Page 1 of 1

guz#21 by haamidbaaqri

Posted: Sat Sep 16, 2006 5:19 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

aapkey diye hue micre per hamaari adna kaavish haazir hai

gar qubool uftad zahe...........

arz kya hai............


musalmaa.n hai.n jahaa.n ki berukhee bardaasht karte hai.n.
zamaane bhar ki hum say dushmani bardaasht karte hai.n.

ghulaami hai kisee insaa.n ke aagay sar jhukaa dayna
shareef insaa.n kahaa.n be-ezzatee bardaasht karte hai.n.

bahaadur woh hai.n jo bekhauf lad padtay hai.n zaalim say
jo buzdil hai.n wohi daadaagiree bardaasht karte hai.n

jo ahle zauq hai.n bahboodiye urdu ki khaatir woh
baraaye naam ki bhi shaayeri bardasht karte hai.n

tire pyaare nabi(s.a.w.a.w)ne keh diya pehlay hi yeh haamid
"jo ahle zarf hote hai.n wohi bardaasht karte hai.n"

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdullah

Posted: Sat Sep 16, 2006 9:15 am
by Shummu
wah bahut khoob..!!!!

Posted: Sat Sep 16, 2006 10:35 am
by Star Mind
Hamdi bhai, aadaab

aap ki ye sachchi Ghazal deegar maHaafil meiN bhi paRh chukaa hoN ! hamesha ki t^araH aap ke mazaameen ne dil moh liyaa ! daad HaaZ^ir hai ! shukriya

Zia Baloch

Posted: Sat Sep 16, 2006 11:38 am
by farhan

Janab Haamid SaHib

aadab o talimaat....

hameesha ki tarah aap ki yeh ghazal bhi munfarid mazameeN liye hui hai..
mujhay yeh ghazal bahut pasand aayii...

daad hazir-e-khidmat hai.....share karnay ka shukriya....
JAZAKALLAHU KHAIRA....

farhan

Bahut khoob, waah waah

Posted: Mon Sep 18, 2006 6:34 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki yeh TaraHi ghazal aapke apne andaz meiN bahut khoob hei:

musalmaa.n hai.n jahaa.n ki berukhee bardaasht karte hai.n.
zamaane bhar ki hum say dushmani bardaasht karte hai.n.

ghulaami hai kisee insaa.n ke aagay sar jhukaa dayna
shareef insaa.n kahaa.n be-ezzatee bardaasht karte hai.n.

bahaadur woh hai.n jo bekhauf lad padtay hai.n zaalim say
jo buzdil hai.n wohi daadaagiree bardaasht karte hai.n

jo ahle zauq hai.n bahboodiye urdu ki khaatir woh
baraaye naam ki bhi shaayeri bardasht karte hai.n

tire pyaare nabi(s.a.w.a.w)ne keh diya pehlay hi yeh haamid
"jo ahle zarf hote hai.n wohi bardaasht karte hai.n"


Saare ke saare ashAar bahut khoob heiN jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Re: guz#21 by haamidbaaqri

Posted: Mon Sep 18, 2006 4:51 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote:

musalmaa.n hai.n jahaa.n ki berukhee bardaasht karte hai.n.
zamaane bhar ki hum say dushmani bardaasht karte hai.n.

ghulaami hai kisee insaa.n ke aagay sar jhukaa dayna
shareef insaa.n kahaa.n be-ezzatee bardaasht karte hai.n.

bahaadur woh hai.n jo bekhauf lad padtay hai.n zaalim say
jo buzdil hai.n wohi daadaagiree bardaasht karte hai.n

jo ahle zauq hai.n bahboodiye urdu ki khaatir woh
baraaye naam ki bhi shaayeri bardasht karte hai.n

tire pyaare nabi(s.a.w.a.w)ne keh diya pehlay hi yeh haamid
"jo ahle zarf hote hai.n wohi bardaasht karte hai.n"

Hamid bhai,

hamaari azeez behan sara ko hamaara salaam

farmaaiye.....


dili mubarakbaad qubool keejiye is shandaar ghazla per,

maqta tou lajawaab hai! sabhi ashaar bohat alaa!

bahut bahut shukriya aapki purkhuloos daad ka.

salaamt rahe.n


dher saari duao.n ke saath
aapka bhai


sara
haamidbaaqri

shukriya

Posted: Mon Sep 18, 2006 4:53 pm
by haamidbaaqri
Shummu wrote:wah bahut khoob..!!!!
bahut bahut shukriya mohtaramah shumaila saahebah

salaamat rahe.n
muykhlis
haamidbaaqri

shukriya

Posted: Mon Sep 18, 2006 4:56 pm
by haamidbaaqri
[quote="Star Mind"]Hamdi bhai, aadaab

salaamun alaikum
mohtaram zia baloch saahib


aap ki ye sachchi Ghazal deegar maHaafil meiN bhi paRh chukaa hoN ! hamesha ki t^araH aap ke mazaameen ne dil moh liyaa ! daad HaaZ^ir hai ! shukriya

yeh aapki mohabbat hai janaab

bahut bahut shukriya aapki mukhlisaanah daad ka.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri

shukriya

Posted: Mon Sep 18, 2006 5:00 pm
by haamidbaaqri
farhan wrote:
Janab Haamid SaHib

jee farmaaiye

aadab o taslimaat....

salaamun alaikum mohtaram farhaan saahib

hameesha ki tarah aap ki yeh ghazal bhi munfarid mazameeN liye hui hai..
mujhay yeh ghazal bahut pasand aayii...

ghazal ko pasand farmaane ka bahut bahut shukriya


daad hazir-e-khidmat hai.....share karnay ka shukriya....

nawaazish aapki

JAZAKALLAHU KHAIRA....

farhan
allah(sbhnwt)aap per apni nazre karam farmaaye.aameen
mukhlis
haamidbaaqri

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Mon Sep 18, 2006 5:03 pm
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki yeh TaraHi ghazal aapke apne andaz meiN bahut khoob hei:

musalmaa.n hai.n jahaa.n ki berukhee bardaasht karte hai.n.
zamaane bhar ki hum say dushmani bardaasht karte hai.n.

ghulaami hai kisee insaa.n ke aagay sar jhukaa dayna
shareef insaa.n kahaa.n be-ezzatee bardaasht karte hai.n.

bahaadur woh hai.n jo bekhauf lad padtay hai.n zaalim say
jo buzdil hai.n wohi daadaagiree bardaasht karte hai.n

jo ahle zauq hai.n bahboodiye urdu ki khaatir woh
baraaye naam ki bhi shaayeri bardasht karte hai.n

tire pyaare nabi(s.a.w.a.w)ne keh diya pehlay hi yeh haamid
"jo ahle zarf hote hai.n wohi bardaasht karte hai.n"


Saare ke saare ashAar bahut khoob heiN jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum

aapki musalsal hausalah afzaayee,purkhuloos daad aur mubaarakbaad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.


Aapka MukhliS,
Nazir.

jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri