Page 1 of 1

Guzarish 21 ke teHet meree ik aor Ghazal.

Posted: Wed Sep 13, 2006 11:03 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram khawateen-o-HaZ^raat taslimaat!
ik aor Ghazal pesh-e-khidmat hai. aap kee qimatee rae'e ka muntaz^ir hooN.


raqibooN par tiree darya dilee bardaasht karte haiN
kaleje par jo chaltee hai chhuree bardaasht karte haiN.


shikayat tak naheeN karte tumharee kaj´adaee kee
guzar jate ho ban kar ajnabee bardaasht karte haiN.


jala kar jis ne khakistar kiya hai aashiyaN mera
usee shu'lah figan kee shu'lagee bardaasht karte haiN.


jhuka rehta hai sar u'shshaaq ka har dam muHabbat meN
taGhaful be´rukhee be´gaangee bardaasht karte haiN.


chalo gul kar ke dekheeN apne hathooN shamma'-e-hastee
bujhe jate haiN yoon bhee teergee bardaasht karte haiN.


jinheen deta naheeN aa kar koee pand-e-shakebaee
dukhoN meN muskurate haiN khushee bardaasht karte haiN.

(pand=naSiHat,HoSlah. shakeb=dard,ranj.pand-e-shakebaee=dard-o-ranj bardasht karne kee naSiHat karna ya hadayat karna waGhaerah)


jigar meN dard ho to aaNkh se aaNsu Tapakte haiN.
magar u'shshaaq behr-e-a'ashqee bardaasht karte haiN.


saha karte naheeN kam HoSlah sooz-e-judaee ko
"jo ehl-e-z^arf hote haiN wahee bardaasht karte haiN"


chhupa rakhte haiN zer-e-aasteeN khanjar mire moHsin
magar ham dost ban kar dushmanee bardaasht karte haiN.


jala kar ghar ko raoshan kar diya hai rastah ham ne
magar apne liye ham teergee bardaasht karte haiN.


sabab puche koee bedad ka chup saadh lete haiN
yahaaN tak iHtiyat^a" khamshee bardaasht karte haiN.

(iHtiyat^a"=iHtiyat^ ke t^aor par)


muz^affar dekhna woh daad deeN ge aek din tujh ko
jo sun kar aaj teree shaai'ree bardaasht karte haiN.





Posted: Thu Sep 14, 2006 9:40 pm
by Star Mind
muzaffar SaaHib, aadaab

waah janaab waah kyaa kehney ! maashaa Allah kyaa Khoob Ghazal i'naayat kee hai ! mujhe to pooree Ghazal hee bohut pasand aayee ! aap ne bilaashuba zameen k saath bohut inSaaf kiyaa hai ! daad Haazir hai :)

shukriya

Zia Baloch

Posted: Fri Sep 15, 2006 2:54 pm
by zmufti
Muzaffar bhai
aap ki ghazal buhat pasand aayii

daad qabool kijye
regards
zmufti

Posted: Sat Sep 16, 2006 5:45 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
mohtaram muzaffar saahb

waah weaah bahut khoob

hame.n is ghazal ke sher pasnad aaye
is kaamiyaab ghazal per hamaari dilee daad qubool farmaaye.n

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Sat Sep 16, 2006 11:56 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah zarqa baji aadaab!

aap ka teh-e-dil se mamnoon hoon keh aap ne
meree Ghazal ko dekha aor pasand bhee farmaya.

khuda aap ko salamat rakhe.

ijazat dijiye.
mukhliS
muz^affar

Posted: Sat Sep 16, 2006 12:00 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Hamid bhai aadaab!

Ghazal ko pasand farmane ke liye aap
ka dil-o-jaan se mamnoon hooN keh aap
ne Ghazal ko paRha aor dad bhee dee.

ijazat chahoon ga.
wassalam
muz^affar

Re: Guzarish 21 ke teHet meree ik aor Ghazal.

Posted: Sun Sep 17, 2006 11:34 am
by Shummu
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:

raqibooN par tiree darya dilee bardaasht karte haiN
kaleje par jo chaltee hai chhuree bardaasht karte haiN.


shikayat tak naheeN karte tumharee kaj´adaee kee
guzar jate ho ban kar ajnabee bardaasht karte haiN.


jala kar jis ne khakistar kiya hai aashiyaN mera
usee shu'lah figan kee shu'lagee bardaasht karte haiN.

saha karte naheeN kam HoSlah sooz-e-judaee ko
"jo ehl-e-z^arf hote haiN wahee bardaasht karte haiN"


chhupa rakhte hain zer-e-aasteeN khanjar mire moHsin
magar ham dost ban kar dushmanee bardaasht karte haiN.


jala kar ghar ko raoshan kar diya hai rastah ham ne
magar apne liye ham teergee bardaasht karte haiN.


wah wah bahut umda Muzaffar sahab...zabrdast ghazal kahi hai aapne..quoted ashaar bahut pasand aaye..ek lafz samajh nahi aaya..agar maayne bataa dein to sher samajhne mein aasaani hogi.. woh lafz hai 'pand-e-shakebaee' shukriya...aur han jaate jaate ek dafaa phir daad pesh hai :-)

Adaab,
Shumaila

Posted: Sun Sep 17, 2006 3:12 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah Shumaila saHebah aadaab!

Ghazal ko pasand farmane ke liye aap ka be Had mamnooN hooN
aor ummeed karta hooN keh aae'ndah bhee zooN hee apnee qeematee
rae'e se nawaytee raheeN gee.

"pand" ke ma'nee haiN naSiHat, hadayat, bhalee bat waGhaerh. aor "shakeb" ke ma'nee haiN Sabr, HoSlah, to yooN pand-e-shakebaee ke ma'nee huwe Sabr karne ka hoSlah dena, Sabr karne kee naSihat karna. to she'er meN meN is se muraad yeh lee hai keh jinheeN koee aakar Sabr karne kee NaSiHat naheeN karta woh afraad akele hee sabhee
kefiyaat ya'nee khushee aor Gham ko akele hee bardaasht karte haiN.
jab koee bemaar hota hai ya Sadmah uThata hai to dost aHbaab ghar aakar use HoSlah dete Sabr karne kee naSiHat karte haiN. pas yehee pand-e-shakebaee hai. :-)

maiN aap ka dobarah tah-e-dil se mamnoon hoon.

Wassalam
mukhliS
muz^affar

Bahut khoob, waah waah

Posted: Mon Sep 18, 2006 6:28 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki aek aur TaraHi ghazal paRhkar bahut khushi houee. Saare ke saare ashAar bahut khoob heiN jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Mere computer meiN kuch kharaabi houne kee vajh se ikhtiSaar se kaam lenaa paRrahaa hei. TafSeeli aaraa pesh karne se maAzoor hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Mon Sep 18, 2006 5:14 pm
by Shummu
shukriya wazaahat farmaane ka Muzaffar jee..ab sher samajh aa gaya hai aur is pe bhi daad pesh hai...