Page 1 of 1

Guz # 21

Posted: Mon Sep 18, 2006 7:20 pm
by zmufti
Ahl-e-bazm
aadaab
apni adna si kaawish aap ki khidmat maiN pesh kar rahi hoN
umeed hai aap apni aaraa se aagaah farmaayieN ge
regards
zmufti

1. HaseeN khawboN khayaloN ki kami bardasht karte haiN
bari be kaif hai yeh zindagi bardasht karte haiN

2. Takallum maiN takalluf ajnabi bardasht karte haiN
Magar ham kiyoN tirri yeh khamshi bardasht karte haiN

3. manajaatieN, gile, shikwe sabhi bardasht karte haiN
"Jou ahl-e-zarf houte heiN vohi bardaasht karte heiN"

4. hamieN tasleem haiN apni sabhi kotahiaN laikin
tirri yeh kaj adaaii, bhee hami bardasht karte haiN

5. takhaiul maiN tirra paiker tarasha thaa kabhi ham ne
Haqeeqat maiN tirra har rang bhee bardasht karte haiN

6. Bas apni hi muhabbat ka bharam rakhne ki khaatir ham
Tirri doori, tirri Begaangi bardasht karte haiN

7. Sahi jaati nahiN ham se tapish gham ke alaao ki
Bujha kar daagh dil ke teeragi bardasht karte haiN

8. saraboN ke tuaqab maiN kati hai zindagi apni
bare hi hosle se tashnagi bardasht karte haiN

9. Chura laayieN zamane se khushi ke jhilmilate pal
Kayyii barsoN se dil ki Be kali bardasht karte haiN

10. guzaari haiN kayyii sadiaN ghulaami maiN ghareeboN ne
Sitam sehte haiN be kas muflasi bardasht karte haiN

Posted: Mon Sep 18, 2006 10:08 pm
by Star Mind
Zarqaa behen, aadaab

maashaa Allah aap to mujh se zbhi ziyaada kaceer-ul-kalaam haiN !! waah waah Khoob Ghazal i'naayat kee hai ! pasand aayee daad Haazir hai, bas aek baat a'rz karnaa chaahoNga k "hami" durust nahiN hai ! ise badal dejiye ! baaqee iSlaaH to asaatiza ka kaam hai ! meri jaanib se daad qabool kijiye ! shukriayai

Zia Baloch

mubarak bad

Posted: Wed Sep 20, 2006 10:09 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah zarqa bajee aadaab!

aap kee Ghazal dekh kar be sakhtah dil pukaar uTha keh waah! waah! waah! aap ne kamaal kar diya hai aor aap mera yaqeen kar leeN keh aap ne kamaal kar diya hai maiN aap ko hargiz rasmee dad naheen de raha aor nah hee rasmee
jumle likh raha hooN.

meree dilee dad aor mubarak bad qubool kijiYe.


Wassalam
muzaffar

Posted: Thu Sep 21, 2006 9:05 am
by zmufti
Star Mind wrote:Zarqaa behen, aadaab

maashaa Allah aap to mujh se zbhi ziyaada kaceer-ul-kalaam haiN !! waah waah Khoob Ghazal i'naayat kee hai ! pasand aayee daad Haazir hai, bas aek baat a'rz karnaa chaahoNga k "hami" durust nahiN hai ! ise badal dejiye ! baaqee iSlaaH to asaatiza ka kaam hai ! meri jaanib se daad qabool kijiye ! shukriayai

Zia Baloch
shukria Zia bhai
nahiN maiN aap se ziyada kaceer-ul-kalaam nahiN ab tak kabhi kissi ghazal ke 19 ya 20 asha'ar maiN ne nahiN kahe
aur ghalati ki nishaandahi ka shukria
regards
zmufti

Re: mubarak bad

Posted: Thu Sep 21, 2006 9:10 am
by zmufti
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtarmah zarqa bajee aadaab!

aap kee Ghazal dekh kar be sakhtah dil pukaar uTha keh waah! waah! waah! aap ne kamaal kar diya hai aor aap mera yaqeen kar leeN keh aap ne kamaal kar diya hai maiN aap ko hargiz rasmee dad naheen de raha aor nah hee rasmee
jumle likh raha hooN.

meree dilee dad aor mubarak bad qubool kijiYe.


Wassalam
muzaffar
Muzaffar bhai
maiN aap ki pur khaloos daad ke liye mamnoon hoN
regards
zmufti

Posted: Thu Sep 21, 2006 9:49 am
by farhan

ZarQa Ji

Aadaab o Taslimaat....

misra-e-tarah per aap ki ghazal pasand aayii MASHALLAH aap nay bahut hi khoob ashaar nikaalay hain....khaS kar mujhay taZmeen ka shair bahut pasand aaya...

ik kamiyaab ghazal per mayri janib say daad o mubarak baad qabool kijea....ALLAH karay zor-e-Qalam aur ziyadah....

farhan

Posted: Sat Sep 23, 2006 1:52 pm
by zmufti
Farhaan saheb
aadaab
ghazal ki pazeeraaii ke liye aap ki mamnoon hoN
regards
zmufti

Bahut khoob, waah waah

Posted: Fri Sep 29, 2006 8:17 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
zmufti SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guz.21 per aapki mandarja-e-zeil ghazal nazar navaaz houee jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Ramadhan meiN Adeem-ul-furSati kee vajh se tafSeeli sharH o bayaaN se qaaSir hooN.

1. HaseeN khawboN khayaloN ki kami bardasht karte haiN
bari be kaif hai yeh zindagi bardasht karte haiN

2. Takallum maiN takalluf ajnabi bardasht karte haiN
Magar ham kiyoN tirri yeh khamshi bardasht karte haiN

3. manajaatieN, gile, shikwe sabhi bardasht karte haiN
"Jou ahl-e-zarf houte heiN vohi bardaasht karte heiN"

4. hamieN tasleem haiN apni sabhi kotahiaN laikin
tirri yeh kaj adaaii, bhee hami bardasht karte haiN

5. takhaiul maiN tirra paiker tarasha thaa kabhi ham ne
Haqeeqat maiN tirra har rang bhee bardasht karte haiN

6. Bas apni hi muhabbat ka bharam rakhne ki khaatir ham
Tirri doori, tirri Begaangi bardasht karte haiN

7. Sahi jaati nahiN ham se tapish gham ke alaao ki
Bujha kar daagh dil ke teeragi bardasht karte haiN

8. saraboN ke tuaqab maiN kati hai zindagi apni
bare hi hosle se tashnagi bardasht karte haiN

9. Chura laayieN zamane se khushi ke jhilmilate pal
Kayyii barsoN se dil ki Be kali bardasht karte haiN

10. guzaari haiN kayyii sadiaN ghulaami maiN ghareeboN ne
Sitam sehte haiN be kas muflasi bardasht karte haiN



Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Fri Sep 29, 2006 3:04 pm
by zmufti
Mohtaram Abdullah Nazir saheb
Tasleemaat
ghazal parhne ke liye aap ki mamnoon hoN
wasalaam
zmufti