Page 1 of 1

AshkoN maiN ab laho........

Posted: Mon Sep 18, 2006 8:48 am
by zmufti
ahl-e-bazm
aadaab
aik sada si ghazal aap ki khidmat maiN pesh kar rahi hoN umeed hai aap apni aaraa se aagah farmaayieN ge
regards
zmufti

1. ashkoN maiN ab laho ko bahaya na jaaye ga
teray firaq maiN jee jalaya na jaaye ga

2. vo laakh minnatieN kare jaaya na jaaye ga
Ab jaan kar fareb to khaya na jaaye ga

3. har ik sitam ka haal sunaya na jaaye ga
har zakhm to jigar ka dikhaya na jaaye ga

4. tu rooth kar gaya to manya na jaaye ga
Phir khawab maiN bhee tujh ko bulaya na jaaye ga

5. teray gharoor ko maiN hara na paayi sanam
Apni ana ko bhee to Haraya na jaaye ga

6. Ham to tirri nazar maiN gunah gaar hi rahe
ham se koi cawab kamaya na jaaye ga

7. tum se koi purana bhee rishta nahiN raha
ta’aluq koi naya bhee banaya na jaaye ga

8. jo jhoot se baniiN thiiN imaraat dhay gayyiiN
ab rait ka mahal bhee banaya na jaaye ga

9. aankhoN pe gar shakook ne jala sa bun diyya
parda vo nafratoN ka giraya nah jaaye ga

10. daayem rahe bahaar mahekta rahe chaman
Mehmaan ab khizaaN ko banaya na jaaye ga

Posted: Mon Sep 18, 2006 12:58 pm
by Mayank
Mufti saahiba,

Aadaab..

ek hasiiN Ghazal ke liye maiN aap ko daad dena chaahuNga.. har aShaar behtariiN lage.. paRh kar achchha laga.. yuuN hee liKhati raheN.. daad-mubaarak baad qubool keejiye...

-Mayank

Posted: Tue Sep 19, 2006 11:52 am
by Mahtab Qadr
Zarqa ji Salaam e masnoon
Bahut achi ghazal kahi hai aapne , kafi sher nikaale haiN. baaz sheroN mai wazan ka masala hai , umeed hai Abdullah Nazir sahib is par raushni daleiNge. koshish bahut qabil e sitayesh hai.
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Wed Sep 20, 2006 8:02 pm
by zmufti
Mayank wrote:Mufti saahiba,

Aadaab..

ek hasiiN Ghazal ke liye maiN aap ko daad dena chaahuNga.. har aShaar behtariiN lage.. paRh kar achchha laga.. yuuN hee liKhati raheN.. daad-mubaarak baad qubool keejiye...

-Mayank
shukria mayank saheb
regards
zmufti

Re: AshkoN maiN ab laho........

Posted: Wed Sep 20, 2006 8:08 pm
by zmufti
sara_j wrote:
zarqa ji,

kya kehne! bohat hi umda ghazal sabhi ashaar zabardast hai.

daad qubool keejiye.
Shukria Sara jee
khush rahiye
zmufti

Posted: Wed Sep 20, 2006 8:20 pm
by zmufti
Mahtab Qadr wrote:Zarqa ji Salaam e masnoon
Bahut achi ghazal kahi hai aapne , kafi sher nikaale haiN. baaz sheroN mai wazan ka masala hai , umeed hai Abdullah Nazir sahib is par raushni daleiNge. koshish bahut qabil e sitayesh hai.
shukria
Mahtab Qadr
shukria Mahtaab saheb
regards
zmufti