"humsay nibhaaya nah jaayega"tarhi ghazal aapkay h
Posted: Tue Sep 19, 2006 12:07 pm
salaamun alaikum
dosto
aik aur tarhi ghazal aapkay hawaalay
gar qubool uftad zahe.......
arz kiya hai......
zaalim ka saath humsay nibhaaya nah jaayega
mazloom ko dobaarah rulaaya nah jaayega
bhai hamaare saamne gheebat nah keejiye
baaray gunaa'h humsay uthaaya nah jaayega
maaley haraam aata hai sailaab ki tarah
beh jaayega yeh maal bachaaya nah jaayega
mushkil say haath aaye kamaayee halaal ki
aasaani say yeh maal kamaaya nah jaaayega
hairaan hoo.n keh aag yeh khaatay hai.n kistarah
maaley yateem humsay tau khaaya nah jaayega
chautay say chauta kyu.n nah ho accha agar hai kaam
"naadaan' phir woh jee say bhulaaya nah jaayega"
khulqe hasan say zindagi haamid sanwaar lay
warnah yeh tera naam sajaaya nah jaayega
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah