aek maAmooli see ghazal:- -- - Abdullah Nazir.
Posted: Sat Sep 16, 2006 8:28 am
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Apne aek bahut hee maAmooli si taazah ghazal pesh karne kee jasaarat karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni aaraa se navaazkar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
Ghazal roman meiN:
nah jaane khougaye ham apni lazzataoN meiN kahaaN
butaan-e-Hind se dunyaa kee moorataoN meiN kahaaN
wo chaiR chaaR kiye jaate heiN yeh keh keh kar
jou dushmani meiN mazah hei muHabbatoN meiN kahaaN
kaTi hei umr musaafir kee dasht-gardi meiN
bujhi hei pyaas bhalaa is ki, hijrataoN meiN kahaaN
khud apnaa boujh uThaanaa hei apne kaandhaoN per
diyaa hei saath kisi ne muSeebataoN meiN kahaaN
shikastah Haali kaa ab apni kyaa gilah keeje
khulooS o Tarz-e-wafaa be-muravvataoN meiN kahaaN
khudaa kaa shukr nah karnaa hameN nahiN aataa
guzarrahi hei magar haaye zillataoN meiN kahaaN
sunaayi deti hei aah o fughaaN bhee baahar se
taHammul aur tire qaSr kee chataoN meiN kahaaN
zaraa see der meiN houjaayegi saHar :Nazir:
chale hou raat kee be-mehr saaAataoN meiN kahaaN
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.