
chaman men lalah-o-gul kee kamee bardasht karte haiN.


Bahut khoob, waah waah.

rag-e-jaaN khenchta hai wa'dah-e-shab phir bhee jeete haiN
aseer-e-Gham yeh jaaN lewa ghaRee bardasht karte haiN.


Bahut hee naazuk khayaal hei, waah waah.

khilona jaan kar jaan-o-jigar se khelne wale
hamara hoSlah hai dil lagee bardasht karte haiN.


Meri nazar meiN "jaan o jigar" se behtar "qalb o jigar" hei. Mazmoon bahut hee achchaa hei, waah waah.

thapeRe maoj-e-Gham ke seh raha hooN beHer-e-ulfat meN
"jo ehhl-e-z^arf hote haiN wahee bardasht karte haiN"


Waah waah, bahut achchi gireh hei.

mazah aata agar labĀ“bastah rehte ham bhee ulfat meN
hazarooN haiN jo un kee ankahee bardasht karte haiN.


Achcha sheAr hei.

hamara Haal poshidah rahe ae kaash meHfil meN
hamaree kab woh yooN maojudgee bardasht karte haiN?


Bahut khoob, waah waah.

muz^affar jante haiN ham tiree badmastiyaaN kab se
baGharZ^-e-pardah poshee hee sahee bardasht karte haiN.


Waah kyaa kehne, maqTaA bhee khoob hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Tue Sep 12, 2006 8:57 pm
by zaamin
bahut khoobsoorat ghazal pesh ki,janaab muzaffar sahib

daad qabool farmaayein

zaamin

shukrizah

Posted: Sat Sep 16, 2006 9:53 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram janab Abdullah Nazir SaHeb tasleemat!

miree Ghazal par aap ka purkhuloS tabSirah aor Ghazal par
qimaatee dad meree waste kisee aa'zaz se kam naheeN.
khuda wand aap ko daraaz-e-u'mr se nawaze. (aameen)

Wassalam
khadim
muz^affar

shukriyah

Posted: Sat Sep 16, 2006 10:08 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram zamin SaHeb taslemaat!

kese mizaaj haiN aap ka ka maktoob dekha baRee khushee
ka aHsaas huwa. aap ne Ghazal ko dekha aor pasand kiya is
ke liye aap ka mamnoon hooN. ummeed hai aai'ndah bhee apnee
qimatee rae'e se nawazte raheN ge.

khuda aap ko khush rakhe.

ijazat dijiye.
Wassalam
mukhliS
muz^affar
[/size]

Posted: Sat Sep 16, 2006 10:33 am
by Star Mind
muzaffar SaaHib, aadaab

janaab , maiN to samjhaa thaa ke maiN ne is KhoobSoorat taKhleeq par daad dee hai ! magar abhi dekhaa to Hairat hoi k woh Khat^ hee maujood nahiN hai........shaayad kisee fannee Kharaabi ke baai'c aisa howaa ho ! bahar-Haal aap ki Ghazal bohut pasand aayee sabhi ash'aar dilkash haiN ! daad Haazir hai ! shukriya

Zia Baloch

shukriyah

Posted: Sat Sep 16, 2006 11:39 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram janab Z^ia baloch SaHeb aadaab!

HuZ^oor aesee koi bat naheeN maiN ne aap ka pehla khat^ paRha hai. jo aap ne is se qabl likha tha. aor meree paRhne ke ba'd wo maojood nah raha hai. khaer maiN yeh samjha keh aap ne apnee rae'e tabdeel kar lee hai. :-)

khaer aap ka dil-o-jaan se mamnoon hooN keh aap ne meree ma'mulee se koshish ko itna saraha keh mera HoSlah buland ho geya aor khaaS t^aor par yeh keh aap ko do barah khat^ likhne kee zeHmat gawarah karna paree khuda aap ko is ka ajar Z^aroor de ga.

aap ko khuda khush rakhe.
ijazat chahooN ga.

Wassalam
mukhliS
muz^affar

aadaab

Posted: Thu Sep 21, 2006 12:56 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar

moHtarmah sara saHebah aadaab!


ghazal ko pasand farmane ke liYe aap ka
dil se mamnoon hooN khuda aap ko salamat rakhe.

ijazat dijiYe
Wassalam
mukhliS
muz^affar