Page 1 of 1

Ghazal: Jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge

Posted: Sun Sep 17, 2006 5:18 pm
by Munawwar
Azeez dosto,
Ek taveel a'rse ke ba'd aapkee khidmat meN HaaZir ho sakaa huN. Ijaazat deN to is ta'kheer ke e'waz meN ek baRee hi mushkil zameen pe likhi gayee ghazal pesh karne ki jurrat karooNgaa.

jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge

jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge
dildaar jo kahlaayeNge, u'shshaaq bhi hoNge

ham ahl-e-wafaa jabr ke aage na jhukeNge
phir apni Himaayat meN to razzaaq bhi hoNge

laazim to naheeN Husn ka bedaad hi honaa
haiN naaz-o-adaa jis meN, kuchh akhlaaq bhi hoNge

duniyaa ke chaman meN sahi sau khaar-e-a'daawat
do chaar kaheeN ghuncha-e-ashfaaq bhi hoNge

sheeraazah ki bandish meN na aayeNge, "Munawwar"
deewaane se deewaan ke auraaq bhi hoNge

--------------------------------------------------------
Aap sabke fikr-o-khayaal ka muntazir huN,
Munawwar

Posted: Mon Sep 18, 2006 1:01 pm
by Mayank
Munnawaar jee:

Namsate:

yeH Ghazal behad pasand aaii.. Sabhii ashaar ek se baRh kar ek lage.. aaj kaafi dino ke baad aap ko duubaara paRhne ka mauqa mila hai.. Aate raheN.. daad aur mubaaraq baad qubool keejiye...

-Mayank

Posted: Mon Sep 18, 2006 5:16 pm
by Munawwar
Sara jee

Aadaab!
Ghazal pasand karne kaa bahut bahut shukriyah. Kucch din ghair HaaZir rahaa, kyuNke meree aaNkhoN meN iritis ho gayaa thaa. Computer par kaam karne se sakht mana'hee thee. Khair, waapas aakar achhaa lag rahaa hai.
Jee zaroor, jald jald aanaa kyaa, apnaa ghar yaheeN basaa letaa huN. :-)

Aapkaa bahut bahut shukriyah,
Munawwar

Posted: Mon Sep 18, 2006 5:18 pm
by Munawwar
Mayank jee,

Namashkaar!
Aapkaa bahut bahut shukriyah ke aapne ghazal pasand kee aur meree himmat afzaaee kee.
Jee Theek hai, aataa rahuNgaa.

Aapkaa bahut bahut shukriyah
Munawwar

Re: Ghazal: Jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge

Posted: Tue Sep 19, 2006 2:46 am
by Sarwar A. Raz
Munawwar wrote:Azeez dosto,
Ek taveel a'rse ke ba'd aapkee khidmat meN HaaZir ho sakaa huN. Ijaazat deN to is ta'kheer ke e'waz meN ek baRee hi mushkil zameen pe likhi gayee ghazal pesh karne ki jurrat karooNgaa.

jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge

jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge
dildaar jo kahlaayeNge, u'shshaaq bhi hoNge

ham ahl-e-wafaa jabr ke aage na jhukeNge
phir apni Himaayat meN to razzaaq bhi hoNge

laazim to naheeN Husn ka bedaad hi honaa
haiN naaz-o-adaa jis meN, kuchh akhlaaq bhi hoNge

duniyaa ke chaman meN sahi sau khaar-e-a'daawat
do chaar kaheeN ghuncha-e-ashfaaq bhi hoNge

sheeraazah ki bandish meN na aayeNge, "Munawwar"
deewaane se deewaan ke auraaq bhi hoNge

--------------------------------------------------------
Aap sabke fikr-o-khayaal ka muntazir huN,
Munawwar
janaab-e-Munawwar SaaHeb: namoshkaar!

sunaa th`aa keh aap kuch` beemaar ho gaYe th`e. shaayad aaNkh`oN meN takleef ho gayee th`ee. SaaHeb! Kolkata ke HaseenoN ko aisee nigaahoN se dekh`eN ge to yehee ho gaa!

aap ne bohat mushkil zameen chunee hai. aur meHnat bh`ee bohat kee hai. daad qubool keejiYe! agar aap kee aagyaa ho maharaj! to do baateN kahooN? dhannyawaad!
-----------------------------
jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge
dildaar jo kahlaayeNge, u'shshaaq bhi hoNge

SaaHeb, baat to durust hai! daad HaaZ^ir hai!
----------------------------
ham ahl-e-wafaa jabr ke aage na jhukeNge
phir apni Himaayat meN to razzaaq bhi hoNge

"razzaaq" Urdu meN Sirf :Bhagwan: ko kehte haiN. aap chaaheN to :razzaaq: kee jaghah :aafaaq: keh leN. baat bh`ee shaa,i'raanah ho jaaYe gee!
-----------------------
laazim to naheeN Husn ka bedaad hi honaa
haiN naaz-o-adaa jis meN, kuchh akhlaaq bhi hoNge

luGhat meN :be-daad: ke ek ma'nee :be-inSaaf: bh`ee haiN. so is kee iKhlaaq se munaasibat ne mazaa diyaa! daad!
---------------------
duniyaa ke chaman meN sahi sau khaar-e-a'daawat
do chaar kaheeN ghuncha-e-ashfaaq bhi hoNge

:Ghunchah-e-ashfaaq: aur :Khaar-e-a'daawat:! Khoob
----------------------
sheeraazah ki bandish meN na aayeNge, "Munawwar"
deewaane se deewaan ke auraaq bhi hoNge
-----------------------
aap kee bandish kee daad nah denaa naa-inSaafee hai. so waah, waah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"