Page 1 of 1
EK TAZA GHAZAL APKI SAMAATON MEN
Posted: Sat Sep 16, 2006 12:22 pm
by Ehsan Raza
QITA
WOH SHAJAR JO TAWEEL HOTEY HAIN
UNKE SAYE BARHE NAHIN HOTE
IS LIYE TEZ DHOOP SE BACHKER
SAYE MEN HUM KHARHE NAHIN HOTEY
GHAZAL
SAHNE GULSHAN WOHI BAHAR WOHI
KION NAHIN HAI DILON MEN PIYAAR WOHI
KAB KA TOOFAAN GUZAR GAYA AAKER
PHIR BHI CHEHRON PE HAI GHUBAR WOHI
UN SE BICHRHE GUZAR GAYEEN SADIYAAN
HAI MERE DILKO INTEZAR WOHI
AB NAHIN BAAM-O- DAR WOH PAHLE SE
AB NAHIN HAIN KIRAYE DAAR WOHI
DIL KE MASOOM SE KIWARON PER
EK DASTAK HAI BAAR BAAR WOHI
JISNE HUMKO DUBO DIYA 'EHSAN
DIL KI KASHTEE PE HAI SAWAR WOHI
Re: EK TAZA GHAZAL APKI SAMAATON MEN
Posted: Sun Sep 17, 2006 5:49 am
by Sarwar A. Raz
Ehsan Raza wrote:
QITA
WOH SHAJAR JO TAWEEL HOTEY HAIN
UNKE SAYE BARHE NAHIN HOTE
IS LIYE TEZ DHOOP SE BACHKER
SAYE MEN HUM KHARHE NAHIN HOTEY
GHAZAL
SAHNE GULSHAN WOHI BAHAR WOHI
KION NAHIN HAI DILON MEN PIYAAR WOHI
KAB KA TOOFAAN GUZAR GAYA AAKER
PHIR BHI CHEHRON PE HAI GHUBAR WOHI
UN SE BICHRHE GUZAR GAYEEN SADIYAAN
HAI MERE DILKO INTEZAR WOHI
AB NAHIN BAAM-O- DAR WOH PAHLE SE
AB NAHIN HAI KIRAYE DAAR WOHI
KOI DARWAZA-E- DIL KHOLTA HAI
EK DASTAK HAI BAAR BAAR WOHI
JISNE HUMKO DUBO DIYA 'EHSAN
DIL KI KASHTEE PE HAI SAWAR WOHI
muHtaramee Ehsan SaaHeb: aadaab!
aap se is meHfil meN mil kar Khushee huyee! inshaa-Allah mulaaqaat hotee rahe gee. aap kee Ghazal dekh`ee aur pasand aayee. sab hee ash,a'ar achh`e aur jadeed raNg-e-taGhazzul ke aa,eenah-daar haiN. daad qubool keejiYe.
----------------------
SAHNE GULSHAN WOHI BAHAR WOHI
KION NAHIN HAI DILON MEN PIYAAR WOHI
KAB KA TOOFAAN GUZAR GAYA AAKER
PHIR BHI CHEHRON PE HAI GHUBAR WOHI
UN SE BICHRHE GUZAR GAYEEN SADIYAAN
HAI MERE DILKO INTEZAR WOHI
AB NAHIN BAAM-O- DAR WOH PAHLE SE
AB NAHIN HAI KIRAYE DAAR WOHI
=================================
KOI DARWAZA-E- DIL KHOLTA HAI
EK DASTAK HAI BAAR BAAR WOHI
aap se is she'r meN :typo: to naheeN ho gayaa? pehlaa miSra' naaqiS-ul-wazn hai. durust farmaa leN. jin logoN ko Roman meN kitaabat kee mahaarat naheeN hotee hai un se kabh`ee kabh`ee aisee :typo: ho jaatee hai.
============================
JISNE HUMKO DUBO DIYA 'EHSAN
DIL KI KASHTEE PE HAI SAWAR WOHI
-------------------
ek kaamyaab kaawish par mubaarakbaad!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Posted: Sun Sep 17, 2006 7:34 am
by Ehsan Raza
MOHATRAM SARWAR RAAZ SB
TASLEEM
GHAZAL KI PAZIRAI AOR HIMMAT AFZAI KE LIYE BEHAD MASHKOOR HOON AAP KA FARMAAN BILKUL DURUST HAI WOH MISRAH HI US GHAZA KA NAHIN THA AAP JAISE ASATAZA AGAR EK MISRE PER BHI DAAD DE DEN TO WOH EK TALIBE ILM KE LIYE SAARI ZINDAGI KA SARMAYA HAI
SHUKRIYA EHSAN BADAUNI
Bahut khoob
Posted: Sun Sep 17, 2006 7:52 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Ehsan Raza Badauni Saahib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
TafSeeli tabSirah karne se maAzoor hooN kiyunkeh mere computer meiN kuch mushkileN heiN jinke ilaaj meiN lagaa houaa hooN. Is liye aap se
maAzirat khwaah hooN.
khush rehiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Mon Sep 18, 2006 1:04 pm
by Mayank
Ehsaan RaZa saaheb,
aadaab,
aap ke yeH ghazal behad pasand aaii..ek dil fareb Ghazal ke liye main aap ko daad aur mubaarak baad dena chaahuNga.. Qubool farmaayeN..
-Mayank
HUZOOR SHUKRIYA
Posted: Tue Sep 19, 2006 12:28 pm
by Ehsan Raza
[ [JANAAB GHAZAL KI PAZIRAI KE LIYE BEHAD MASHKOOR HOON KHUDA KARE AAPSE ISEE TARHA MULAQAT HOTEE RAHEY
EHSAN BADAUNI/b][/quote]
BAHUT SHUKRIYA
Posted: Tue Sep 19, 2006 12:34 pm
by Ehsan Raza
[ MOHATRAM NAZIR SB
HAUSLA AFZAI KE LIYE BEHAD MASHKOOR HOON
AAP JAISE ASATAZA KI SARPARASTEE SADA HAMARE SARON PER SEHAT YAABI KE SAATH QAYEM RAHEY
EHSAN BADAUNI