Page 1 of 1
guz.21 ke miSreA per meri doosri ghazal
Posted: Wed Sep 13, 2006 2:10 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbab-e-MeHfil aur Ahbab-e-sukhan,
PurkhulooS tasleemaat,
Is zameen meiN aek TaraHi ghazal keh chukaa thaa aur ab aek aur ghazal houi hei jou aapki giraaNqadr aaraa kee muhtaaj hei.
Ghazal roman meiN:
MuHabbat meiN hameshah dil-lagi bardasht karte heiN
Kahe jaate hou ham ko ajnabi, bardasht karte heiN
Muqaddar meiN jou hei teerah-shabi bardasht karte heiN
Dil-e-majboor teri be-basi bardasht karte heiN
Rah-e-ulfat meiN apni bedili bardasht karte heiN
Zamanah hougayaa aur aaj bhee bardasht karte heiN
Agar chundhiyaa bhee jaaye aankh tou shikwah nahiN karte
Shinaasaayan-e-jalwah raushni bardasht karte heiN
Nah paaouge jahaN meiN koii ham saa chaahne waalaa
hameeN heiN jo tumhari khudsari bardasht karte heiN
kabhi uff tak nahiN karte kisi ke neish-e-abroo per
taRap jaate heiN lekin dilbari bardasht karte heiN
yeh dunya aur dunya ke yeh aalaam o taAab taubah
farishte be-khabar heiN aadami bardasht karte heiN
ghareeq-e-baada-e-ulfat heiN meHv-e-kaif-e-nazzarah
tamaskhur hee nahiN takfeer bhee bardasht karte heiN
biphar jaate heiN wo zulf-e-pareshaaN dekhkar apni
hamaara kaam hei, ham barhami bardasht karte heiN
bharam rakhna ghuroor-e-Husn kaa laazim nahiN lekin
nah jaane kyaa sabab hei, sarkashi bardasht karte heiN
firaq-e-yaar meiN jeena nahiN aasaaN magar :Nazir:
bahaalete heiN aansoo, her ghaRi bardasht karte heiN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Wed Sep 13, 2006 9:53 am
by farhan
Ustaad-e-MuHtaram
Janab Abdullah Nazir SaHib,
As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,,,
aap ki yeh ghazal bhi mujhay bahut pasand aaye...bila shuba is ghazal say bhi mujhay bahut kuch seeknay ko mila...daad
peesh-e-khidmat hai...qabool farmayeaga...
farhan
Bahut bahut shukriyah
Posted: Fri Sep 15, 2006 9:58 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami
FarHan SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki inaayat hei ke aap ne meri doosri ghazal per bhee tabSirah farmaate houe daad o teHseen se navaazaa. Is karm-farmaayi per khaaksaar tah-e-dil se aapkaa shukrguzaar hei aur ummeed kartaa hei
keh aayindah bhee isi TaraH se HauSalah=afzaayi jaari rahegi.
Aapka MukhliS,
Nazir.
masha allah
Posted: Sat Sep 16, 2006 5:34 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib
aapki yeh ghazal hame.n bahut pasand aayee.
"farishtey bekhabar hai.n aadmi bardaasht karte hai.n"
waah waah. bahut khoob
is munfarid kalaam per hamaari dilee mubarakbaad aur daad qubool farmaaye.n
mukhlis
haamidbaaqri
Posted: Sat Sep 16, 2006 10:28 am
by Star Mind
ustaad-e-moHtaram janaab-e-nazir SaaHib, aadaab
aap ki ye dosree Ghazal bhi nehaayat u'mdah hai ! tamaam asha'aar apnee apnee jaga par Khoob haiN ! aap ki ustaadana jhalak is meiN Saaf dikhaayee detee hai ! daad Haazir hai ! shukriya
Zia Baloch
keya kehne..
Posted: Sat Sep 16, 2006 11:23 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram janab Abdullah Nazir SaHeb aadaab a'rZ^ hai.
"muSHefee aafreeN tere is lab-o-lehjah par
keh faSaHat ne tiree hind ko shiraaz kiya"
Ghuzarish 21 ke miSraa' par aap ke dusree Ghazal dekhne ka sharf mila.
kiya kehne waah sabhee she'er pasand aae'e haiN.
asha'aar nah Sirf faSaHat -o-balaGhal ka partao haiN balkeh aap ke dakhlee dard -o-sooz ka aae'nah bankar aap kee qalbee qefiyat ka bar
mala iz^haar bhee kar rahe hain.
maiN zate t^aor par aap ke kalam ko paRh kar is nateeje par pohncha hoon keh aap ka shumaar un she'erooN meN naheeN jo faqat^ dad t^albee kee khat^ir apnee beyaaZ^ mushae'rooN meN liye liye phirte haiN belkeh Haqiqat yeh hai keh aap aek fit^ree shae'er haiN aor aap ka fit^ree taGhazzul-e-t^aba' aap ke aHsasaat ko nook-e-qalam tak la rah hai.
dekhne se ma'loom hota hai keh aap ne iz^haar-e-kheyaal ke waste jise behtar samjha usee Sinf ka intkhaab kiya aor woh Ghazal hai. aor bhir Ghazal ke rawayatee maoZ^oa'aat hi ko mashq-e-sukhan ka hadaf banaya aor khub banaya dar aSal afsurdagee, sooz-e-darooN, babasee, Gham-e-janaaN, be taoqeeree aese maz^ameen hi aap kee har dil a'azeez shae'eree kee jaan aor pehchaan ban geya hai.
meree janib se is HaseeN Ghazal par dill kee gehraiyooN se dad-o-teHseeN qubool kijiye.
ijazat chahoon ga.
Wassalam
khadim
muz^affar
Bahut bahut shukriyah
Posted: Mon Sep 18, 2006 6:20 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapke giraaNqadr tabSireh paRhkar bahut khushi houi ke aapko meri doosri TaraHi ghazal bhee pasand aayi. Aap ne mujhe apni daad o teHseen se navaazaa jiske liye aapka beHad shukrguzaar hooN.
Khush rehiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.